اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 11 ↡Aqeeda Kitabon ke Baare Main↡ •─────────────• ⚘AQEEDA ⌬ ➤ Puri dunya ke insaan-o-jinnat mil kar bhi Quran ki tarah koi kitaab nahi bana sakte,balki us ki sab se chhoti surat ki tarah koi surat bhi nahi bana sakte hai 📬 SuraH Bani isara’il, Aayat No.88.SuraH Yonus, Aayat No.38 📒 ⚘ FAA’IDA ⌬ ➤ Quran Allah Ta’ala ki Kitaab hai is ki Sab se Badi Dalil Yahi hai ki Puri Duniya ke jinnat-o-insaan bhi Mil kar is Kitaab ki Tarah koi kitaab ya is kitaab ki kisi Surah ke Jaisi Surah Nahi Bana Sakte hai kyunki insaano ki bana’ee hui chizon aur Allah ta’ala ki Bana’ee hui Chizon mein yahi farq hai ki insaan ki bana’ee hui Chiz ki tarah dusra insaan Bana sakta hai jaise Computer, Hawa’ee jahaz,Train aur Mobile Wagairah ye sab kisi insaan ne Banaya phir is ki Tarah Balki is se Bhi Behtar Hazaaron insaan Bana Rahe Hai Aur Banate Rahenge, Magar Alllah ta’ala ki bana’ee hui Chizon ki Tarah koi insaan nahi bana sakta jaise Zameen, Aasmaan, Chand, Suraj, Machhli, Makhkhi, Machhhar, Jugno Wagairah ye sab Allah Ta’ala ki bana’ee hui Chizein hai is liye aaj Tak koi in ki Tarah Na bana Saka hai aur Nahi Bana Sakta Hai.. 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ |
0 Comments