اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 23 ↡ Aqeeda Sahaba-e-Kiraam ke Bare Main ↡ •─────────────• ⚘AQEEDA ⌬➤ Sahaba Mein Sab Se Afzal Hazrat-e-Abu’bakar Siddiq , Phir Hazrat-e-Umar Farooq ,Phir Hazrat-e-Usman e Gani Phir Hazrat-e-Maula Ali radhi allaho anhum hai Jaisa ki Sahi Bukhari ki Hadees Hai عَنْ مُحَمَّدِ ابْنِ الْحَنَفِيَّةِ قَالَ قُلْتُ لأَبِى أَىُّ النَّاسِ خَيْرٌ بَعْدَ رَسُولِ اللَّهِ – صلى الله عليه وسلم – قَالَ أَبُو بَكْرٍ . قُلْتُ ثُمَّ مَنْ قَالَ ثُمَّ عُمَرُ ⚘Tarjuma ⌬➤ Hazrat Mohammad bin hanfiya radhi Allaho anho kehte hain ki Main ne Apne walid ( Hazrat-e-Ali radhi allaho anho) Se Puchha ki Rasoolallah ﷺ ke Baad Logon Mein Sab Se Behtar Kaun hai? To Hazrat-e-Ali radhi allaho anho ne Farmaya Ki Abu’bakar, Mohammad bin hanafiya kehte hain ki main ne Puchha ki Phir un ke Baad kaun hai? To unho ne kaha ki Umar 📬 Sahi Bukhari,Hadith No.3671 📗 عَنِ ابْنِ عُمَرَ – رضى الله عنهما – قَالَ كُنَّا نُخَيِّرُ بَيْنَ النَّاسِ فِى زَمَنِ النَّبِىِّ – صلى الله عليه وسلم – فَنُخَيِّرُ أَبَا بَكْرٍ ، ثُمَّ عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ ، ثُمَّ عُثْمَانَ بْنَ عَفَّانَ رضى الله عنهم ⚘Tarjuma ⌬➤ Hazrat-e-Abdullah bin Umar radhi allaho anhuma Bayan Karte Hain ki Nabi kareem ﷺ ke Zamaane Hi mein Jab Hame Sahaba Ke Darmiyan intekhab ( Selection) ke liye kaha Jaata To Sab Se Afzal-o-Behatar Ham log Hazrat-e-Abu’bakar siddiq radhi allaho anho ko Qarar Dete Phir Hazrat-e-Umar ko Phir Hazrat-e-Usman radhi allaho anhuma ko 📬 Sahi Bukhari,Hadith No.3655 📒 ⚘ ⌬➤ In Dono Hadison Se Maloom Hogaya Ki Huzur ﷺ ke Zaamne hi Se Saare Musalman Hazrat-e-Abu’bakar radhi allaho anho Ko Sab Se Afzal Phir Hazrat-e-Umar, Phir Hazrat-e-Usman e Gani radhi allaho anhuma ko maante Chale Aa Rahe The aur Hazrat-e-Usman e Gani radhi allaho anho ki Shahadat ke baad Tamaam Sahaba e Kiraam Ne Hazrat-e-Ali Se Ziyada afzal kisi ko Nahi Samjha isi liye Bade Bade Sahaba ne un Se Khilafat Qabool karne ki Farkhast kiya Jise Aap Ne un ki khair’khahi karne ke liye Qabool Farmaya to is se ye saabit hogaya ki Hazrat-e-Usman e Gani radhi allaho anho ke Baad Sab se Afzal Hazrat-e-Ali radhi allaho anho hai Is liye Ahl-e-Sunnat wa Jama’at ka Aqeeda hai ki Sahaba mein Sab Se Afzal Hazrat-e-Abu’bakar siddiq radhi allaho anho hain Phir hazarat-e-Umar e Farooq, Phir Hazrat-e-Usman e Gani,phir Hazrat-e-Maula Ali radhi allaho anhum hai Aur Yahi Sahi Aqeeda hai jis Par Sahaba Qaa’im The is liye Ham Par Bhi Zaruri hai ki Ham Bhi isi Aqeede par Qaa’im Rahe kyunki haq Jama’at Ki Pehchaan hi Huzurﷺ ne Ye Bataya hai ki “Nijaat Pane Wale log Wahi hai jo Mere aur Mere Sahaba ke Tariqe Par Rahe.. 📬Tirmizi,Hadith No.2641 📚 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ | |
0 Comments