Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Aasaare Qayamat-23

👉                Sms prepared by               👈
                        *ⓩⓔⓑⓝⓔⓦⓢ*
   
*हिन्दी/hinglish*                    *आसारे क़यामत-23*

                           *हश्र का बयान*

*ⓩ क़यामत के दिन हिसाब किताब सिर्फ इंसानों के लिए ही खास नहीं है बल्कि जानवर और जिन्न वगैरह से भी हिसाब लिया जायेगा,जैसा कि मैं शायद पहले बता आया कि हदीसे पाक में आता है*

*हदीस* - हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि बंदा उस वक़्त तक हिसाबो किताब की जगह से नहीं हट सकेगा जब तक कि इन बातों का हिसाब ना दे ले कि ज़िन्दगी कहां गुज़ारी और जवानी कहां खर्च की और माल किस तरह कमाया कहां खर्च किया और अपने इल्म के मुताबिक़ खुद क्या अमल किया दूसरी जगह इरशाद फरमाते हैं कि क़यामत के दिन अहले हक़ को उसका हक़ ज़रूर दिया जायेगा यहां तक कि बे सींग वाली बकरी सींग वाली बकरी के बदले में दी जायेगी 

📕 तिर्मिज़ी,जिल्द 2,सफह 133-134

*ⓩ मतलब ये कि अगर दुनिया में किसी सींग वाली बकरी ने बिना सींग वाली बकरी को जिस क़दर सींग मारी होगा तो क़यामत के दिन उस सींग वाली बकरी से सींग छीन ली जायेगी और बिना सींग वाली को सींग अता की जायेगी फिर उससे कहा जायेगा कि अब इसे उतनी ही सींग मारकर अपना बदला ले ले,अल्लाहु अकबर अल्लाहु अकबर अंदाज़ा लगाईये कि किस क़दर हिसाबो किताब होगा मौला हमको अपनी रहमत में जगह अता फरमाये आमीन,खैर जब ये बदला पूरा हो जायेगा तो उन तमाम जानवरों को मिटटी कर दिया जायेगा ये देखकर काफिर चीख उठेंगे और कहेंगे जिसे क़ुर्आन में युं बयान किया गया*

*कंज़ुल ईमान* - और काफिर कहेगा कि हाय मैं किसी तरह खाक़ हो जाता 

📕 पारा 30,सूरह नबा,आयत 40

*ⓩ यानि जब काफिर जानवरों को मिटटी होते देखेंगे तो यही कहेंगे कि काश किसी तरह हमें भी इस अज़ाब से छुटकारा मिल जाता और हम भी मिटटी हो जाते मगर ये उनके नसीब में ना होगा क्योंकि उनके लिए हमेशा हमेश जहन्नम की आग है,इसी तरह जिन्नों से भी सवाल होगा,मौला तआला इरशाद फरमाता है कि*

*कंज़ुल ईमान* - ऐ जिन्नों और आदमियों के गिरोह क्या तुम्हारे पास तुम में के रसूल ना आये थे तुम पर मेरी आयतें पढ़ते और तुम्हें ये दिन देखने से डराते,कहेंगे हमने अपनी जानो पर गवाही दी और उन्हें दुनिया की ज़िन्दगी ने फरेब दिया और खुद अपनी जानो पर गवाही देंगे कि वो काफिर थे

📕 पारा 8,सूरह इनआम,आयत 130

*ⓩ जिन्नों के बारे में कुछ तफ्सीली मअलूमात इस तरह है*

* ये आग से पैदा किये गए हैं,इनमें बअज़ को ये ताक़त हासिल है कि जो शक्ल चाहें इख़्तियार कर लें,इंसान की तरह ही रूह जिस्म अक़्ल पैदाईश खाना पीना जीना मरना सब कुछ होता है,इनमे मुसलमान और काफिर दोनों होते हैं मगर काफिरों की तादाद ज़्यादा है 

📕 बहारे शरीयत,हिस्सा 1,सफह 24

* मुसलमान और काफिर ही क्या बल्कि इनमे यहूदी,नसरानी,मजूसी,मुशरिक और फिर सुन्नी खारजी राफ्ज़ी जबरिया क़दरिया बिदअती सब होते हैं

📕 खाज़िन,जिल्द 6,सफह 140

* इनमे कोई नबी ना हुआ मगर सहाबी होने का शर्फ बहुतों को हासिल है 

📕 उम्दतुल क़ारी,जिल्द 7,सफह 287 
📕 तकमीलुल ईमान,सफह 9

* इनमे काफिरों के लिए जहन्नम का अज़ाब तैयार है और ईमान वालों को जन्नत के आस-पास ठहराया जायेगा क्योंकि जन्नत हज़रते आदम अलैहिस्सलाम की जागीर है और उनकी औलाद में ही तक़सीम होगी हां जिन्न जन्नत की सैर को आया करेंगे

📕 अलमलफूज़,हिस्सा 4,सफह 75

जारी रहेगा...........

---------------------------------------

*ⓩ Qayamat ke din hisaab kitaab sirf insaano ke liye hi khaas nahin hai balki jaanwar aur jinn wagairah se bhi hisaab liya jayega,jaisa ki main shayad pahle bata aaya ki hadise paak me aata hai ki*

*HADEES* - Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam irshaad farmate hain ki banda us waqt tak hisaabo kitaab ki jagah se nahin hat sakega jab tak ki in baaton ka hisaab na de le ki zindagi kahan guzaari aur jawani kahan kharch ki aur maal kis tarah kamaya kahan kharch kiya aur apne ilm ke mutabiq kya amal kiya doosri jagah irshaad farmate hain ki qayamat ke din ahle haq ko uska haq zaroor diya jayega yahan tak ki be seeng waali bakri seeng waali bakri ke badle me di jayegi

📕 Tirmizi,jild 2,safah 133-134

*ⓩ Matlab ye ki agar duniya me kisi seeng waali bakri ne bina seeng waali bakri ko jis qadar seeng maara hoga to qayamat ke din us seeng waali bakri se seeng chheen li jayegi aur bina seeng waali ko seeng ata ki jayegi phir usse kaha jayega ki ab ise utni hi seeng maarkar apna badla le le,ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR andaza lagaiye ki kis qadr hisaabo kitaab hoga maula humko apni rahmat me jagah ata farmaye aameen,khair jab ye badla poora ho jayega to un tamam jaanwaro ko mitti kar diya jayega ye dekhkar kaafir cheekh uthenge aur kahenge jise quran me yun bayaan kiya gaya*

*KANZUL IMAAN* - Aur kaafir kahega ki haay main kisi tarah khaaq ho jaata

📕 Paara 30,surah naba,aayat 40

*ⓩ Yaani jab kaafir jaanwaro ko mitti hote dekhenge to yahi kahenge ki kaash kisi tarah hamein bhi is azaab se chhutkara mila jaata aur hum bhi mitti ho jaate magar ye unke naseeb me na hoga kyunki unke liye hamesha hamesh jahannam ki aag hai,isi tarah jinno se bhi sawal hoga,maula taala irshaad farmata hai ki*

*KANZUL IMAAN* - Ai jinno aur aadmiyon ke giroh kya tumhare paas tum me ke rasool na aaye the tum par meri aaytein padhte aur tumhein ye din dekhne se darate,kahenge humne apni jaano par gawahi di aur unhein duniya ki zindagi ne fareb diya aur khud apni jaano par gawahi denge ki wo kaafir the

📕 Paara 8,surah inaam,aayat 130

*ⓩ Jinno ke baare me kuchh tafseeli maulumat is tarah hai*

* Ye aag se paida kiye gaye hain,inme baaz ko ye taaqat haasil hai ki jo shakl chahen ikhtiyar kar lein,insaan ki tarah hi rooh jism aql paidayish khaana peena jeena marna sab kuchh hota hai,inme musalman aur kaafir dono hote hain magar kaafiron ki taadaad zyada hai

📕 Bahare shariyat,hissa 1,safah 24

* Musalman aur kaafir hi kya balki inme yahudi,nasrani,majusi,mushrik aur phir sunni khaarji raafji jabriya qadriya bidati sab hote hain

📕 Khaazin,jild 6,safah 140

* Inme koi nabi na hua magar sahabi hone ka sharf bahuto ko haasil hai

📕 Umdatul qaari,jild 7,safah 287
📕 Takmilul imaan,safah 9

* Inme kaafiron ke liye jahannam ka azaab taiyar hai aur imaan waalo ko jannat ke aas-paas thahraya jayega kyunki jannat hazrate aadam alaihissalam ki jageer hai aur unki aulaad me hi taqseem hogi haan jinn jannat ki sair ko aaya karenge

📕 Almalfooz,hissa 4,safah 75

To be continued..........

*Don't Call Only WhatsApp 9559893468*
      *NAUSHAD AHMAD "ZEB" RAZVI*
                       *ALLAHABAD*

Post a Comment

0 Comments