اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 22 ↡ Aqeeda Sahaba-e-Kiraam ke Bare Main ↡ •─────────────• ⚘AQEEDA ⌬➤ Kisi bhi sahabi ka tazkara ho achchha’ee ke saath karna zaruri hai aur un mein se kisi ki bhi shaan mein galat alfaaz ka istemaal karna halakat-o-barbaad ka zariya hai Huzur sallallaho alaihe wasallam ne irshad farmaya ki اللَّهَ اللَّهَ فِى أَصْحَابِى اللَّهَ اللَّهَ فِى أَصْحَابِى لاَ تَتَّخِذُوهُمْ غَرَضًا بَعْدِى فَمَنْ أَحَبَّهُمْ فَبِحُبِّى أَحَبَّهُمْ وَمَنْ أَبْغَضَهُمْ فَبِبُغْضِى أَبْغَضَهُمْ وَمَنْ آذَاهُمْ فَقَدْ آذَانِى وَمَنْ آذَانِى فَقَدْ آذَى اللَّهَ وَمَنْ آذَى اللَّهَ فَيُوشِكُ أَنْ يَأْخُذَهُ ⚘AQEEDA ⌬➤ Mere sahaba ke bare mein Allah se daro Mere dunya se jaane ke baad tum log un ko apni galat baato ka nishana na bana lena Jis ne un se mohabbat kiya us ne mujh se mohabbat ki wajah se un se mohabbat kiya aur jis ne un se dushmani rakha us ne mujh se dushmani rakhne ki wajah se un se dushmani rakha aur jis ne un ko taklif pahuchaya us ne mujhe taklif pahuchaya aur jis ne mujhe taklif pahuchaya us ne Allah ko taklif pahuchaya aur jis ne Allah ko taklif pahuchaya to jald hi Allah Ta’ala us ki pakad Farmayega(jo bahut hi sakht hai) 📬 Tirmizi,Hadis No.3862 📘 ⚘ ⌬➤ In Hadees se Maloom ho Gaya ki Huzurﷺ ke Sahaba mein se kisi ka bhi zikr Galat Alfaaz ke Saath karna ya un ke bare mein bura bhala kehna haqiqat mein Allah aur us ke Rasool ﷺ ko Taklif Pahunchana hai jis ka anjaam halakat-o-barbaadi hai Is liye har musalman ke liye zaruri hai ki jab bhi sahaba ka zikr kare to achhe alfaaz ke saath hi kare.. 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ | |
0 Comments