Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Kisi hindu ki dukan se koi cheez khareed kar Fateha karwana kaisa hai

*🌹SAWAL:-🌹*
Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuhu 
Mere suwal hai
Ki Kisi hindu ki dukan se koi cheez khareed kar Fateha karwana kaisa hai,jaise mithai Jalebi wagairah plz Rahnumai farmaye 
Gulaame Musatafa

*🌹JAWAB:-🌹*
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ‎
Gair Muslim Hindu Wagairah Ki Dukan Se Kharida Hua Gosht Ke Alawa Ka Saman Mithai Wagairah Par Fatiha Dene Me Harj Nahi, Jaiz He, Jab Ki Usme Koi Najasat Na Mili Ho. Or Bahetar Yahi He Ki Kisi Muslim Ki Dukan Se Kharide.

Jaisa Ki Fatawa Hindiya Me He,
ولا بأس بطعام المجوس کله إلا الذبیحة فإن ذبیحتهم حرام " اھ
Yaani Majoosi (Aatish Parast)  Ke Zabeeha Ke Alawa Baqiya Ta'aam (Khane Me)  Koi Harj Nahi.
*📚(Fatawa Hindiya, J-5, S-347)*

Or Fatawa Faqihe Millat Me He,

Saiyeduna Sarkar Aala Hazrat Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he,

Hindu Ke Hath Ka Paka Huva Gosht Haram He Or Baaqi Khane Uske Pakaye Huye Ho To Jaiz He, Jab Ki Paani Ya Bartan Me Khillate Najasat Ma'aloom Na Ho.
*📚(Fatawa Razviya, J-9 Nisf Aakhir, S-115)*

Or Farmate He Hindu Ke Yaha Ka Gosht Khana Haram He Or Dusri Cheez Me Fatwa Jawaz Or Taqwa Aehteraz, Imam Muhammad Rahmatullah Alaihi Farmate He,
بہ ناخذ مالم نعرف شیئا بعینہ
*📚(Fatawa Razviya, J-9 Nisf Aakhir, S-163)*

Or Huzur Sadrush Shariyah Alaihir Rahma Farmate He,
Hindu Ke Hath Ka Pakaya Huva Khana Najis Nahi Magar Hattul Wasa'a Muslim ko unki Pakai Hui Cheezo Se Aehteraz Karna Chahiye.
*📚(Fatawa Amjadiya, J-4, S-292)*
*📚(Fatawa Faqihe Millat, J-2, S-314)*

Or Isi Tarah Fataw Europe Me He,
Mushrikeen Ki Banai Hui Cheezo Ke Istemal Ya Ashya'a Khuradni Ke Khane Me Koi Harj W Mumane'at Nahi Or Na Unki Bheji Hui Cheezo Se Iftar Karne Ki Mumane'at He Baaqi Raha Sawab To Indush Shara'a Sawab Ahle iman Ke Sath Mukhtas He.
*📚(Fatawa Europe, S-300)*

Or Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta Me He,

Or Zaid ne Gair Muslim Se Shirni Le Kar Apni Karke Apne Aap Fatiha De Kar Apni Samajh Kar Taqsim Kar diya to koi harj nahi.
*📚(Fatawa Mustafiya, S-453)*
*📚(Fatawa Markaze Tarbiyat Ifta, J-2, S-340)*

Lihaza Hindu Ke Dukan Se Laai Hui Mithai Me Agar Najasat Wagairah Na Mili Ho To Use Khane me Or Us Par Fatiha Dene me koi harj nahi fatiha bhi bila Shubah Ho Jayega, Magar Bahetar Yahi He Ki Agar Musalman Ki Dukan Ho To Usi Se Kharide, Kafir Ki Dukan Se Bachna Bahetar.

Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*

*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•

Post a Comment

0 Comments