Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

🄿🄾🅂🅃➫ 16 Aqeeda Ambiya-e-Kiram ke Bare Main

بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ
اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ
وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 16
↡Aqeeda Ambiya-e-Kiram ke Bare Main↡ 
    •─────────────•
⚘ ⌬ ➤ AllaH Ta’ala ne irshad Farmaya ki

یٰۤاَیُّہَا الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا لَا تَرْفَعُوۡۤا اَصْوَاتَکُمْ فَوْقَ صَوْتِ النَّبِیِّ وَلَا تَجْہَرُوۡا لَہٗ بِالْقَوْلِ کَجَہۡرِ بَعْضِکُمْ لِبَعْضٍ اَنۡ تَحْبَطَ اَعْمَالُکُمْ وَ اَنۡتُمْ لَا تَشْعُرُوۡنَ

⚘ TARJUMA ⌬ ➤ Aye imaan walo Tum apni awaazon ko nabi ki awaaz pe buland na karo aur unke samne aise chilla kar baat na kiya karo jaise tum apne me ek dusre se karte ho Nahi to tumhare saare aa’maal barbaad kar diye jaaenge aur tumhe pata bhi nahi chalega
📬 SuraH Hujraat, Aayat No.2 📒

⚘ ⌬ ➤ Isi liye Ambiya-e-Kiraam ke liye ye kehna ki “Woh bhi hamari tarah bashar hain”durust nahi hai Is liye ki Ambiya-e-kiraam Paida’ish ke Etabaar se Zarur bashar hain Yahan Tak ki jo un ko Bashar Na Maane Woh Kaafir hai Magar is tarah bolne se ki “Woh bhi hamari Tarah Bashar hain” Ye Samajh Me Aata hai ki jis Tarah Se Ek Aam Bashar Hota hai Usi Tarah Ambiya-e-Kiraam bhi hote hain Aur ye Ambiya ki Shaan me gustakhi hai Quran sharif Padhne se maloom hota hai ki isi liye ye lafz Har Zamaane ke kaafiron ne Ambiya-e-Kiraam ke liye istemal kiya.. ⚘ ⌬ ➤ Chunanche Quran Sharif ki Kuchh Aayaten Ye Hain

قَالُوۡۤا اِنَّمَاۤ اَنۡتَ مِنَ الْمُسَحَّرِیۡنَ وَمَاۤ اَنۡتَ اِلَّا بَشَرٌ مِّثْلُنَا وَ اِنۡ نَّظُنُّکَ لَمِنَ الْکٰذِبِیۡنَ

⚘ TARJUMA ⌬ ➤ (Hazrat Shoaib alaihissalam ke zamaane ke kaafiron ne unse) kaha Beshak tum par jaadu kiya gaya hai Aur tum to nahi ho magar humari hi tarah bashar Aur hum to tumhe jhuthon me se samjhte hain
📬 SuraH Shu’ara,Aayat No.186 📒

قَالُوۡۤا اِنَّمَاۤ اَنۡتَ مِنَ الْمُسَحَّرِیۡنَ مَاۤ اَنۡتَ اِلَّا بَشَرٌ مِّثْلُنَا ۚۖ فَاۡتِ بِاٰیَۃٍ اِنۡ کُنۡتَ مِنَ الصّٰدِقِیۡنَ

⚘TARJUMA ⌬ ➤ (Hazrat-e- Saaleh alaihissalam ke zamaane ke kaafiron ne unse) kaha Beshak tum par jaadu kiya gaya hai Aur tum to nahi ho magar humari hi tarah bashar Agar tum sachche ho toh koi nishaani le aao
📬 SuraH Shu’ara,Aayat No.153.154 📕

قَالُوۡا مَاۤ اَنۡتُمْ اِلَّا بَشَرٌ مِّثْلُنَا ۙ وَ مَاۤ اَنۡزَلَ الرَّحْمٰنُ مِنۡ شَیۡءٍ ۙ اِنْ اَنۡتُمْ اِلَّا تَکْذِبُوۡنَ

⚘ TARJUMA ⌬ ➤ Kaafiron ne kaha tum to nahi ho magar hamari tarah bashar Rahman ne kuch nazil na kiya, tum to sirf jhuth bolte ho

📬 SuraH Yaasin,Aayat No.15 📗

⚘ ⌬ ➤ Is liye ye lafz hame ambiya ki shaan me istemal nahi karni chahiye..✍

📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ

Share on
|



Post a Comment

0 Comments