Hazrat Allama Maulana Arshad-ul-Qaadri rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Raees-ul-Qalam.
*****************
Aap ki wilaadat 1343 Hijri (5 March 1925 A.D.) me Sayyidpura, Zila Balya me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Maulana Abdul Lateef hai.
*************
Aap ne apne waalid se bunyaadi ta’aleem haasil ki.
Phir Daar-ul-Uloom Ashrafiya Misbaah-ul-Uloom, Mubarakpur me Hazrat Haafiz e Millat Haafiz Abdul Azeez Muradabadi rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki.
Ta’aleem mukkamal hone ke baad 1365 Hijri (1946 A.D.) me Aap ko dastaar-e-fazeelat ata ki gai.
*****************
Phir Aap ne Madrasa Islaamia Shams-ul-Uloom, Nagpur me ta’aleem wa dars dena shuru kiya.
1369 Hijri (1950 A.D.) me Jamshedpur tashreef laaye aur 5 saal tak khule maidaan me talba ko ta’aleem dete rahe. Phir Tata company se jagah khareed kar Daar-ul-Uloom Jaamia Faiz-ul-Uloom ki taamir ki.
Is ke ilaawa Daar-ul-Uloom Amjadia, Mau (U.P.) aur Jaamia Nizaam-ud-deen Aulia, Delhi ki bhi taamir ki.
1373 Hijri (1954 A.D.) me Aap ne Miftazh-ul-Uloom in Mau, U.P. ke Deobandi Maulwi Abdul Lateef Nu'mani ko mubaahisa me shikast di. Is ke baad Aap ‘Faatehe Jamshedpur’ ke naam se mash'hoor ho gaye.
Aap ke shaagirdo me Hazrat Mufti Jalaal-ud-deen Ahmad Amjadi rahmatullāhi alaihi mash'hoor hain.
1391 Hijri (January 1972 A.D.) me Aap ne dusra Hajje Baitullāh ada kiya.
Is dauraan deegar ulama e Ahle Sunnat ke saath World Islamic Mission (Al-Da’awat-ul-Islamiyyat-ul-Aalamiyyah) ki qaa'im kiya. Jis ka markaz (head office) Bradford, England me hai. Aur England me qayaam karke khidmate deen ka kaam karte rahe.
Aap ne ta’aleem e deen ke zariye islaam aur Ahle sunnat wal jama’at ki azeem khidmat ki hai.
*****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Zalzala
(2) Shariat
(3) Zer-o-Zabar
(4) Laala Zar
(5) Tabligh Jama’at - Ahadeeṡ ki roshni me
(6) Izhasr e Aqeedat (Majmua e Naat).
*****************
Aap Hazrat Haafiz e Millat Haafiz Abdul Azeez Muradabadi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khalifa Hazrat Allama Qamar-uz-zamaan Aazami hai.
*****************
Aap ka wisaal 15 Safar 1423 Hijri (29 April 2002 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Jamshedpur (Jharkhand) me hai.
************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Allama Maulana Arshad-ul-Qaadri rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 Comments