ISLAM AUR AATANKWAAD HAQIQAT KE AAINE ME
Post No. 24
➡️ Islam Ka Tarika E Jung
⏭ Aurto, Bachcho, Budho Ko Qatal Karne Ki Rok ⏮
🔯 Huzur ﷺ Jab Kabhi Fauj Ko Ravana Karte The To Sakhti Ke Sath Farmate The Ke Aurto, Bachcho, Budho, Bimaro Par Hath Na Uthana. Ek Baar Huzur ﷺ Ne Maidan E Jung Me Ek Aurat Ki Laash Dekhi To Aapne Naraz Ho Kar Pucha:
"Ye To Ladne Walo Me Na Thi."
( Kanzul Ummal, Jild 2, Safah 346)
🔯 Phir Aapne Farmaya:
"Kisi Budhe Ko Qatal Mat Karo, Na Chhote Bachcho Ko Aur Na Kisi Aurat Ko."
🔯 Ibne Abbas Se Riwayat Hai Ke Jab Aap Fauj Bhejte To Farmate:
"Charch ( Ya Mandir) Me Bethe Hue Pujariyo Ko Qatal Mat Karna."
🔯 Makka Ki Fateh Ke Mauke Par Farmaya:
Kisi Zakhmi Par Hamla Na Kiya Jaaye. Kisi Bhagne Wale Ka Peechha Na Kiya Jaaye. Kisi Kaidi Ko Qatal Na Kiya Jaaye Aur Jo Apne Ghar Ka Darvaja Band Kar Le Vo Amaan Me Hai.
🔯 Ek Aur Makam Par Farmaya:
Tarjuma:- Jaao Allah Ka Naam Lekar Aur Allah Ki Raah Me Unse Lado Jo Allah Se Kufr Karte Hai. Lekin Jung Me Kisi Se Bad-Ahadi Mat Karo, Ganimat Me Khayanat Na Karo, Naak-Kaan Na Kato Aur Na Bachcho Ko Qatal Karo.
( Kanzul Ummal, Jild 2, Safah 341)
➡ Mazmoon Jaari Rahega.
0 Comments