Mukrasar Seerate Paak JALALATUL ILM HUZUR HAFIZ E MILLAT HAZRAT ABDUL AZIZ SAHAB MOHADDIS MUBARAKPURI rehmatullah alayh (Urs :- 1, Jamadiul Aakhir, Mazar :- Mubarakpur, Aazamgadh, U.P.)
➡️ "AAPKI IBTEDAAI ZINDAGI E PAAK AUR AAPKE VAALIDAIN KE HAALAAT"
💠 "HUZUR HAFIZ E MILLAT rehmatullah alayh 1312 hijri mutabiq 1894 Qasba Bhojpur, Zila Muradabad (U.P.) me Baroz Pir Subah ke waqt is Duniya me Tashrif laae. Aapke Daada Mohtaram HAZRAT MOULANA ABDUR RAHIM SAHAB rehmatullah alayh ne Dehli ke Mash'hoor Mohaddis MUJADDID E WAQT HAZRAT SAYYEDNA SHAH ABDUL AZIZ SAHAB MOHADDIS DAHELVI rehmatullah alyh ki Nisbat se Aapka Naam "ABDUL AZIZ" rakha taake Mera ye Bacha bhi Aalime Deen bane."
💠 "Aapke Vaalid e Majid HAZRAT HAFIZ GULAM NOOR SAHAB rehmatullah alyh ki Shuru se yahi tamanna thi ke Aap ek Aalime Deen ki Hesiyat se Deen e Matin ki Khidmat Sar Anjam de, lihaza Bhojpur me jab bhi koi Bade Aalim ya Shaikh tashrif laate to Aap Apne Sahabzade HUZUR HAFIZ E MILLAT ko unke paas le jate aur arz karte ke : "Huzur ! mere is Bache ke liye Dua farmade."
💠 "Aapke Vaalide Majid Ahkame Shara'a ke Paband, Muttaba'e Sunnat, Baa Amal Hafiz, aur Aashiq e Quran the. Uth'te beth'te, chalte phirte, Quran e Majid ki Tilawat Zaban par jari rehti thi. Quran e Paak is Qadr Yaad tha ke Aap 'BADE HAFIZ JI' ke laqab se mash'hoor the. Bacho ki Umr saat saal ki hote hi unhe Namaz ki Taakid karte. koi Milne aata to unki khud Mehmaan Nawazi karte, agar Mehman Namaz ka paband hota to Raat thahera lete varna sirf khana khila kar rukhsat kar dete. Jab Hajj o Ziyarat se musharraf hue aur vaapasi par ikhraajaat khatm ho gae to kisi se Hath na phelaya balke Mehnat mazduri kar ke Ikhraajat jama kiye aur 9 Maah baad vapas Tashrif laae. Taqriban 100 Saal ki Umr Sharif pa kar is Duniya se Rukhsat hue."
💠 "Aapki Vaalida Mohtarma Namaz Roze ki badi Pabandi farmati thi. Musalmano ki khair khwahi aur isaar ka aisa Jazba Ataa hua tha ke Ghar me Gurbat hone ke Bavajood Padosiyo ka bahot khayal rakha karti thi. Aksar Apna khana ek Bewa Padosan ko khila deti aur khud Bhuki rehti thi."
➡️ "BAIT O KHILAFAT"
💠 "Aapko SUFI E BAA SAFA HAZRAT SAYYEDNA SARKAR AALA HAZRAT ASHRAFI MIYA KICHHOUCHHVI aur SADRUSH SHARIA BADRUT TARIQA HAZRAT ALLAMA AMJAD ALI SAHAB AAZMI Radiyallahu Anhum se Khilafat va Ijazat ka Sharf Hasil he."
➡️ "HUZUR SADRUSH SHARIA KI BARGAH ME"
💠 "1342 hijri me All India Sunni Conference Muradabad me mun'aqid hui jisme Mash'hoor o Ma'aroof va Naamvar Ulama e Ahle Sunnat Tashrif laae jinme HUZUR SADRUSH SHARIA BADRUT TARIQA HAZRAT MOULANA AMJAD ALI SAHAB AAZMI Alayhirrehma bhi Shamil the."
💠 "HUZUR HAFIZ E MILLAT ne mouqa dekh kar SADRUSH SHARIA ki Bargah me Darkhwast ki to Aapne farmaya ke : "Shavvaalul Mukarram se Ajmer Sharif aa jaae Madrasa Mueeniya me dakhla dilva kar Taalimi SilSila Shuru kara dunga."
💠 "Shavallul Mukarram me HUZUR HAFIZ E MILLAT Apne chand Aham Asbaaq Dosto ke sath Ajmer Sharif pahonche. Unme IMAMUN NAHV HAZRAT ALLAMA GULAM JILANI SAHAB MERTHI rehmatullah alyh bhi Shamil the. Chunanche SADRUSH SHARIA ne sabko Jaamiya Mueeniya me dakhila dilva diya, tamam Darsi kitabe digar Mudarrisin par taqsim ho gai magar HAZRAT SADRUSH SHARIA Az raahe Shafqat Apni masroofiyaat se farig ho kar Tehzib va Usoolush Shaashi ka Dars diya karte."
💠 "Ilm e Mantiq ki Kitab 'Hamdullah' tak Taalim hasil karne ke baad HAFIZ E MILLAT ne Ma'aashi Pareshani aur Zaati masroofiyat ki vajah se mazid Taalim jari na rakhne ka irada kiya aur Doura e Hadis Sharif padhne ki khwaish Zaahir ki to..."
💠 "HUZUR SADRUSH SHARIA ne Shafqat se farmaya : "Aasman Zamin ban sakta he, Pahaad Apni jagah se Hil sakta he, Lekin Aapki ek Kitab bhi reh jaae aisa Mumkin nahi". Chunanche Aapne Apna Irada Multavi kiya aur puri Diljio ke sath SADRUSH SHARIA ki khidmat reh kar Manaazile Ilm tay karte rahe."
💠 "Bil Aakhir Ustade Mohtaram HAZRAT SADRUSH SHARIA ki Nigahe Faiz se 1351 mutabiq 1932 me Darul Uloom Manzare Islam Bareli Sharif se Dourae Hadis mukammal kiya aur Dastaarbandi hui."
➡️ "APNE USTAD HUZUR SADRUSH SHARIA KA ADAB"
💠 "HUZUR HAFIZ E MILLAT, HUZUR SADRUSH SHARIA ki Bargah me hamesha do zaanu betha karte. Agar HUZUR SADRUSH SHARIA zaruratan kamre se bahar tashrif le jate to talba khade ho jate aur unke jane ke baad beth jate aur jab vapas tashrif laate to adaban dobara khade ho jaate."
💠 "Lekin HUZUR HAFIZ E MILLAT Alayhirrehma is pure waqfe me khade hi rehte aur jab HUZUR SADRUSH SHARIA masnade Tadris par Jalva Afroz hote uske baad hi Aap betha karte."
➡️ "DEENI KITAB KA ADAB"
💠 "HUZUR HAFIZ E MILLAT Qayamgaah par hote ya Darsgaah me, kabhi koi Kitab let kar ya tek laga kar na padhte na Padhaate, balke Takiya ya desk par rakh lete, Qayamgaah se Madrasa ya Madrase se Qayamgaah kabhi koi Kitab le jani hoti to Dahine Hath me lekar Sine se lagaate."
💠 "Kisi Taalibe Ilm ko dekhte ke Kitab Hath me Latka kar chal raha he to farmate : "Kitab Jab sine se lagaai jaaegi to sine me utregi aur jab Kitab ko sine se dur rakha jaaega to Kitab bhi sine se dur hogi."
➡️ "HUZUR HAFIZ E MILLAT KI MUBARAKPUR ME AAMAD"
💠 "HUZUR HAFIZ E MILLAT rehmatullah alayh Faarigut Tehsil hone ke baad kuchh arse Bareli Sharif me HUZUR SADRUSH SHARIA ki khidmat me rahe Shavvalul Mukarram 1352 hijri me HAZRAT SADRUSH SHARIA ne Aapko Mubarakpur me Darso Tadris ka Hukm diya to Aapne arz kiya : "HUZUR ! me Mulaazemat nahi karunga."
💠 "Is par HUZUR SADRUSH SHARIA ne farmaya : "Mene Mulaazemat ka kab kaha he? me to Khidmate Deen ke liye bhej raha hu."
💠 "Aap 29 Shavvaalul Mukarram 1352 hijri mutabiq 14 January 1934 ko Mubarakpur pahonche aur Madrasa Ashrafiya Misbahul Uloom me Tadrisi Khidmaat me masroof ho gae. Abhi chand Maah hi guzre the ke Tarze Tadris va Ilm o Amal ke charche Aam ho gae aur Tishngaane Ilm ka ek Sailaab umand aaya jiski Vajah se Madrase me jagah kam padne lagi, Darsgaah ki zarurat mehsus hui."
💠 "Chunanche Aapne Apni Jiddo Juhad se 1353 hijri me Duniyae Islam ki ek Azim Darsgaah ki taamiri kaam Aagaz Gola Baazar me farmaya jiska naam SULTANUT TAARIKIN MEHBOOB E YAZDANI HAZRAT SAYYEDNA SARKAR MAKHDOOM ASHRAF JAHANGIR SIMNANI radiyallahu anhu ki Nisbat se "Darul Uloom Ashrafiya Misbahul Uloom" rakha."
➡️ "AAPKI DEENI KHIDMA'AT"
💠 "Aapne Apni Zindagi Me Bahot Si Ilmi Khidmat Anjaam Di He Aapke Madrase ‘Jamia Asharafiya (Mubarakpur)’ Ko Aapne Bahot Farog Diya. Khud Farmate The Ke Mene Jamiya Ashrafiya Ko Pasina Nahi Khoon Pilaya He. Aapne Kai Dini Khidmate Anjaam Dene ke Sath Sath Kai Kitabe bhi Tasnif Farmai he. Jinme se Chand Yaha Zikr ki Jaati he…"
1. Ma’arif e Hadis
2. Irshadul Qur’aan
3. Al Misbahul Jadid
4. Firqa e Naajiya
5. Fatawa Aziziya
6. Hashiya Sharhe Mishqaat
➡️ "HUZUR HAFIZ E MILLAT KO SUNNAT SE MOHABBAT"
💠 "HUZUR HAFIZ E MILLAT Alyhirrehma Apne har Amal me Sunnat ka bahot zyada khayal rakhte the. Ek baar Hazrat ke daae paau me Zakhm ho gaya. Ek Sahab Dawa le kar pahonche aur kaha : "HAZRAT ! Dawa Hazir he" Sardiyo ka zamana tha, Hazrat moza pehne hue the."
💠 "Aapne pehle Baae yaani ulte per ka Moza utara to wo Sahab bol pade : "Hazrat ! Zakhm to daahine paau me he" Aapne farmaya : "Baae yani ulte paau ka pehle utaarna Sunnat he."
➡️ "HUZUR HAFIZ E MILLAT KA BATAYA HUA AANKHO KA ILAAJ"
💠 "HUZUR HAFIZ E MILLAT Alayhirrehma ki Umr Sharif 70 Saal se zyada ki ho chuki thi, Train se safar kar rahe the, jis Birth par Aap tashrif farma the ittefaq se us par ek Doctor Sahab bhi bethe hue the, Doctor Sahab ne Baat chit shuru ki to Aapki Jalaalate Ilmi se bahot muta'assir hue aur baar baar Aapki taraf Hairat se dekhte rahe."
💠 "Douraane Guftagu Doctor Sahab ne Ta'ajjub ka izhar karte hue kaha : "Moulana Sahab ! me Aankho ka Doctor hu, me dekh raha hu ke is Umr me bhi Aapki binaai me koi farq nahi balke Aapki Aankho me bachcho ki Aankho jesi Chamak he, mujhe bataaiye iske liye Aakhir Aap kya chiz istemaal karte he?"
💠 "Farmaya : "Doctor Sahab ! me koi khas Dawa vagaira to istemaal nahi karta, haa ! ek Amal he jise me bila Naagah karta hu, Raat ko sone ke waqt Sunnat ke Mutabiq Surma istemaal karta hu mera yaqin he is Amal se behtar Aankho ke liye Duniya ki koi Dawa nahi ho sakti."
➡️ "AAPKE MALFOOZAT"
💠 "Jab Tak Is Duniya Me Aalim He Ye Aalam He. Jab Aalim Nahi Rahenge To Ye Aalam Bhi Nahi Rahega..."
💠 "Aadmi Kaam (Deen Ke Kaam) Ke Liye Paida Kiya Gaya He. Jo Shakhs Bekaar He Murdo Se Bhi Badtar He."
💠 "Dolatmandi Khuda Ka Sabse Bada Inaam He. Magar Dolat Sahi Kaam Me Kharch Karne Ki Tofiq Sabse Badaa Inaam He."
➡️ “AAPKA VISAAL E PAAK VA MAZAR SHARIF”
💠 "1 Jamadiul Avval Baroz Pir Aap Bukhari Sharif ka Dars de Rahe the. Bukhari Sharif me ‘Kitabul Janaaiz’ (Janaze ka Bayaan) aur Mout ke Mozu par Dars de Rahe the. Usi Raat Aapka Visale Paak hua. Aapka Mazar e Poor Anvaar Mubarakpur Zila Aazamgadh U.P. me He."
📔 (Faizane Hafize Millat, Malfoozate Hafize Millat)
0 Comments