اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 29 ↡ Aqeeda Auliya-Allah ke Bare Main ↡ •─────────────• ⚘AQEEDA-1 ⌬ ➤ Wali Chahe Jitne Bhi Bade Maqam Par Pahunch jaae un se Namaz,Roza Aur Shari’at ke Dusre Qawanin(Laws of Shari’at) Aur Ahkam Maaf Nahi Hote Hain ki Ab Unhen Namaz Padhne ki Zarorat Nahi Ya Ab un ke liye ijazat Hai ki Woh Shari’at ke Khilaaf Kaam Kare Unhen Kuchh Nahi Hoga(نعوذ باللہ من ذالک) Kyunki Huzoorﷺ se Badh ke koi Nahi ho Sakta to jab Aap ﷺ ke liye Maaf Na Hua To Dusre ke liye Kaise ho Sakta hai? Allah Ta’ala irshad Farmata hai وَاعْبُدْ رَبَّکَ حَتّٰی یَاۡتِیَکَ الْیَقِیۡنُ ⚘TARJUMA ⌬ ➤ Aur Tum Marte Dam Tak Apne Rab Ki ibadat karte Raho 📚 SuraH al-hajar,ayat No.99 ⚘ ⌬ ➤ is Ayat-e-Karima Me Allah Ta’ala Ne Saaf Lafzon Me Apne Bandon ko Hukm Diya ki Tum log Marte Dam Tak ibadat Karte Raho to Ab Agar Koi Quran ki is Aayat Ke Khilaaf Dawah Karta hai ki Main Aise Maqam par Pahunch Gaya Hoon ki Allah Ta’ala ne Mere liye ibadat Karne ko Maaf Kar Diya hai to Woh Wali Nahi Balke Jahil Aur Shaitan ka Khilauna hai.. 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ | |
0 Comments