Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Allama Abdul Mustafa Azhari rahmatullāhi alaihi :

Hazrat Allama Abdul Mustafa Azhari rahmatullāhi alaihi :
****************
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Raees-ul-Mufassireen, Shaikh-ul-Hadeeṡ.

****************
Aap ki wilaadat 1337 Hijri (1918 A.D.) me Bareilly me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Sadr-ush-Shariah Mufti Amjad Ali Aazmi bin Allama Jamaal-ud-deen rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Kareema Khaatoon hai.

A’ala Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan rahmatullāhi alaihi se bache ke naam ke liye arz kiya to A’ala Hazrat ne ‘Abdul Mustafa’ naam ata farmaaya.

****************
Aap ne Daar-ul-uloom Manzare Islaam, Bareilly me Hazrat Maulana Ehsaan Ali Muzaffarpuri se Qur’an majeed ki ta’aleem haasil ki.
Phir Hazrat Sadr-ush-Shariah ke Ajmer tashreef le jaane ke baad Aap ne Ghausi, Aazamgadh me Urdu ki ta’aleem haasil ki.

1344 Hijri (1926 A.D.) me Hazrat Sadr-ush-Shariah ne aap ko Daar-ul-uloom Jaame Moeeniyah Uṡmaaniya, Ajmer bula liya. Jaha par Aap ne Hazrat Maulana Aarif Badayuni se Faarsi ki kitaabo ki ta’aleem haasil ki. Hazrat Maulana Hakeem Abdul Majeed, Hazrat Mufti Imtiyaaz Ahmad aur Maulana Abdul Hayy Swati se Arabi ki ta’aleem haasil ki.

Jab Hazrat Sadr-ush-Shariah Bareilly waapas tashreef laaye to Aap ko aala ta’aleem ke liye Cairo (Egypt) bheja.
Hajj Baitullāh aur Ziyarate Roza e Rasool sallallāhu alaihi wa sallam ada karne ke baad Aap Jaame Azhar, Cairo pahunche. Waha 3 saal tak ta’aleem haasil karne ke baad Aap ne 2 sanade ‘Shahaadatul Ahleet wa Shahaadatul Aaleem’ haasil ki.

Jab Jaame Azhar se waapas aaye tab Hazrat Sadr-ush-Shariah Dadoon (Aligadh) ke Daar-ul-Uloom Hafizia Shervani me Sadr-ul-Mudarriseen the. Aap ne dobaara waalide maajid se Hadeeṡ ka daura kiya.

****************
Faarigh hone ke baad Aap ne Hazrat Sadr-ush-Shariah ki nigraani me tadrees shuru ki.
1358 Hijri (1939 A.D.) me Aap Daar-ul-uloom Manzare Islaam, Bareilly me masnade tadrees pe faa'iz hue.
1363 Hijri (1944 A.D.) me Daar-ul-uloom Ashrafi Mishaab-ul-uloom, Aazamgadh me Sadr-ul-mudarris wa Shaikh-ul Hadeeṡ bane aur taqseeme mulk tak usi madrase se munsalik rahe.

1367 Hijri (1948 A.D.) me Pakistan tashreef laaye aur Jaame Muhammadi, Zila Jhang me Shaikh-ul-Hadeeṡ muqarrar hue.
1372 Hijri (1953 A.D.) me Jaama Masjid Haaroonabad (Bahawal Nagar) me Khateeb bane.
Aap ne Daar-ul-uloom Manzare Islaam ki bunyaad rakhi aur us ke liye aali-shaan imaarat ta’ameer karaai.
Jab ba’az jaahil aur shar pasand logo ne Daar-ul-uloom ki imaarat ko qabze me lekar apne zaati maqaasid ke liye istemaal karne ki koshish ki to halaat kharaab hone ki bina par Aap Karachi tashreef le gaye. Aur Jaame Amjadi, Karachi me Shaikh-ul-Hadeeṡ bane.

*****************
Aap Jamiate Ulma e Pakistan ke suba Sindh ke Qaa'ide Ahle Sunnat Hazrat Allama Shaah Ahmad Nooraani Siddeeqi rahmatullāhi alaihi ke dost wa muawin rahe.

1390 Hijri (1970 A.D.) ke intekhaab me Aap Qaumi Assembly ke Rukn muntakhab hue. Qaumi Assembly me Aap ne saheeh numa'indagi ka haq ada kiya.

1397 Hijri (1977 A.D.) me Tahreeqe Nizaame Mustafa sallallāhu alaihi wa sallam ke dauraan jab Hazrat Allama Shaah Ahmad Nooraani Siddeeqi rahmatullāhi alaihi ko giraftaar karke mulk ke garm tareen ilaaqe Gad'hi Khairu (Sindh) me jail me qaid kiya gaya to Aap ne haqe niyaabat ada kiya aur Jamiat ke qaa'im muqaaam sadr ke faraa'iz anjaam diye.

Aa'iyan (constitution) ki tadwin ke waqt jab Aa'iyan ki ta’areef me musalman ki ta’areef shamil karne ka mas’ala aaya to Allama Shaah Ahmad Nooraani Siddeeqi ki tehreeq ke jawaab me hukoomati mimbare assembly ko shar niyaazi ne kaha ke “Tamaam makaatibe fikr kisi ek ta’areef par muttafaq nahi hain.” To Aap ne ek muttafaq ta’areef murattab ki jo tamaam makaatibe fikr ke araakine assembly ke dastakhato ke saath assembly me pesh ki gai.

****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Tafseere Azhari (Tafseere Qur’an majeed, 5 Juz)
(2) Taarikh-ul-Ambiya.

****************
Aap ke mash'hoor shaagird :
(1) Maulana Khaleel Ashraf
(2) Maulana Ghulaam Yāseen
(3) Maulna Fazle Sub'haan
(4) Maulana Ghulaam Nabi
(5) Maulana Muhammad Tufail
(6) Maulana Munseeb-ur-Rahmaan
(7) Maulana Muhammad Taar-Qaasim
(8) Maulana Muhammad Is'hāq
(10) Maulana Muhammad Rafeeq Zia-ud-deen
(11) Maulana Haafiz Abdul Baari Qaadri.

****************
Aap A’ala Hazrat Imaam Ahmad Raza Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi ke mureed hain.
Hazrat Mufti e aazam e Hind Mustafa Raza Khan rahmatullāhi alaihi ne Aap ko Khilaafat ata farmai hai.

****************
Aap ilaaj ke liye Japan tashreef le gaye the. Wahi aap ka intiqaal hua. Aap ko Japan se Pakistan laaya gaya.

Aap ka wisaal 16 Rabi ul awwal 1410 Hijri (18 October 1979 A.D.) ko Budh ke roz hua.

Aap ka mazaar Karachi (Pakistan) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Allama Abdul Mustafa Azhari rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments