Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Namaz Me Chink Ye Jamai Aye To Kya Hukm Hai?

Namaz Me Chink Ye Jamai Aye To Kya Hukm Hai? | 

Islaah

Jawab:
Namaz Me Bilqasd Jamai Lena Makrooh-E-Tahrimi Hai Aur Khud Aaye To Harj Nahi.
Magar Rokna Mustahab Hai Aur Agar Rokne Se Na Ruke To Hont Ko Dantto Se Dabaye Aur Is Par Bhi Na Ruke To Dahina Ya Baya Hath Muh Par Rakh De Ya Asteen Se Muh Chupa Le.
Qayam Me Dahina Hath Se Dhanke Aur Dusre Mauqa Par Baya Se.

(1) (Miraqi Alfalah)
Faida: Ambiya عليهم الصلاةوالسلام Is Se Mehfoz Hai, Is Liye Ke Is Me Shaitani Mudahkilat Hai.
Nabi ﷺ Ne Farmaya: Ke “Jamahi Shaitan Ki Taraf Se Hai, Jab Tum Me Kisi Ko Jamahi Aye To Jahan Taak Mumkin Ho Roke”

(2) Is Hadees Ko Imam Bukhari Wa Muslim Ne Sahi Hain Me Riwayat Kiya, Balke Ba’az Riwayato Me Hai, Ke “Shaitan Muh Me Ghus Jata Hai”

(3) Ba’az Me Hai, “Shaitan Dekh Kar Hansta Hai”

(4) Ulma Farmate Hain: Ke “Jo Jamahi Me Muh Khol Deta Hai, Shaitan Is Ke Muh Me Thok Deta Hai Aur Jo Qah Qaha Ki Awaz Aati Hai, Wo Shaitan Ka Kehkaha Hai, Ke Is Ka Muh Bigra Dekh Kar Thatha Lagata Hai Aur Wo Jo Ratubat Nikalti Hai, Wo Shaitan Ka Thook Hai”

Iske Rokne Ki Behtar Tarkeeb Yeh Hai Ke Jab Jamahi Aati Maloom Ho To Dil Me Khayal Kare Ke Ambiya عليهم الصلاة والسلام Isse Mehfooz Hai, Foran Rook Jaeygi.
واللہ تعالیٰ اعلم
○●●●●●●●●●●●●○
Khalifa-E-Huzoor Tajushshariah
Mufti Dilshad Ahmad Qadri Razvi Amjadi
Khadim Dar Al-Ifta Ridawi Amjadi
○●●●●●●●●●●●●○
Apne Mobile Par Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne ke liye Dowanlod kare Maslak E AalaHazrat Android App Es link se 
https://paighame-raza.blogspot.com

Post a Comment

0 Comments