Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

🄿🄾🅂🅃➫ 27 Aqeeda Auliya-Allah ke Bare Main

بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ
اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ
وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 27
↡ Aqeeda Auliya-Allah ke Bare Main ↡ 
    •─────────────•
⚘AQEEDA ⌬ ➤Auliya Allah ki Shaan Aur Un Ke Kamalaat Aam Logon Se Bahut hi Buland Hua karti hain. Woh Allah Ta’ala ki ibadat Karte karte aise Maqaam Par Pahunch Jaate Hain ki Allah Ta'ala unhen Aisi Taaqat Aur Qudrat Ata Farmata hai jo Aam Bandon ki Taaqat-o-Qudrat se bahut badh ke hoti hai isi liye Ek Aam Aadmi Door ki Chizon ko Nahi Dekh Pata Lekin Allah ke wali Door Ki Chizon ko bhi Dekh Lete hain aur Door ki Awazon Ko bhi Sun Lete Hain aur door rahte hue bhi Apne Maan’ne Walon ko Faaida Pahuncha Dete Hain Jaise Ki Hazrat-e-Umar radhi allaho anho ne madina Sharif Me Rahte Hue Nihawand Iran me Islami lashkar ko dekh liya aur unhen Apni Hidayat se Faaida bhi Pahunchaya aur Hazrat-e-Saariya ne Use Sun bhi Liya.isi Tarah se Hazrat-e-Sa’ad bin Abi Waqqas radhi allaho anho ne Irani’yon Se jang ke Waqt Sahaba-e-Kiram ko darya me Apne Ghodon ko daal dene ka Hukm Diya Aur Unhone Apna bhi Ghoda Darya me Daal Diya to un ke Ghode Darya me aise Chalte Hue Paar hogae jaise aam log Zameen Par Chalte Hain Wagairah Wagaira hadees e Qudsi hai

عَنْ أَبِى هُرَيْرَةَ قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ – صلى الله عليه وسلم – « إِنَّ اللَّهَ قَالَ مَنْ عَادَى لِى وَلِيًّا فَقَدْ آذَنْتُهُ بِالْحَرْبِ ، وَمَا تَقَرَّبَ إِلَىَّ عَبْدِى بِشَىْءٍ أَحَبَّ إِلَىَّ مِمَّا افْتَرَضْتُ عَلَيْهِ ، وَمَا يَزَالُ عَبْدِى يَتَقَرَّبُ إِلَىَّ بِالنَّوَافِلِ حَتَّى أُحِبَّهُ ، فَإِذَا أَحْبَبْتُهُ كُنْتُ سَمْعَهُ الَّذِى يَسْمَعُ بِهِ ، وَبَصَرَهُ الَّذِى يُبْصِرُ بِهِ ، وَيَدَهُ الَّتِى يَبْطُشُ بِهَا وَرِجْلَهُ الَّتِى يَمْشِى بِهَا ، وَإِنْ سَأَلَنِى لأُعْطِيَنَّهُ ، وَلَئِنِ اسْتَعَاذَنِى لأُعِيذَنَّهُ ، وَمَا تَرَدَّدْتُ عَنْ شَىْءٍ أَنَا فَاعِلُهُ تَرَدُّدِى عَنْ نَفْسِ الْمُؤْمِنِ ، يَكْرَهُ الْمَوْتَ وَأَنَا أَكْرَهُ مَسَاءَتَهُ
بخاری ، کتاب الرقاق ،باب التواضع: ۶۵۰۲


⚘TARJUMA ⌬ ➤Hazrat-e-Abu’Huraira radhi allaho anho Bayan karte hain ki Rasoolallah ﷺ ne Farmaya ki be-shak Allah Ta’ala ne irshad Farmaya ki Jo mere kisi wali se dushmani karta hai main us se jang karne ka elaan karta hun aur mera banda jin chizon ke zari’ye mere qareeb hota hai un me se Farz chizen mujhe Ziyadah Pasand hai, aur mera Banda Nafli ibadat ke zari’ye Mujh se Qareeb hota rahta hai yahan tak ki main us se Mohabbat karne lagta hun Phir jab main us se Mohabbat karne lagta hun to main us ka Kaan Ban Jaata Hun Jis Se woh Sunta hai Aur uski Aankh Ban Jaata Hun jis se Woh Dekhta hai aur us ka Haath Ban Jaata Hun Jis se Woh pakadta hai aur us ka paao ban jaata hun jis se woh chalta hai agar woh mujh se kuchh Maangta hai Toh main use Zaror ata karta hun aur agar Woh meri Panah Maangta hai to use main apni Panah Zaroor Ata Karta hun aur jo kaam mujhe karna hota hai main us me Kabhi is Tarah Mutaraddid nahi hota jaise momin bande ki jaan lene me hota hun use Maut Pasand nahi aur Mujhe us ki Taklif Pasand Nahi Hoti..
📭 Sahi Bukhari,Hadith No.6502 📚

📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ

Share on
|



Post a Comment

0 Comments