اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 10 ↡Aqeeda kitabon ke Baare Main↡ •─────────────• ⚘ AQEEDA ⌬ ➤ Pehli kitabon ki hifazat ki zimmadari Allah ta’ala ne nahi liya is liye aaj un mein se aksar kitaabon ka naam-o-nishaan bhi nahi milta aur jin kitaabon ka naam-o-nishan baqi hai un mein se koi bhi kitaab apni asal surat mein nahi hai balki us mein Mafaad parast logon ne ghata badha diya hai aur bahot saari jaghon par radd-o-badal bhi kar diya hai Lekin Quran sharif ki hifazat ki zimmadari khud Allah ta’ala ne liya is liye is kitaab mein koi radd-o-badal na hui aur nahi qayamat tak ho sakti hai Allah ta’ala irshad farmata hai اِنَّا نَحْنُ نَزَّلْنَا الذِّکْرَ وَ اِنَّا لَہٗ لَحٰفِظُوۡنَ ⚘ TARJUMA ⌬ ➤ Beshak Ham ne Quran ko naazil kiya aur beshak ham zarur us ki hifaazat karne wale hai 📬 SuraH Al-hajar,Aayat No.9 📚 ⚘ ⌬ ➤ Is liye agar koi ye kahe ki is Quran mein kuchh ghata ya badha diya gaya hai,Ya jaisa naazil huwa tha ab waisa nahi hai,Ya is mein se kuchh pare jo hazrat-e-Ali ki shaan mein naazil hui thi sahaba ne use chhupa liya woh kaafir hai..✍ 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ |
0 Comments