اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 30 ↡ Aqeeda Auliya-Allah ke Bare Main ↡ •─────────────• ⚘AQEEDA ⌬ ➤ Karamaat-e-Auliya Haq hain Aur Woh Log Jo Shari’at ke Khilaaf Kaam karte Hain Aur Wali Hone Ka Bhi Dawah Karte hain aur apni Welaayat Ko Sabit Karne ke liye Aisi Chiz Kar ke Dekhate hain Jo Aam insaano ki Taqat Se Bahar Hoti hai Toh Woh Karamat Nahi hai Balke Su’abda Baazi Aur Makkari hai Karamat ka Haq Hona Quran aur Hadees Dono Se Saabit Hai Allah Ta’ala Ne Quran Sharif Me Bayan Farmaya ki قَالَ یٰۤاَیُّہَا الۡمَلَؤُا اَیُّکُمْ یَاۡتِیۡنِیۡ بِعَرْشِہَا قَبْلَ اَنۡ یَّاۡتُوۡنِیۡ مُسْلِمِیۡنَ ، قَالَ عِفْریۡتٌ مِّنَ الْجِنِّ اَنَا اٰتِیۡکَ بِہٖ قَبْلَ اَنۡ تَقُوۡمَ مِنۡ مَّقَامِکَ ۚ وَ اِنِّیۡ عَلَیۡہِ لَقَوِیٌّ اَمِیۡنٌ ، قَالَ الَّذِیۡ عِنۡدَہٗ عِلْمٌ مِّنَ الْکِتٰبِ اَنَا اٰتِیۡکَ بِہٖ قَبْلَ اَنۡ یَّرْتَدَّ اِلَیۡکَ طَرْفُکَ ؕ فَلَمَّا رَاٰہُ مُسْتَقِرًّا عِنۡدَہٗ قَالَ ہٰذَا مِنۡ فَضْلِ رَبِّیۡ ۔ ⚘TARJUMA ⌬ ➤ (Hazrat-e-Sulaiman alaihissalam ne) Kaha:Aye Darbariyon! Tum Me Se Kaun hai jo Mere Paas us Ka Takht Le Aae, Us ke Farma Bardaar Ho kar Aane se pehle (yani Malka Bilqis ka Takht jo 80 Gaz Chauda Aur 40 Gaz Lamba Soone,Chandi Aur Heere Moti Se Sajaya Hua Tha Aur Wahan Se Bahot Door Tha) Ek Bade Jin Ne Kaha “Main Aap ke Majlis Khatam Karne Se Pehle Use Laa Kar Aap ke Paas Hazir Kardunga Aur Beshak Main is Par Taqat-war Aur Amin Hun Woh Shakhs Jis ke Paas Kitab ka ilm Tha (Yani hazrat-e-Asif bin barkhiya)ne Kaha ”Main us ko Aap ke Paas Aap ke Palak Jhipkane Se Pehle Le Aaunga Phir Jab Unhone Us Ko Apne Paas Dikha To Kaha ki Ye Mere Rab ke Fazl Se hai.. 📚 SuraH Namal,Ayat No.38.39.40 📚 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ | |
0 Comments