Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Post:-12 Aqeeda Kitabon ke Baare Main

بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ
اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ
وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 12
↡Aqeeda Kitabon ke Baare Main↡ 
    •─────────────•
⚘ AQEEDA ⌬ ➤ Quran sharif ki har aayat par imaan laana zaruri hai ek aayat ka bhi inkaar karna kufr-o-be’deeni aur halakat-o-barbadi ka zariya hai

📬 SuraH baqra,Aayat No.85 📚

⚘FAA’IDA ⌬ ➤ Quran sharif ki kuchh aayaton se hame maloom hota hai ki Izzat aur taaqat Sirf Allah ke liye hai isi tarah kuchh aayaton se maloom hota hai ki Gaib ka ilm sirf Allah ta’ala ko hai, Phir dusri aayaton se maloom hota hai ki Izzat aur taaqat Allah ke saath us ke rasoolon , farishton aur momino ko bhi hai isi tarah gaib ka ilm rasoolon ko bhi hain To is ka matlab ye nahi hai ki Quran sharif ki ek aayat galat aur dusri sahi hai ya dono mein ekhtilaaf hai balki sirf hamari samajh mein ekhtilaaf hai haqiqat mein nahi Kyunki jin logon ko Allah ta’ala apne fazl se Quran ke ilm mein maharat ata farmaya un logon ne wazeh kar diya hai ki Jahaan par ye hai ki Izzat aur taqat ya gaib ka ilm sirf Allah ko hai wahan par matlab ye hai ki “Begair kisi ke diye khud se izzat-o-taqat aur gaib ka ilm sirf Allah ta’ala ko hai”aur jahaan par ye hai ki izaat-o-taaqat Allah ke saath us ke rasoolon,farishton aur momino ke liye bhi hai to us ka matlab ye hai ki “in logon ko bhi hai magar khud se nahi balki Allah ke ata karne se hai” is liye dono tarah ki aayaton mein koi ekhtilaaf nahi

⚘ ⌬ ➤ Is Baat ko Hamesha yaad rakhe ki Quran Sharif ki Aayaton mein koi Ekhtilaaf nahi hai Aur Agar Kisi jagah Par hame aisa lagta hai to yaqenan ye hamari samajh hi ki galti hai aisi surat mein hame ulma se is ka hal maloom karni chahiye kyunki Allah ta’ala ne irshad farmaya ki Agar tum nahi jaante ho to jaan ne walo se puchho..
📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ


Share on
  |


Post a Comment

0 Comments