اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 09 ↡Aqeeda kitabon ke Baare Main↡ •─────────────• ⚘ ⌬ ➤ AllaH ta’ala ne insaano ki hidayat ke liye ambiya-e-kiram par chhoti badi bahot saari kitabein naazil farmaya, un mein se chhoti kitaab ko sahifa aur badi ko kitaab kaha jaata hai 4 kitabein bahut mash’hoor hain ⚘1 ⌬ ➤ Tauret, jo hazrat-e-Musa alaihissalam par naazil hui ⚘2 ⌬ ➤ Zaboor, jo hazrat-e-Dawood alaihissalam par naazil hui ⚘3 ⌬ ➤ Injeel, jo hazrat-e-Isa alaihissalam par naazil hui ⚘4 ⌬ ➤ Quran sharif, Jo hamare nabi Mohammad sallallaho alaihe wasallam par naazil hui ⚘ ⌬ ➤ In tamaam kitabon par imaan laana yani un ko haq aur khuda-e-ta’ala ki kitaab maan’na zaruri hai aur in mein se kisi ka bhi inkaar karna kufr-o-bedeeni hai..✍ 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ |
0 Comments