اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 28 ↡ Aqeeda Auliya-Allah ke Bare Main ↡ •─────────────• ⚘Faida No.1 ⌬ ➤ Is Hadees Sharif Me ye Jo kaha Gaya ki “Main Uska Kaan Ban Jaata Hoon Jis se Woh Sunta hai,Aankh Ban Jaata Hoon Jis Se Woh Dekhta hai” Wagairah To is ka Matlab Ye Nahi hai ki Allah Ta’ala us me Sama Jaata hai Jis ki Wajah Se Woh Aise Kaam Kar Lete Hain Jo Kisi Bhi Aam insaan Se Nahi ho Sakta Balke is ka Sahi Matlab Ye Hai ki Unhen Allah Ta’ala Aam Logo se Ziyadah Sun’ne Aur Dekhne Wagairah ki Taaqat Ata Farmaa Deta hai Jis ki Wajah Se Woh Begair kisi Dunyawi Zari’ye ke Hazaron koos Door ki Chizon Ko Bhi Dekh Lete Hain Aur Wahan ki Awaz Ko Bhi Sun Lete Hain ⚘Faida No.2 ⌬ ➤ Ye Kehna ki Door ki Awaz ko Sun Lena Ya Door ki Chizon Ko Dekh Lena Toh Allah Ta’ala hi ki Sifat hai Agar Ose Kisi Dusre Ke Liye Mana Jaye To Shirk Ho Jaaega Toh Y Sahi Hai Ki Begair Kisi ke Diye Zaati Taur Se Ye Sifaten Sirf Allah Hi Ki Hai Aur is Tarah Se Dusre Ke liye Maan Lena Yaqinan Shirk hai Magar Allah ki Ata Se Ambiya-e-Kiram Aur Auliya-e-Kiram Ko bhi Hasil Hai Aur us ko Na Man’na Haqiqat Me Quran-o-Hadees ka inkaar Karna hai Kyunki Quran Sharif ke Surah Namal Me Saaf Lafzon Me Hazrat-e-Sulaiman alaihissalam ka Door Rahte Hue Bhi Chuntiyon ki Awaaz Ko Sun Lena Aaya Hai Aur Hadees Sharif Se Huzoorﷺ Aur Sahaba ke Liye Door Ki Awaaz Ko Sun’na Sabit Hai.. 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ | |
0 Comments