اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 26 ↡ Aqeeda Auliya-Allah ke Bare Main ↡ •─────────────• ⚘⌬ ➤ Auliya Allah Sirf Muttaqi Parhezgaar aur bade Darje ke iba’dat Guzaar Sunni Sahi’hul Aqeeda Musalman Hote hain.Koi bad-aqeeda ya Fasiq-o-Fajir,Shari’at Ke Khilaaf Kaam Karne wala,Namazon ko Chhodne Wala,Gaja Sharab Pine wala Wali Nahi Hota Hai Jaisa ki Allah Ta’ala ne irshad Farmaya ki اِنْ اَوْلِیَآؤُہٗۤ اِلَّا الْمُتَّقُوۡنَ ⚘ Tarjuma ⌬ ➤ Us ke (yani Allah ke) auliya sirf muttaqi aur Perhezgaar log hote hain 📚Surah anfaaL : 34 ⚘ AQEEDA ⌬ ➤ Auliya-e-kiraam se Khud Allah Ta’ala aur us ke Farishte mohabbat karte hain is liye un se Mohabbat Karna aur un ko buzrug Samajhna imaan walon ki pehchaan hai Jaisa ki Hadees Sharif me hai عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ عَنِ النَّبِىِّ – صلى الله عليه وسلم – قَالَ « إِذَا أَحَبَّ اللَّهُ الْعَبْدَ نَادَى جِبْرِيلَ إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ فُلاَنًا فَأَحْبِبْهُ . فَيُحِبُّهُ جِبْرِيلُ ، فَيُنَادِى جِبْرِيلُ فِى أَهْلِ السَّمَاءِ إِنَّ اللَّهَ يُحِبُّ فُلاَنًا فَأَحِبُّوهُ . فَيُحِبُّهُ أَهْلُ السَّمَاءِ ، ثُمَّ يُوضَعُ لَهُ الْقَبُولُ فِى الأَرْضِ 📚[ بخاری، کتاب بدء الخلق:۳۲۰۹۔ مسلم :۲۶۳۷ ]📚 ⚘ Tarjuma ⌬ ➤ Hazrat-e-Abu’hurairah radhi allaho anho se riwayat hai ki Nabi kareem ﷺ ne irshad Farmaya ki Jab Allah Ta’ala kisi bande se mohabbat karta hai to Hazrat-e-Jibrail ko awaaz deta hai ki “Be-shak Allah Fulan bande se mohabbat karta hai”Tum bhi us se mohabbat karo,To Hazrat-e-Jibrail us se Mohabbat karne lagte hain phir woh asmaan walon me elaan kardete hain ki be-shak Allah fulan bande se mohabbat karta hai Tum sab bhi un se mohabbat karo to us bande se asmaan wale mohabbat karne lagte hain phir us ki maqboliyat zameen walon me rakh di jaati hai.. 📬 Sahih Bukhari,Hadees No.3209. Sahi Muslim,Hadees No.2637 📚 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ | |
0 Comments