🌹Sawal:-🌹
Assalamualaikum warahmatullahi wabarakatuhu,
Munafiq kise kehte hai?
Gulaame Musatafa
🌹Jawab:-🌹
وَعَلَيْكُم السَّلَام وَرَحْمَةُ اَللهِ وَبَرَكاتُهُ
Huzur Faqihe Millat Hazrat Allama Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi Alaihir Rahmato Ridwan Taherir Farmate he,
Soora e Baqra Ruku'a Awwal ki Aayate Kareema,
إِنَّ الَّذِينَ كَفَرُوا سَوَاءٌ عَلَيْهِمْ
Ke Tahat Tafsire Khazin Me He ki Kufr ki 4 Qisme he un me se ek kufr nifaq bhi, kufre nifaq ye he,
وھو ان یقرأ بلسانہ ولا یعتقد صحۃ ذالک بقلبہ
Yaani Kufre Nifaq Ye he ki Aadmi Zaban se Islam ka iqraar kare magar dil se Uske sahih hone ka aeteqad na rakhe.
Or Ibne Maja Ki Hadise Paak He Huzur ﷺ Ne Irshad Farmaya,
من ادرک الاذان فی المسجد ثم خرج لم یخرج لحاجتہ وھو لا یرید الرجعہ فھو منافق
Yaani Azan Ke Baad Jo Shakhs Masjid Se chala Gaya or kisi hajat ke liye nahi gaya or na wapas aane ka irada he to vo munafiq he.
Or Ek Dusri Hadis Mishkat Shareef ki he ki Jis me ye 4 baate hogi Vo Khalis Munafiq He, or Jisme In Khasaail ms se ek hogi usme ek khaslat nifaq ki paai jayegi, Yahañ Tak ki Usko chhod de, Jab Amanat Rakhi Jaye to khayanat kare, Jab Baat Kare To Jhuth Bole, Jab Ahad Kare to daga kare, or Jab Jagra kare to Gaali de..
Hazrat Shaikh Abdul Haq Muhaddise Dahelvi Ash'atul Lam'aat Me Tahrir Farmate He,
Jis Se Ye Sabit Hota he ki
Munafiq ki do Qisme he Munafiq Aeteqadi or munafiq Amali.
Munafiq Aeteqadi Vo he jo Zaban se islam ko zahir kare or dil me kufr chhupaye rakhe jaise abdullah bin ubay Wagairah.
Qura'ane Kareem ki aayate karima
إِنَّ الْمُنَافِقِينَ فِي الدَّرْكِ الْأَسْفَلِ مِنَ النَّارِ
Usi Munafiq aeteqadi ke bare me he jo Kafiro ki badtareen qism he.
Or Munafiq Amali vo shakhs he jis ke iman me kharabi na ho balki sirf seerat w kirdar me nifaq ho jaise kazzab, khaain, or bad ahad Wagairah.
*📚(Fatawa Faizur Rasool, J-1, S-141)*
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*_✍🏻Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
0 Comments