اَلصَّلٰوةُوَالسّلَامُ عَلَـي٘كَ يَاسَيِّدِۡي يَارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
Aqaid E AhleSunnat 🄿🄾🅂🅃➫ 39 ↡ Aqeeda Aakhirat ke Bare Main ↡ •─────────────• AALAM-E-BARZAKH KA BAYAN ⚘AayaT No.2 ⌬ ➤ وَمَا یَسْتَوِی الْاَعْمٰی وَالْبَصِیۡرُ ، وَلَا الظُّلُمٰتُ وَلَا النُّوۡرُ ، وَ لَا الظِّلُّ وَلَا الْحَرُوۡرُ ، وَمَا یَسْتَوِی الْاَحْیَآءُ وَ لَا الْاَمْوَاتُ ؕ اِنَّ اللہَ یُسْمِعُ مَنۡ یَّشَآءُ ۚ وَ مَاۤ اَنۡتَ بِمُسْمِعٍ مَّنۡ فِی الْقُبُوۡرِ ، اِنْ اَنۡتَ اِلَّا نَذِیۡرٌ۔ ⚘TARJUMA ⌬ ➤ Andhe Aur Aankh Wale Barabar Nahi Ho Sakte, Na Hi Taariki Aur Raushni Aur Na Hi Saya Aur Tez Dhoop Barabar Ho Sakte Hain Aur Na Hi Zinde Aur Murde Barabar Ho Sakte Hain, Beshak Allah Jise Chahta Hai Suna Deta Hai Aur Aap Unko Nahi Suna Sakte Jo Qabron Mein Hain, Aap Toh Nahi Hain Magar Sirf Darr Sunane Wale ⚘TAFSEER ⌬ ➤ Allama Ibn-e-Kathir Likhte Hain ki Yaani Jis Tarah Se Yeh Alag Alag Chizen Jaise Andha Aur Aankh Wala, Tareeki Aur Raushni, Saya aur Dhoop Aapas Mein Barabar Nahi Ho Sakte Usi Tarah Zinde Aur Murde Bhi Barabar Nahi ho Sakte Ye Ek Misaal Hai Jis Mein Momin Ko Zinda Aur Kaafiron Ko Allah Ta’ala ne Murda Farmaya Beshak Allah Jise Chaahta Hai Suna Deta hai Yaani Hidayat De Deta hai Aur Aap Un logon Ko Jo Qabron Mein Hain Nahi Suna Sakte Yaani Jis Tarah Woh Log Jo Kufr Par Mar Gaye Aur Apni Qabron Mein Jaa Chuke Unhen Ab Koi Hidayat Faaida Nahi Pahuncha Sakta, Usi Tarah Ye Mushrikeen Jin Ki Qismaton Mein Bad-Bakhti Likh Di Gayi hai Aur Ye Tay ho Chuka hai ki Woh kabhi imaan Nahi Laaenge unke Baare Mein aap ki Koi Tadbeer Kaargar Nahi Hogi Aur Na Hi Aap ki Dawat Se Woh Kuch Faaida Uthaaenge.. 📒 Tafseer Ibn-e-Kathir, vol: 6 , page No.542-543 📝Post Jari Hai....ان شاء الله تعالیٰ | |
0 Comments