Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

🄿🄾🅂🅃➫ 25 Aqeeda Auliya-Allah ke Bare Main

بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ
اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ
وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 25
↡ Aqeeda Sahaba-e-Kiraam ke Bare Main ↡ 
    •─────────────•
⚘2⃣ ⌬➤ Hazrat-e-Abdullah bin Abbas radhi allaho anho Se Riwayat hai ki Rasool-e-Akram sallallaho alaihe wasallam ne irshad Farmaya ki Jab bhi Tumhe Allah ki Kitaab se Hukm diya jaaye to us par amal karna Zaruri hai aur us par Amal Na karne Par kisi ka bahana qabool nahi kiya Jaayega Agar kisi mas’ale ka Hukm Tumhe Quraan mein nahi Mile to use Meri Sunnat Mein Talaash karna aur agar meri Sunnat se bhi na mile to mere Sahaba ki Sunnat mein use Talaash karna ,Huzoorﷺ ne Farmaya ki Mere Sahaba ki Misaal Aise hi hai Jaise Aasmaan par sitaare,Un mein Jin ka Bhi Daman Pakad loge Hidayat pa Jaoge aur Mere Sahaba ka Ekhtilaaf Bhi Tumhare liye Rahmat hai
📚Masnad-e-Abd bin Hamid,Hadith No.783

⚘⌬➤ Is Hadees ko Allama Zahbi ne “Mizaanul etadal” aur “Lisaanul Mizaan”mein Khatib bagdadi ne “Al-kifaya fee ilmirriwaya”mein.Allama Jalaluddin suyuti ne” Mifatahul jannah” mein.Allama Asqalani ne “Fatahul baari” mein aur Allama ibn-e-Qidama ne”Al-Mugni” Mein Bhi Naqal Farmaya hain Upar bayan ki Gayi Dono Haeeson Se Maloom Ho Gaya ki Khulfa-e-Rashedeen aur Sahaba ki Pairwi Bhi Zaruri hai.Is liye jo log Hazrat-e-Umar radhi allaho anho ke Kuchh Faislon Jaise Ki Namaaz-e-Tarawih ki 20 Raka’at Jo Huzoor ﷺ ke Zamane Mein Bhi Tha Magar Aap ne us ko Pure Ramzaan Mein Jama’at ke Saath Jaari kiya , Auraton ka Masjid Mein Jaane Par Paabandi Wagairah nahi maante isi Tarah Juma ke din 2 Aazan jise Hazrat e Usman e Gani radhi allaho anho ne jaari kiya,us Par unhein bid’ati kehna, jab ki us Waqt ke Tamaam Sahaba Ne Us ko Maana aur us ke Mutaabiq Amal kiya aur aaj Tak Duniya ke Tamam Musalmano Ka is Par Amal hai Magar Aaj Ke Daur Mein Kuchh Log Huzoorﷺ ki baat ko Thukraate Hue Sahaba ke in Sunnaton Ko Nahi Maante Aur Aam Musalmano Se Alag Apna Raasta Nikalte hai Aise logon ke bare mein Allah Ta’ala ne irshad Farmaya Jo mukhalifat kare Rasool ki is ke baad ki hidayat Zaahir Ho Chuki Aur aam Musalmano ke Raaste ke Khilaaf koi aur Raasta Banaye, use ham Pher Denge Usi Taraf jis Taraf Woh Phira Aur phir use Jahannam mein Daal Denge,Aur Woh Buri Jagah hai..
📚SuraH Nisa,Aayat No.115 📚

📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ

Share on
|



Post a Comment

0 Comments