Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Shaikh Abu Abdullāh Mohiy-ud-deen Muhammad ibn Ali ibn Arabi rahmatullāhi alaihi :

Hazrat Shaikh Abu Abdullāh Mohiy-ud-deen Muhammad ibn Ali ibn Arabi rahmatullāhi alaihi :
________
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Shaikh-ul-Akbar.

****************
Aap ki wilaadat 17 Ramazaan 560 Hijri (25 July 1165 A.D.) ko Itwaar raat ko Murcia (Spain) me hui.

Aap ke waalid ka naam Shaikh Ali ibn Muhammad hai.
Aap Arab ke Banu Taai qabeele se ta’alluq rakhte hain.

****************
Shaikh Ali ibn Arabi ke yaha ek bacha paida hua magar woh khansa (eunuch) tha. Kisi ne mashwara diya ke Hazrat Ghauṡe aazam Abdul Qaadir Jilani ki baargaah me jaao aur dua ke liye kaho. Shaikh Ali ibn Arabi Ghauṡe aazam ki baargaah me aaye aur dua ke liye darkhaast ki. Unho ne farmaaya “Tumhari qismat me ab beta nahi hai.” Shaikh Ali ibn Arabi ne kaha “To phir main Aap ki baargaah me kyun aata” Unho ne farmaaya “Theek hai. Main apne naseeb ka beta tumhe ata farmaata hu.”
Is tarah Ghauṡe aazam ki dua se Aap  ki wilaaadat hui aur ‘Muhiy-ud-deen’ ke laqab se mash'hoor hue.

****************
578 Hijri me Aap ne Seville (Spain) me ibtidaai ta’aleem haasil ki. Aap ne bahot saare ulama se ta’aleem haasil ki. Phir waha Asfiya aur buzurgaane deen se faiz haasil karte rahe.
595 Hijri (1198 A.D.) me Aap waha se rawaana hue.
597 Hijri (1200 A.D.) tak Sale (Morocco) me thehre aur phir Hazrat Yousuf bin Yukhlaf al-Kumi se ijaazat lekar waha se rawaana hua.
598 Hijri (1202 A.D.) me Aap ne Hajj e baitullāh kiya.

Is ke baad Aap ne Makka me 3 saal guzaare.
Aur is dauraan Aap ne apni kitaab ‘Futooḥaat-ul-Makkiya’ likhna shuru kiya.
Is ke baad Aap ne Shaam (Syria), Falistin (Palestine), Iraq, Misr (Egypt) aur Anatolia (Turkey) ka safar kiya.
600 Hijri me Madeena me Aap ki mulaaqaat Shaikh Majd-ud-deen Is'hāq ibn Yousuf se hui aur is ke baad 601 Hijri me Baghdad me un se phir se mulaaqaat hui.
Baghdad me Aap 12 din thehre aur  Hazrat Shaikh Abdul Qaadir Jeelaani radiy-Allāhu ta’ala anhu ke mureedo se mulaaqaat ki aur Hazrat Shaikh Mohammad Younus Qaadri rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki aur khirqa e khilaafat haasil kiya.
Is ke baad Mosul gaye aur apne dost Hazrat Ali ibn Abdullāh ibn Jaami rahmatullāhi alaihi ke ghar par thehre aur maahe Ramazaan wahi guzaara aur un se ta’aleem haasil ki aur khirqa e khilaafat haasil kiya.
602 Hijri me Aap ne Jerusalem, Makka aur Misr (Egypt) ka safar kiya.
Aur Halab (Aleppo) aur Damishq (Damascus) bhi gaye.
604 (1207 A.D.) Hijri me Aap Makka waapas aaye aur Abu Shuja Zaeer bin Rustam ke ghar par qayaam karke majeed taaleem haasil ki aur kitaaben likhna jaari rakha. 4 saal waha rookne ke baad phir se dusre mulko ki safar karte rahe.
608 Hijri (1211 A.D.) me Aap Baghdad aaye tab Aap ki mulaaqaat Hazrat Shahaab-ud-deen Umar Suharwardi se hui. Jab Aap waha se rawaana hue to logo ne Hazrat se Aap ke baare me daryaaft kiya to Hazrat ne farmaaya “Wo Haqaaiq ke aise samandar he jin ki koi intiha nahi.”

620 Hijri (1223 A.D.) me Aap Damishq waapas aaye aur yahi par qayaam farmakar ta’aleem e deen ka kaam jaari rakha.

Aap ne Hazrat Hasan ibn Huzail, Muhammad ibn Khalaf al-Lakhmi, Ibn Zarqun, Abul Waleed al-Hadrami, al-Silafi, Abdul Haq al-Ishbili, Ibne Asaakir, Ibne Jawzi, aur Ibne Bushkuwal se Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki.

Aap ne Hazrat Abu Madyan Shuaib ibn Husain al-Maghribi, Jamaal-ud-deen Younus ibn Yahyā al-Qassar, Abu Abdullāh al-Tameemi al-Fasi aur Abul Hasan ibn Jaami se Tasawwuf ki ta’aleem haasil ki.

Aap Ilm e Nahaw, Tafseer, Hadeeṡ, Fiq'h, Kalaam, Falsafa aur Tasawwuf ke maahir hue.

****************
Aap 7wi sadi ke Mujaddid e Islaam hain.
Jab log sunnat e rasool ko bhul rahe the aur shariat se door ho rahe the tab Aap ne logo ko Islaam ki sahi ta’aleem dekar islaam ke qareeb kiya.
Aap ke faiz se bahot saare logo ko hidaayat haasil hui.

****************
Aap ne taqreeban 350 kitaaben likhi hain.

Aap ki mash'hoor kitaaben :

(1) Fusoos-ul-Hikam
(2) Futoohaat-ul-Makkiya
(3) Tanazzulaat-ul-Mawsiliyya
(4) Al-Jalaal wal-Jamaal
(5) At-Tadbidraat al-ilahiyyah fi islah al-mamlakaat al-insaniyyah
(6) Mashaahid al-Asraar
(7) Fanaa fil-Mushaahada
(8) Mishkaat-ul-Anwaar
(9) Risaalat-ul-Anwaar
(10) Hilyat-ul-Abdaal
(11) Mahaziraat-ul-Abraar
(12) Rooh-ul-quds
(13) Mawaaiq-ul-Nujum
(14) Ayyāaam al-Sha'n
(15) Unqaa Mughrib
(16) Ittihaad-ul-Kawni
(17) Tanazul-ul-Imlaak
(18) Jaami-ul-Ahkaam
(19) Kitaab-ul-Aqaa'id
(20) Al-Aqd-ul-Manzoom
(22) Insha-ul-dawaair 
(23) Uqlat-ul-mustawfiz
(24) Risaalat-ul-Khalwa 
(25) Risaalat-ul-Wasaya 
(26) Kitaab-ul-Abadilaāh
(27) Al-Durrat-ul-Fakhirah
(28) Awraad (Devotional Prayers)
(29) Al-Dawr al-A’ala
(30) Kunh maa laa Budda lil-Mureed Minhu
(31) Diwaan e Ibn Arabi (Arabi Qaseeda ka majmua)
(32) Tarjumaan-ul-Ashwaaq (Arabi Qaseeda ka majmua)

*************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain ki
(1) Jaahil apni jahaalat ko nahi jaan sakta kyun ki woh us ke andhere me hota hai aur Ilm waala apne ilm ko nahi jaan sakta kyun ki woh us ki roshni me hota hai.

(2) ALLĀH ki wahadaaniyat ka ṡaboot maangne waale se ek gadhe ka ilm zyada hota hai.

****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki majlis me ek shakhs aaya karta tha jo Falsafiyo ke mazhab par tha aur Karaamate Aulia aur Mo’ajizaate Ambiya ka bhi munkir tha.
Ittefaaq se woh sardi ka mausam tha aur aag jalaai jaati thi. 

Ek martaba us Falsafi ne kaha ke “Log kehte he ke Hazrat Ibrāheem alaihis salaam ko aag me daala gaya aur woh na jale. Lekin h Muhaal hai kyun ki aag ka kaam jalne ke qaabil cheezo ko jalaana hi. Pas us ne us Aayate paak ki taawil karte hue kaha ke wo aag jis ka zikr Qur’an me hai us se muraad Namrud ka Ghussa hai aur Hazrat Ibrāheem alaihis salaam ko aag me daalne ka matlab yeh hai ke Aap ko Namrud ke saamne laaya gaya aur woh aap par ghazabnaak hua lekin Aap dalaa'il aur baraahin ke zariye us par ghaalib aa gaye.”
Hazrat Shaikh Ibn Arabi ne us se farmaaya “Yeh jo Haq ta’ala ne Qur’an me farmaaya hai ke Hazrat Ibrāheem alaihis salaam par aag thandi ho gai aur Aap sahi salaamat baahar aa gaye, kya is cheez ka tumhe Mushaahida kara du? Lekin is se meri garz izhaare Karaamat nahi balke Mo’ajiza e Ambiya ke inkaar ko dafa karna hai.” Falsafi ne kaha ke “Yeh na mumkin hai.”
Aap ne farmaaya ke “Yeh Aag jo is angithi me jal rahi hai kya wahi aag nahi jo tumhare qaul ke mutaabiq jalaane waali hai?” Us ne kaha ‘Wohi hai.” Aap ne angithi uthaai aur aag us ke daaman me daal di. Aag kaafi der us ke daaman me padi rahi aur woh apne haath se angaaro ko idhar udhar karta raha lekin kapda na jala. 
Us ke baad Aap ne Aag ko waapas angithi me daal diya aur Falsafi se kaha “Ab ise haath lagaao.” Us ne jaise hi haath badhaaya foran jal gaya. Aap ne farmaaya “Ab to ṡaabit ho gaya ke jalaana na jalaana ALLĀH ke hukm se hai.” Yeh dekh kar Falsafi foran eimaan le aaya.

****************
Ek bar Aap 500 Deenaar lekar hajj ke liye zaroori saamaan khareedne ke liye bazaar ki taraf jaa rahe the. Ek aurat ne aap ko rokar kaha “ALLĀH tum par raham farmae. Main sayyedzaadi hu. Meri bachiyo ke tan dhaankne ke liye kapde nahi hai aur aaj chotha din hai hum ne kuchh khaaya nahi hai.” Aap ne foran wo 500 deenaar us sayyedzaadi ko de diye aur kaha “Aap apne ghar jaaiye aur is se apni zaroorat puri kijiye.” Aap ne ghar waapas aakar ALLĀH ka shukr ada kiya aur is saal Hajj karne ka mauqoof rakha.
Jab log hajj karke waapas aaye to Aap unhe Mubarak baad dene ke liye unse milne gaye to logo ne kaha ke “Aap ko hajj Mubarak ho.” Aap ko hairat hui ke “Main to hajj ke liye gaya hi nahi to yeh kya baat hai?”
Jab Aap ghar aakar soye to qismat ka sitaara chamka aur khwaab me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam tashreef laaye aur farmaaya “Aye Ibne Arabi! Logo ke mubarakbaad pesh  karne par ta’ajjub na karo. Tum hajj ke liye nahi gaye lekin tum ne meri aal ki madad ke liye saari raqam de di to ALLĀH ne khush hokar tumhari shakl ka ek farishta banaaya jis ne is saal tumhare badle hajj ada kiya aur qayaamat tak woh hajj ada karta rahega jiska ṡawaab tumhe milega.”

****************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki 3 biwiya aur 2 saahabzaade hain.

Biwiya :
(1) Maryam binte Muhammad ibn Abdun (Seville me)
(2) Faatimah (Makka me) 
(3) Binte Qaazi-ul-Qaza (Damishq me).

Saahabzaade :
(1) Sa’ad-ud-deen Muhammad
(2) Imaad-ud-deen Muhammad.

****************
Aap Hazrat Mohammad ibn Qaasim al-Tameemi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ko Hazrat Shaikh Mohammad Younus Qaadri rahmatullāhi alaihi aur Hazrat Shaikh Ali bin Abdullāh ibn Jaami rahmatullāhi alaihi ne bhi Khilaafat ata farmai hai.

Aap se ‘(Maghribi) Akbari’ silsila jaari hai.
Aap ke khalifa Hazrat Sadr-ud-deen al-Qunawi rahmatullāhi alaihi hain.

****************
Aap ka wisaal 22 Rabi uṡ ṡaani 638 Hijri (8 November 1240 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Damascus (Syria) me Jable Qasiyun ke qareeb hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Muhiy-ud-deen Muhammad ibn Arabi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishqe Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments