➡ Shari’at Mein Musaafir Wo Shakhs Hai Jo Kam Se Kam 92 Kms Ki Doori Tak Musalsal (Continue) jaane. Yaani
{Saade Sttaawan (57/50) Meel Muddate Safar Hai Rail (Train) Me Ho Ya Paidal. والله تعالى اعلم
📘:Ahkaame Shari'at pge/165}
Aur 15 Din Se Kam Thaherne (Rukne) Ke iraade Se Apni Basti Ki Hadd Se Baaher Nikal Jaye.
➡ Musaafir Jabtak Apni Basti ki Hadd Mein Waapes Na Aa jaye Ya Kisi Jagah 15 Din Ya Ziyada Thaherne ki Niyat Na Kar le Uspar Qasr waajib hai, ya’ni jab Wo Akela Namaaz Parhe Ya imaamat Kare to 4 Rak’at Waali Farz Namaaz 2-2 Rak’at Parhe, puri 4 Rak’at Parhega To Gunahgaar Hoga.
➡ Sunnatein Parhne Ka Mauqa Ho To Puri Padhe, Mauqa na ho To Sunnatein Muaf Hain.
➡ Musaafir Par Juma Waajib Nahi, Magar Parh lega To Ho Jayega.
➡ Musaafir Agar Jama’at Se Namaaz Parhega To Muqeem imam ke pichhe Puri 4 Aur Musaafir imam Ke Pichhe 2 Hi Parhega.
➡ Kisi Jagah Pahunchne Ke Kayi Raaste Hon To Jis Raaste Se Safar Karega Doori Mein Usi Ka E’tebaar Hoga. Masalan Mumbai Se Kisi Jagah Ki Doori Train Ke Raaste Se 80 Kms Hai Aur Bus Ke Raaste Se 94, To Train Se Safar Karne Waala Musaafirr Nahi Hoga Aur Bus Se Safar Karne waala Musaafir Hoga.
➡ Agar Watane Asli Me Thodi Der Ke Liye Bhi Aayega To Puri Namaaz Parhega. Maslan. Mumabi Me Rehne Waala Nagpur Gaya Aur Nagpur se Waapes Mumbai Aaya Aur Thodi Der Thahar Kar Usko Hyderabad Jana Hai To is Darmiyaan Sab Namazein Puri Puri Parhega.
➡ Jo Aurat Shaadi Karke Sasuraal ya Kisi Dusre Shahr Chali Gayi Aur Wahi Rehne Sehne Lagi To Uske Liye Uska Maika Watan-e Asli Na Raha, Ya’ni Agar Wahaa Se Uska Maika 92 kms Ya Ziyada Doori Par Hai Aur Maika Mein 15 Din ya Ziyada Thaherne Ka iraada Nahi to Ye Aurat Musaafir Hai, ya'ni 4-4 Rak'at Waale Farz 2-2 Parhegi.
➡ Shari’at Mein Watan Do (2) Tarah Ka Hota hai.
1. Watan-e-Asli.
2. Watan-e-lqaamat.
➡ Watan-e-Asli:- Wo Jagah Hai Jaha iski Paidayish Huwi hai, Ya iske Ghar Ke log Wahaan Rehte Hain Ya Wahaan isne Mustaqil Taur Par Rihaayish ikhteyaar kar li Hai Ya’ni Ye iraada Hai Ke Yahaa Se Na Jayega.
➡ Watan-e-Iqaamat:- Wo Jagah Hai Jahaan 15 din Ya Ziyada Thaherne Ka irada Kar Le.
📖: Fataawa Razwiya: 8/241 se 258 Tak Ka Khulasa.
➡ Hadeeso ka Khulaasa Hai Ke Namaaz 2-2 Rak’at Farz Ki Gayi Thi, Jab Huzoorﷺ Ne Makkah Se Madeena Munawwarah Hijrat Farmayi To 4 Rak’atein Farz Kar Di Gayi, Aur Safar ki Namaaz Usi Pahle Farz Par Chhori Gayi. To Safar ki Namaaz Makkah Waali Namaaz ki Yaadgaar Hai aur 2-2 Rak’at Namaaz Bhi Puri Namaaz hai Kam Nahi, ya’ni Agarche Zaahir Mein 2 Rak’atein Kam Ho Gayi Magar Sawaab Mein 4 Hi Ke Baraabar Hain.
📖: Bukhaari Shareef: Hadees No. 3935
📖: Muslim Shareef: Hadees No. 687
📖: Sunan-e Ibn-e Maajah: Hadees No. 1194
📝 isi Tarah Hujj Wa Umre Ke liye Safare Harmain Sharifain Me Bhi inhi Masail Par Dhiyaan Den.
1 Comments
JazakAllahu khair