Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Post:-04 Aqeeda AllaH Ta’aLa ke Baare Main

بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ
اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ
وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ
Aqaid E Ahlesunnat 🄿🄾🅂🅃➫04
↡Aqeeda AllaH Ta’aLa ke Baare Main↡ 
    •─────────────•
⚘AQEEDA ⌬ ➤  AllaH Ta’ala jism-o-jismaniyaat se paak hai yaani na woh jism hai aur nahi us me woh baaten paai jaati hain jo jism se ta’alluq rakhti hain jaise haath, pair, aankh, naak, kaan aur chalna,phirna,uthna, baithna,simatna wagairah wagairah In sab chizon se Allah Ta’ala paak hai aur Quran-o-hadis me jo Allah Ta’ala ke liye haath, pair aur istawa wagairah ka lafz aaya hai jis se zaaheri taur par jism samajh me aata hai in ka zaaheri maana muraad lena gumrahi aur bad-mazhabi hai Is ke baare me sahi aqeeda ye hai ki woh saare alfaz (words) jo Quran-o-Hadis me aae hain un sab ke haq hone par imaan rakhe aur us se kya muraad hai? us ko Allah ke supurd kar de ki wahi apni muraad behtar jaan ne wala hai Hamara to bas Allah aur us ke Rasool ki baat par imaan hai ki “Istewa” haq hai ”Haath ” haq ha lekin us ka istewa makhlooq ki Istewa ki tarah nahi aur us ka “Haath” makhlooq ki “Haath” ki tarah nahi isi tarah us ka dekhna aur sunna makhlooq ki tarah nahi balki us ki koi bhi chiz makhlooq ki tarah nahi hai kyunki Allah Ta’ala ne khud hi irshaad farmaya hai ki
“koi bhi chiz uski tarah nahi hai..✍
  📬 SuraH Shura : 11 📗
📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ


Share on: |


Post a Comment

0 Comments