Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Makhdoom Shaikh Sa’ad-ud-deen Khairabadi rahmatullāhi alaihi

Hazrat Makhdoom Shaikh Sa’ad-ud-deen Khairabadi rahmatullāhi alaihi :
*******************
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Qutb e aalam, Shaah e wilaayat, Makhdoom e Kabeer.

****************
Aap ke waalid ka naam Hazrat Qaazi Budhan Shaah rahmatullāhi alaihi hai.

****************
Aap ne Faqeeh-e-aazam Maulana Aazam saahab se uloom e zaahiri ki ta’aleem haasil ki. Phir ‘Awaariful Ma'aarif’ ki ta’aleem haasil ki.

Aap rozaana apna sabaq yaad kar liya karte aur roz raat ko us sabaq ko 1000 martaba padha karte the.

****************
Aap Aalim, Mohhaddiṡ aur Faqeeh the.
Aur Arif billāh aur Soofi the.

Aap Khairabad me madrasa me talba ko ta’aleem wa dars dete the.

****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaab :
Majmua e Sulook wal Fawa'aid.

****************
Aap Hazrat Makhdoom Shaah Meena Mohammad Lakhnawi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aur ‘(Chishti Nizaami) Meenaai’ silsila ke shaikh hain.

Aap ke khalifa :
Hazrat Makhdoom Shaah Safi Abdus Samad rahmatullāhi alaihi.

****************
Aap ka wisaal 16 Rabi-ul-Awwal 922 Hijri (19 April 1516 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Khairabad (Uttar Pradesh) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Makhdoom Shaikh Sa’ad-ud-deen Khairabadi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments