اَلصَّلٰوةُوَالسَّلَامُ عَلَيۡكَ يَاسَيِّدِۡي ياَرَسُوۡلَ اللهﷺ اَلصَّلٰوةُوَالسَّلَامُ عَلَيۡكَ يَاسَيِّدِۡي ياَحَبِيۡبَاللهﷺ |
💢 Sawal:-Meelad manane walon se chand sawaalat..1. Jab Nabi ﷺ Noor hain to wiladat kis liye..? 2. Jab Hazir Nazir hai to Aamad kis liye..? 3. Jab wafat nahi hui to umar 63 baras kis liye.. ? 4. Baqaul e imam Ahl e shirk wa biddat Ahmed Raza Khan Barelvi Aap ki wafaat 12 Rabiul Awwal batata hai... to fir wafat ke din Eid kis liye.. ?? In ka jawab talaash karo... ?? ♐Jawab:-Huzoor ﷺ ka Noor hona Quraan o Hadees ki Roshni me bilkul zaahir hai. Aur Bashar hona bhi mazkoor hai ... lehaza Huzoor ﷺ Ba shakl e Bashar Rabiun Noor shareef me Is Dunia me tashreef laaye. Isi Tarah Ahadees me hai k Allah Ta'ala ne mere liye dunia Samet di to mai us ke mashriq magrib dekhta hu .. lehaza Huzoor Hazir o Naazir bhi hue. Aur Ambiya ki Hayat Apni qbro me saheeh ahadees se saabit hai. Haan zaahiri dunia me hum se parda farma gaye lehaza Huzoor ﷺ ki Aamad o Rukhsat zaahir ke etebar se hai. Aur Ap ka wisaal e mubarak bhi ba hukm e zaahir hai. Alahazrat khud farmaate hain k mo'tabar 12 rabiun noor sharif hi yaum e wiladat hai aur Khushi manane ka hukm hua jab k gam manane se mana kiya gaya. Lehaza hum Huzoor ﷺ ki Aamad ki khushiyaan manaate rahenge ..*Khak ho jaayen Adu Jal kar magar hum to Raza* *Dam me jab tak dam hai zikr unka sunaate jaayenge* Mai ne ikhtesar k sath jawab likh diya kyu k in gustakhaan e Nabi ﷺ k sawalaat k jawaab hamare Buzurgo ne Tafseel k sath bahot pehle de diye. Meri guzarish ye hai k aise Shaitaano se door rahen aur jo Is tarah ka msg kar k gumrah kare use fauran block karen isi me Iman ki hifazat hai. 📝 *مفتى مقصــــود اختــر القـــادری* خادم الافتـــــاء رضوی امجدی دارالافتاء ۵۰/ نیو قاضی اسٹـــریٹ ممبئی ۴۰۰۰۰۳ 📝 *Mufti Maqsood Akhtar Qadri* Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi 50/ New Qazi Street Mumbai 400003. *Apne Mobile pr Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabik islami wa islahi Post Padhne ke liye Dowanlod kare Maslak E AalaHazrat Android App Es link se* https://maslakeaalahazratofficial.blogspot.com |
0 Comments