Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

🄿🄾🅂🅃➫ 15 Aqeeda Ambiya-e-Kiram ke Bare Main

بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ
اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ
وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 15
↡Aqeeda Ambiya-e-Kiram ke Bare Main↡ 
    •─────────────•
⚘AQEEDA ⌬ ➤ Har Nabi ki Taazeem-o-Tauqeer karna Farz hai Yahan Tak ki un ki Shaan me koi aisa lafz istemaal karna jis se kisi bhi tarah Galat Maana Nikal sakta ho Durust Nahi hai Tafseer ki kitaabon me hai ki jab Huzur Sallallaho alihe wasallam Sahaba ko Kuchh padhate aur sikhate the to agar unhen koi baat samajh me nahi aati to woh kahte “Raa’ina Ya Rasoolallah ﷺ” Is ka Maana Ye Tha ki Ya Rasoolallah ﷺ Ham logon ki riya’at kijiye aur hame Khoob Achchhi Tarah Samajh lene Dijiye Yahudiyon ki Zubaan Me is lafz ka Maana Hota Tha ''Hamare jaanwaron ke charaane wala'' To yahudiyon ne isi maane ki niyat se ye lafz apni majlison me huzur ke liye kahna shuru kar diya Hazrat-e-Sa’ad bin Ma’az radhi allaho anho jo yahudiyon ki Zubaan Achchhi Tarah jaante the Ek din yahudiyon ko yahi lafz Huzurﷺ ke liye kahte hue sun liya To Aap ne Farmaya Aye khuda ke Dushmano Agar ab ye lafz main ne kisi ko kahte hue sun liya to us ko Qatal kar Dunga Yahudiyon ne kaha ki aap ham par gussa hote hain Musalman bhi to ye lafz Huzurﷺ ke liye Bolte hain Is par Aap Gamgeen ho kar Huzurﷺ ki Baargaah me haazir hi hue the ki ye aayat naazil hui

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَقُوۡلُوۡا رَاعِنَا وَقُوۡلُوا انۡظُرْنَا وَاسْمَعُوۡا ؕ وَ لِلۡکٰفِرِیۡنَ عَذَابٌ اَلِیۡمٌ

⚘TARJUMA ⌬ ➤ Aye imaan walo tum “Ra’ina” na kaho Balke “unzurna” kaho aur gaur se suno Aur kaafiron ke liye bada dardnaak azaab hai
📬 SuraH baqra,Aayat No.104 📚

⚘ ⌬ ➤ s aayate karima me “Ra’ina” ka lafz istemaal karna mana kar diya gaya aur isi maane ko ada karne wala ek dusra lafz “Unzurna” kahne ka hukm hua Is se maloom hua ki ambiya-e-Kiram ki shaan me koi aisa lafz jis se kisi bhi tarah Galat Maana Nikal Sakta ho us ka istemal karna sahi nahi hai Balki achchhi bhi baat galat andaaz me kahna sakht mana hai..
📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ

Share on
|



Post a Comment

0 Comments