Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Kya Chand Grahan Ya Sooraj Grahan Me Hamila(pregnent) Aurat Par Ya uske Bachche par Koi Asar Hota he ?

*🌹SAWAL:-🌹*
Kya Chand Grahan Ya Sooraj Grahan Me Hamila(pregnent) Aurat Par  Ya uske Bachche par Koi Asar Hota he ?

*🌹JAWAB:-🌹*

Sooraj Grahan Ya chand grahan ka koi Asar Hamela Aurat or Uske bachche par nahi padta Ye Faqat waham he shara'i lihaz se is ka koi taswwur nahi.
Ba'az zaiful aeteqad log grahan ke waqt Hamila aurat ko sabzi wagairah na katne ki, chhuri ya lohe ki koi chhiz na chhune ki hidayat karte he take unke bachche par koi asar na pade.
Ye sab sirf awam ka waham he iski shariyat me koi haqiqat nahi. Lekin agar isko ek nazariya na samaj kar sirf un kaamo se ahtiyat bhi karle to koi harz nahi..
Vo bhi is wajah se ki badhe budho me ye baate zyada mash'hoor he, isliye sirf un kaamo se sirf ahtiyat karle yani un kaamo se door rahe to koi harj nahi lekin use nazariya na bana le ki grahan se nuqshan hota he.. (jin kaamo ka karna shariyat ke khilaf na ho unse ahtiyat kar sakte he)Lekin Shariyate Mustufa alaihis salam me iski koi hesiyat nahi..

Grahan ke dino me Hamela aurat or aam awam ko bhi astagfar or zikre ilahi w namazo me mashgool rahna chahiye. Jiske muta'allik mene pahle post ki thi or insh'Allah is post ke aakhir me bhi iske muta'allik thoda bata diya jaega,

*Hazrat Aallama Mufti Muneebur -Rahmaan Sahab Qiblah Tehreer Farmate Hain Ke....,*
*Ye Kahyaal Shar'an Bilkul Baatil Aur Ghalat Hai*
Ke Suraj Ya Chaand Garhan Ke Mauqa Par Khawateen BilKhusoos Hamilah Khawateen Par Koi Asar Murattab Hote Hain Ya Unhe'n us Waqt Chalte Phirte Rehna Chahiye
(Sona Nahi Chahiye) In Tawahhumaat Ki SharAn Koi Haisiyat Nahi.Haan Khawateen Ko Bhi Chahiye Ke *_Namaz , Zikr , Tauba-O-Istighfaar Aur Tasbeeh -O- Tehmeed Mein Mashghool Rahe'n._*
*📚(Tafheemul Masayil  , J:6 , S:47)*

Ta'alimate islam se pahle ahle arab me ayse waham paaye jate the ke jab bhi sooraj ya chand grahan lagta to vo log kahte ki kisi ki maut hui he jis ki wajah se gahan laga he.
_Lekin Rasoollallah sallallahu alaihi w sallam ne in sab baato ka radd farmaya._

Hadish shareef me he,
Rasoollallah sallallahu alaihi w sallam ne farmaya Sooraj or chand kisi ke marne se grahan nahi hote. Ye to Qudrate ilahi ki do nishaniya he jab unhe grahan hote dekho to namaz ke liye uth khare ho.
*📚(SAHIHUL BUKHARI, HADISH NUMBER:1043)*

Bukhari shareef hi ki ek or hadish me marqoom he k aap sallallahu alaihi w sallam ne farmaya:
Chand or sooraj ka grahan aasare qudrat he. Kisi ke marne,jine(ya kisi or wajah) se namudar nahi hote. Balki allah apne bando ko ibrat dilane ke liye zahir farmata he. Agar tum ayse aasar dekho to fauran duaa astagfar or yaade ilahi ki taraf ruju'a karo.
*📚(SAHIHUL BUKHARI, HADISH NUMBER: 1059)*

Lihaza jab aysa mu'aamla pesh aaye to ahle iman ko chahiye ki vo is nazara se mahzooz hone, taumahat ka shikar hone ki bajae darbare khudawandi me haziri de or apne gunaho ki maafi talab kare. Kyu ki sooraj or chand grahan allah ki nishaniyo me se he un ke zariye allah ta'ala apni makhlooq ko darata he or unke zahno me qayamat ka manzar taza karta he ki us din sooraj lapet diya jaega or sitare torh diye jaege,sooraj or chand jama'a kar diye jaege vo dono be noor ho jaege.
Huzur sallallahu alaihi w sallam ka sooraj or chand grahan ke waqt par ye aalam tha  ki aap sallallahu alaihi w sallam pareshan ho jate or gahan ki namaz padhte.

Lihaza jab bhi aysa mu'aamla ho to waham ka shikar hone ki bajae allah ki baargah me taubah astagfar karni chahiye or apne gunaho ki maafi maangni chahiye or gahan ki namaz padhni chahiye.

Wallahu aa'alam bis-sawab.
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Khadim:- Pathan Moin Raza Azhari, Petlad_* 

Post a Comment

0 Comments