Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Seerat-E-Mustafaﷺ Post :-08

بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ
اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ
وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ

Sᴇᴇʀᴀᴛ-E-Mᴜꜱᴛᴀꜰᴀﷺ

» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 08«

⚘ Mukhtasar Seerat E Mustafa ﷺ
•───────────────•

⚘ ⌬ ➤ Nabuwat ka Pehla (1st) Saal
Huzur Sallallaho alaihe wasallam Elaan-e-Nabuwat Se Pehle Aksar Gaar-e-Hira Me jaakar Allah Ta’ala ki ibaadat Me Lage Rehte The Jab Aap sallallaho alaihe Wasallam ki umr 40 saal ki Hoyi Toh Gaar-e-Hira Me Pehli Baar Aap Par Wahi Utri.Jisme Surah Alaq ki Pehli 5 Ayatein Thi Phir Aap Sallallaho alaihe wasallam Ne Safa Pahaad Par Chadh ke Apni Nabuwat ka Elaan Farmaya.Shuru Mein Hazrat-e-Khadija,Hazrat-e-Abu’bakar,Hazrat-e-Ali aur Hazrat-e-Zaiad bin Haarisa Ne Islam Qubool kiya Aur Hazrat Abu Bakr ki Tabligh Se Aur Bhi Logo ne Islam Qubool kiya,inhi me Hazrat Arqam Bhi The Hazrat Arqam Hi ke Ghar Mein Deeni Talim-o-Tarbiyat Ki Sab Se Pehli Dars-Gaah Qayam Hoyi Aur Elaan-e-Nabuwat Ke Baad 3 Saal Tak Islam ki Taalim-o-Tabligh Hoti Rahi Aur is 3 Saal Me Taqriban 40 logo Ne Islam Qabool Kiya Shahar Se Bahar Namaz Ada ki Jaati Rahi Aur Khufiya Tariqe Se Sab Kaam Hota Raha 3 Saal ke Baad Allah Ta’ala Ne Aap sallallaho alaihe wasallam ko khul kar Dawat Dene ka Hukum Diya. Phir Khul kar Dawat ki Shuru’aat Hoyi Aur Saath Hi Me Kaafiron Aur Mushrikon ki Taraf Se Mukhalifat Ka Bhi Samna Pada Shuru Me Mukhalifat kam Rahi Lekin Baad Mein Jab Kafiron Ne Zulm-o-Sitam ki Hadd Paar Kardiya Toh Aap Sallallaho alaihe wasallam ne Nabuwat ki Panchwi Saal Musalmano ko Habsha Ki Taraf Hijrat ki ijazat di, Toh Hazrat Usman Gani radhi allaho anho ki Qiyadat Mein 11 Mard Aur 4 Aurton Ne Habsha ki Taraf Hijrat ki Is Safar me Hazrat Usman ke Saath unki Biwi Hazrat Ruqaiyya bint-e-Rasoolallah sallallaho alaihe wasallam Bhi Thi....
📝Pᴏꜱᴛ Jᴀᴀʀɪ Hᴀɪ....ان شاء الله تعالیٰ
Share on
|

Post a Comment

0 Comments