اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 38 ↡ Aqeeda Aakhirat ke Bare Main ↡ •─────────────• AALAM-E-BARZAKH KA BAYAN ⚘AayaT No.1 ⌬ ➤ اِنَّ رَبَّکَ یَقْضِیۡ بَیۡنَہُمۡ بِحُکْمِہٖ ۚ وَ ہُوَ الْعَزِیۡزُ الْعَلِیۡمُ ، فَتَوَکَّلْ عَلَی اللہِ ؕ اِنَّکَ عَلَی الْحَقِّ الْمُبِیۡنِ ، اِنَّکَ لَا تُسْمِعُ الْمَوْتٰی وَلَا تُسْمِعُ الصُّمَّ الدُّعَآءَ اِذَا وَلَّوْا مُدْبِرِیۡنَ ، وَمَاۤ اَنۡتَ بِہٰدِی الْعُمْیِ عَنۡ ضَلٰلَتِہِمْ ؕ اِنۡ تُسْمِعُ اِلَّا مَنۡ یُّؤْمِنُ بِاٰیٰتِنَا فَہُمۡ مُّسْلِمُوۡنَ۔ ⚘TARJUMA ⌬ ➤ (Aye Mahboob) Beshak Tumhara Rab Unke Darmiyaan Apne Hukm se Faisla Farmaega Aur Wahi Gaalib Jaan ne Wala Hai Toh Aap Allah Par Bharosa Rakhiye, Beshak Aap Hi Haq Par Hain (kuffar-e- Makkah nahi) Beshak Aap koi Pukaar na Murdon ko Suna Sakte Hain Aur Na hi Behron ko, Jab Woh Aap se Peeth Phair Kar jaa Rahe hon, Aur Na hi Aap Andho ko Unki Gumrahi se (Begair izan-e-ilahi ke) Hidayat de Sakte hain Aap Toh unhi ko Suna Sakte hain (jo Aap ki Dawat se) Hamari Aayaton Par imaan Laate Hain aur Woh Muslamaan Hain.. 📘 SuraH NamaL,Aayat No.78 – 81 ⚘TAFSEER ⌬ ➤ Allama Ibn-e-Kathir is aayat ki Tafseer Karte Hue Likhte Hain ki Beshak Allah ﷻ Qayamat ke Din Apne Hukm Se Unke Darmiyaan Faisla Farmaega Kyunki woh Gaalib hai, Bad’kaaron se badla lene par aur woh Apne Bandon ke Tamaam Baaton aur kaamon ko jaan ne Wala hai Toh Aap Apne Tamaam Maamle Mein Allah Par Bharosa Rakhiye Aur Apne Rab ke Paigaam ko Pahunchate Rahiye, Agarche woh log Aap ki Mukhalifat kare, Jinki Qismat Mein Bad’bakhti likh di Gayi Aur jin Par Aap ke Rab ki Baat Saabit ho Chuki hai ki Woh log Kabhi Imaan nahi Laaenge (Allama Ibn-e-Kathir Likhte Hain ki) Unhi Logon Ko is Ayat-e-Kareema Mein “Murda, Bahra aur Andha” Kaha Gaya Hai 📕Tafseer Ibn-e-Kathir vol: 6 page No. 210 ⚘ ⌬ ➤ Tafseer Nasafi mein hai ki jab Kuffaran-e-Makkah Huzurﷺ ki Baat Nahi Sunte The Aur Na Us Se Kuchh Faaida uthate The Toh Allahﷻ ne Zinda hone ke Bawajud unhe murdon se Tashbih diya.. 📚 Tafseer Nasafi , vol 3 Page No. 23 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ | |
0 Comments