اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 37 ↡ Aqeeda Aakhirat ke Bare Main ↡ •─────────────• AALAM-E-BARZAKH KA BAYAN ⚘ ⌬ ➤ Abhi Hadees Shareef Mein Upar Aap Ne Padha Ki Murde Bolte Aur Sunte Hain aur Huzoorﷺ Ne Saaf Lafzon Mein irshaad Farmaya ki “Jab Log Dafan Kar Ke Wapas Jaane Lagte Hain Toh Murde Unke Jooton ki Awaaz ko Zarur Sunte Hain” Aur Huzoorﷺ Ne Badr Mein Qatl Kiye Gaye Logon Ke Baare me Farmaya ki “Yeh Tumse Ziyadah Sunne Waale Hain” Aur in Aayaat-e-kareema Mein Allah ﷻ Ne Saaf Taur Se irshaad Farmaa Raha Hai Ki “Aap Murdon Ko Nahi Suna Sakte Hain” Aur “Aap Unlogon Ko Nahi Suna Sakte Jo Qabron Mein Hain” Toh Kya Huzurﷺ Ne Galat Bayan Kiya? Aur Kya Huzoorﷺ Ko Ye Aayatein Nahi Maloom Thi? Yaad Rakhe! Allahﷻ Ne Quran-e-Hakim ke Baare Mein khud irshaad Farmaya Ki is se Bahut Saare Log Gumrah Hote Hain aur Usi Se Bahut Saare Log Hidayat Paate Hain aur us se Gumrah Sirf Woh Log Hote Hain jo Faasiq hain 📗 Surah Baqrah,Aayat No.26 ⚘ ⌬ ➤ Yaani Quran Ko Jo Log Sirf Apni Aqal Aur Tabiyat Se Samjhne Ki Koshis Karte Hain Woh Log Quran Padh Kar Bhi Gumrah Ho Jaate Hain, is Liye Hame Chahiye ki Quran Ko Sirf Apni Aqal Aur Tabiyat Se Samjhne ki Koshis Na Kare Balki Sahi Matlab Jaan Ne Ke Liye Aayaton ki Tafseer Padhe Aur Jis Aayat Ka Jo Matlab Ahle ilm Mufassereen Ne Bataya Hai Usi Par Yaqin Rakhe Kyunki Allahﷻ Ne Hume Yahi Hukm Farmaya Hai Ki Agar Tumhe Maloom Na Ho To ilm Walon Se Puchho, is Liye Hum Yaha Par Pehle Dono Aayaton Ki Mukammal ibaarat (Text) Aur Tarjuma Likhte Hain Phir Ahle ilm Be Un Aayaton Ka Jo Matlab Likha Hai Use Bayan Karenge Jis Se Saaf Zahir Ho Jaaega Ki Aayat Bhi Sahi Hai Aur Hadees Bhi Sahi Hai Aur Dono Mein Koi Ekhtilaaf Nahi Hai Aur Jo Ekhtilaaf Hame Samjh Me Aa Raha Hai Woh Sirf Hamari Kam Aqli ki Paidawaar hai.. 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ | |
0 Comments