Namaz Ka Bayaan » Pᴏꜱᴛ Nᴏ 01 «⚘ Fazail E Namaz •────────────• Namaz Rasool E Muazzam Noor E Mujjassam Rehmate Do Alam ﷺ Ki Ankhon Ki Thandak Hai Deen Ka Sutoon Hai Jannat Ki Kunji Hai Momin Ki Meraj Hai Afzal Jihad Hai Imaan Ki Alamat Hai Dil Ka Noor Hai Chehre Ki Raounaq Hai Rooh Ki Ghiza Hai.
Namaz Ghar Mein Nuzool E Barkat Ka Bais Hai Rizq Mein Wussat Ka Sabab Hai Jismani O Ruhani Amraaz Ki Shifa Hai Qabr Ke Andhere Mein Roshni Hai Mehshar Ki Dhoop Mein Saya Hai.
Namaz Qabr Ki Wehshat Mein Dil Behlane Wali hai Pul E Sira'at Per Se Jaldi Guzarne Wali Hai Gunaho Ki Magfirat Ka Zariya Hai Namazi Aur Dozakh Ke Darmiyan Parda Yani Aadh Hai Shaitan Ko Dafa Karti Hai ALLAH Ta'ala Ka Qarb Aur Raza Ata Karti Hai.
Imaan Aur Aqaid Ki Durustgi Yani Kalimae Tayyaba Padhne Ke Ba'ad Tamam Faraiz Mein Sabse Ahem Fariza Namaz Hai. Aaqa O Moula ﷺ Ka Irsha'ad Hai.
✅ ALLAH Ta'ala Ne Meri Ummat Per Tamam Chizon Se Pehle Namaz Farz Ki Aur Qayamat Mein Sabse Pehle Namaz Hi Ka Hisab Liya Jayega. Ek Hadees Shareef Mein Yeh Bhai Warid Hai ke "Jisne Namaz Ko Qayam Rakha Isne Deen Ko Qayam Rakha Aur Jisne Namaz Ko Tark Kiya Usne Apne Deen Ko Gira Diya". Hazrate Abu Hurairah Radiallahu Anhu Se Riwayat Hai ke Nabi E Kareem ﷺ Ne Farmaya.
✅ ALLAH Ta'ala Farmata Hai Aye Ibn E Adam ! Tu Meri Ibadat Keliye Farig Hoja Mein Tera Seena Ghana Se Bhardunga Awr Agar Tu Aisa Na Karega To Tujhe Bohat Se Kamon Mein Masroof Kardunga Magar Teri Ghareebi Door Na Karonga. (📖 Mishkat, Ibne Ma'ajja)
Aaqa O Moula ﷺ Ka Ek Aur Farma'an E Aalishan Hai : 5 Chizon Ko 5 Chizon Se Pehle Ganimat Jano 1 Budhape Se Pehle Jawani Ko 2 Bimari Se Pehle Tandurusti Ko 3 Fakheeri Se Pehle Ameeri Ko 4 Mashguliyat Se Pehle Fursat Ko 5 Mout Se Pehle Zindagi Ko. (📖 Tirmizi)
Afsoos Ke Aaj Musalman Namaaz se Ghafil Hogaye Hain Aksar logon ke Paas Namaaz Padhne ka Waqt Hi Nahi Jabke ba'az log Namaaz to Padhte hain Magar Namaaz Padhne ka Sahi Tariqa Nahi jante.Zarorat is Amr ki hai Namaaz Ka Sahi Tariqa Seekha jaye Aur (5)Panchon Waqt ki Namaaz Bajama'at Pabandi se Ada kijaye. 📘Namaz ki Kitab 📝Musanif:-Khalifa E Huzoor Mufti e Azam e Hind Sayed Shah Turab ul Haq Qadri Alaihi Rehma. 📝Pᴏꜱᴛ Jᴀᴀʀɪ Hᴀɪ....ان شاء الله تعالیٰ |
0 Comments