Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Aasaare Qayamat-22

👉                Sms prepared by               👈
                        *ⓩⓔⓑⓝⓔⓦⓢ*
   
*हिन्दी/hinglish*                    *आसारे क़यामत-22*

                           *हश्र का बयान*

*हदीस* - हुज़ूर सल्लल्लाहु तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि क़यामत के दिन जिससे पूछ-ताछ हुई तो वो हलाक़ हो जायेगा

📕 मिश्कात,जिल्द 3,सफह 59

*ⓩ मतलब ये कि कुछ लोग ऐसे होंगे जिनसे ऊपरी तौर पर सवाल जवाब होंगे और नामये आमाल से आंखें बचाकर मुंह फेर लिया जायेगा और रिहाई मिल जायेगी मगर कुछ ऐसे भी होंगे जिनसे छान बीन होगी और उनके हर आमाल हर घड़ी और हर पैसे का हिसाब किताब होगा तो ऐसा शख़्स बिल यक़ीन हलाक़ ही होगा*

*अल्लाहुम्मा हसिबनी हिसाबंइ यसीरा  اللهم حسبني حساب يصيرا" ऐ अल्लाह मुझसे आसान हिसाब लेना*

*हदीस* - क़यामत के रोज़ 3 शख्स हाज़िर किये जायेंगे उनमें से एक शहीद होगा दूसरा आलिम और तीसरा सखी,जब शहीद से सवाल होगा तो वो अर्ज़ करेगा कि मौला मैंने तेरे लिए लड़ाईयां लड़ी और इसी हालत में मारा गया तो मौला तआला फरमायेगा कि तू झूठा है तूने मेरे लिए नहीं बल्कि इस लिए जंग की कि लोग तुझे बहादुर कहें तेरी इज़्ज़त करें लिहाज़ा तेरा बदला तुझे दुनिया में मिल चुका अब यहां तेरा कोई हिस्सा नहीं फिर इसी तरह आलिम से सवाल होगा तो वो भी यही कहेगा कि मैंने क़ुर्आन सीखा और लोगों को सिखाया तो मौला तआला फरमायेगा कि तू झूठा है तूने मेरे लिए नहीं बल्कि इस लिए इल्म हासिल किया कि जिससे तू दुनिया कमा सके और लोग तुझे हाफिज़ क़ारी आलिम कहें तेरी इज़्ज़त करें लिहाज़ा तेरा बदला तुझे दुनिया में मिल चुका अब यहां तेरा कोई हिस्सा नहीं फिर इसी तरह सखी से सवाल होगा तो वो भी यही कहेगा कि मैंने तेरे दिये हुए माल से खूब सदक़ा खैरात किया ज़कातें दी भूखो को खाना खिलाया तो मौला तआला फरमायेगा कि तू झूठा है तूने मेरे लिए नहीं बल्कि इस लिए खर्च किया कि लोग तुझे सखी कहें तेरी इज़्ज़त करें लिहाज़ा तेरा बदला तुझे दुनिया में मिल चुका अब यहां तेरा कोई हिस्सा नहीं,लिहाज़ा जिनके लिए तूने वो अमल किये थे आज उन्हीं से बदला मांग ले और फिर उन तीनो को जहन्नम में डाल दिया जायेगा 

📕 अहवाले बरज़ख,सफह 168

*ⓩ अस्तग़्फ़िरुल्लाह,ये है रियाकारी यानि दिखावे का अंजाम,आज ये बीमारी बहुत ही आम है हज करके आये फौरन हाजी लिखने लगे ज़रा इल्म हासिल किया तो साहब मौलाना हो गये,सदक़ा खैरात तो ऐसे किया जाता है कि पूरे शहर को खबर हो जाती है कि फलां ने खाना-कपड़ा बाटा है,इसी तरह हर नमाज़ी रोज़ेदार हाजी सखी और दूसरों को दिखाने के लिए नेक अमल करने वाले मौला तआला का वो फरमान याद करें कि जिसमे वो फरमायेगा "जिनके लिए तूने वो अमल किये थे आज उन्हीं से बदला मांग ले" तो ऐसी नौबत ना आने दें बल्कि सिर्फ और सिर्फ अपने रब की रज़ा के लिए इबादत करें और ज़र्रा बराबर भी ये ख्याल दिल में ना आने पाये कि फलां मुझे देखेगा तो अच्छा समझेगा,मौला तआला मुसलमानो को रियाकारी से महफूज़ रखे आमीन*

*हदीस* - हुज़ूर सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम ने अपने सहाबा से पूछा क्या तुम जानते हो कि मुफलिस कौन है तो फरमाते हैं कि हम तो उसे ही मुफलिस जानते हैं जिसके पास माल ना हो,तो हुज़ूर सल्लललाहु तआला अलैहि वसल्लम फरमाते हैं कि मेरी उम्मत में मुफलिस वो होगा जो बरौज़े क़यामत नमाज़ रोज़ा हज ज़कात व दीग़र नेक आमाल लेकर आयेगा मगर युं कि दुनिया में किसी को गाली दी होगी किसी को मारा होगा किसी का हक़ छीना होगा किसी का खून बहाया होगा,पस उससे वो सारी नेकियां लेकर उन हक़दारों को दे दी जायेगी और अगर अब भी उस पर कुछ हक़ बाकी रह गया तो फिर हक़दारों के गुनाह इसके सर डालकर इसको जहन्नम में भेज दिया जायेगा 

📕 मुस्लिम,जिल्द 2,सफह 33

*ⓩ हर इंसान को 2 किस्म का हक़ अदा करना होता है पहला तो हुक़ूक़ुल्लाह यानि रब का हक़ जैसे कि नमाज़ रोज़ा हज ज़कात व नेकियों की तरफ माइल रहना और अपने आपको गुनाहों से बचाना और दूसरा हुक़ुक़ुल इबाद यानि बन्दों का हक़,हुक़ूक़ुल्लाह से ज़्यादा सख्त हुक़ूक़ुल इबाद है कि अल्लाह अपना हक़ तो अपने रहमो करम से माफ फरमा भी देगा मगर बन्दों का हक़ जब तक कि बन्दा खुद ना माफ करेगा मौला हरगिज़ माफ ना करेगा,तो नमाज़ रोज़ा करना बहुत अच्छी बात है मगर उसके बन्दों से इखलाक़ से पेश आना ये बहुत ज़्यादा ज़रूरी है मगर बन्दों से मुराद मुसलमान ही हैं क्योंकि अगर चे काफिर भी उसी के बन्दे हैं मगर नाफरमान बन्दे और उनके साथ नरमी बरतना खुदा का ग़ज़ब मोल लेना है लिहाज़ा उनसे दूर रहे और बद मज़हब तो काफिर से भी बदतर है लिहाज़ा उनसे भी दूर रहे*

जारी रहेगा...........

---------------------------------------
*Iske baaqi ke part padhne hon ya ZEBNEWS ke aur bhi msg chahte hoñ to website par search karen*

http://zebnews.in/
---------------------------------------

*HADEES* - Huzoor sallallahu taala alaihi wasallam irshaad farmate hain ki qayamat ke din jisse poochh taachh huyi to wo halaaq ho jayega

📕 Mishkat,jild 3,safah 59

*ⓩ Matlab ye ki kuchh log aise honge jinse oopri taur par sawal jawab honge aur farishte namaye aamaal se aankhen bachakar munh pher liya jayega aur rihayi mil jayegi magar kuchh aise bhi honge jinse chaan been hogi aur unke har aamaal har ghadi aur har paise ka hisaab kitaab hoga to aisa shakhs bil yaqeen halaaq hi hoga*

*ALLAHUMMA HASIBNI HISABAIN YASEERA  اللهم حسبني حساب يصيرا" Ai ALLAH mujhse aasaan hisaab lena*

*HADEES* - Qayamat ke roz 3 shakhs haazir kiye jayenge unme se ek shaheed hoga doosra aalim aur teesra sakhi,jab shaheed se sawal hoga to wo arz karega ki maula maine tere liye ladaiyan ladi aur isi haalat me maara gaya to maula taala farmayega ki tu jhootha hai tune mere liye nahin balki is liye jung ki ki log tujhe bahadur kahen teri izzat karein lihaza tera badla tujhe duniya me mil chuka ab yahan tera koi hissa nahin phir isi tarah aalim se sawal hoga to wo bhi yahi kahega ki maine quran seekha aur logon ko sikhaya to maula taala farmayega ki tu jhootha hai tune mere liye nahin balki is liye ilm haasil kiya ki jisse tu duniya kama sake aur log tujhe haafiz qaari aalim kahen teri izzat karein lihaza tera badla tujhe duniya me mil chuka ab yahan tera koi hissa nahin phir isi tarah sakhi se sawal hoga to wo bhi yahi kahega ki maine tere diye hue maal se khoob sadqa khairat kiya zakatein di bhookho ko khaana khilaya to maula taala farmayega ki tu jhootha hai tune mere liye nahin balki is liye kharch kiya ki log tujhe sakhi kahen teri izzat karein lihaza tera badla tujhe duniya me mil chuka ab yahan tera koi hissa nahin,lihaza jinke liye tune wo amal kiye the aaj unhi se badla maang le aur phir un teeno ko jahannam me daal diya jayega

📕 Ahwale barzakh,safah 168

*ⓩ ASTAGFIRULLAH,ye hai riyakaari yaani dikhawe ka anjaam,aaj ye beemari bahut hi aam hai hajj karke aayein fauran haaji likhne lage zara ilm haasil kiya to sahab maulana ho gaye,sadqa khairat to aise kiya jaata hai ki poore shahar ko khabar ho jaati hai ki falan ne kapda baata hai,isi tarah har namazi rozedaar haaji sakhi aur doosro ko dikhane ke liye neik amal karne waale maula taala ka wo farman yaad karein ki jisme wo farmayega "jinke liye tune wo amal kiye the aaj unhi se badla maang le" to aisi naubat na aane dein balki sirf aur sirf apne raza ke liye ibaadat karein aur zarra barabar bhi ye khayal dil me na aane paayein ki falan mujhe dekhega to achchha samjhega,maula musalmano ko riyakaari se mahfooz rakhe aameen*

*HADEES* - Huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ne apne sahaba se poochha ki kya tum jaante ho ki muflis kaun hai to wo farmate hain ki hum to use hi muflis jaante hain jiske paas maal na ho,to huzoor sallallaho taala alaihi wasallam farmate hain ki meri ummat me muflis wo hoga jo barauze qayamat namaz roza hajj zakat wa deegar nek aamaal lekar aayega magar yun ki duniya me kisi ko gaali di hogi kisi ko maara hoga kisi ka haq chheena hoga kisi ka khoon bahaya hoga,pas usse wo saari nekiyan lekar uske haq daaron ko de di jayegi aur agar ab bhi unpar kuchh zulm baaki rah gaye honge to fir unke gunaah iske sar daalkar isko jahannam me bhej diya jayega

📕 Muslim,jild 2,safah 33

*ⓩ Har insaan ko 2 kism ka haq ada karna hota hai pahla to huququllah yaani rub ka haq jaise ki namaz roza hajj zakat wa nikyon ki taraf maayil rahna aur apne aapko gunahon se bachana aur doosra huqul ibaad yaani bando ka haq,huququllah se zyada sakht huququl ibaad hai ki ALLAH apna haq to apne rahmo karam se maaf farma bhi dega magar bando ka haq jab tak ki banda khud na maaf karega maula hargiz maaf na karega,to namaz roza karna bahut achchhi baat hai magar uske bando se ikhlaaq se pesh aana ye bahut zyada zaruri hai magar bando se muraad musalman hi hain kyunki agar che kaafir bhi usi ke bande hain magar nafarmaan bande aur unke saath narmi baratna khuda ka gazab mol lena hai liahaz unse door rahein aur badmazhab to kaafir se bhi badtar hai lihaza unse bhi door rahein*

To be continued..........

*Don't Call Only WhatsApp 9559893468*
      *NAUSHAD AHMAD "ZEB" RAZVI*
                       *ALLAHABAD*

Post a Comment

0 Comments