Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Haafiz Abdul Azeez Muradabadi rahmatullāhi alaihi

Hazrat Haafiz Abdul Azeez Muradabadi rahmatullāhi alaihi :
-------------
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Haafiz-e-Millat, Ustaad-ul-Ulama, Jalaalatul-Ilm.

****************
Aap ki wilaadat (1894 A.D.) me Peer ke roz Bhojpur (Muradabad, Uttar Pradesh) me hui.

Aap ke waalid ka naam Haafiz Ghulaam Noor hai.

****************
Aap ne apne waalid se ta’aleem haasil ki aur Haafiz e Qur’an hue.
Bhojpur me Urdu aur Faarsi ki ta’aleem haasil karne ke baad Aap Muradabad Madrasa Naeemiya me gaye aur waha 3 saal ta’aleem haasil ki.
Is ke baad 1342 Hijri (1924 A.D.) me Aap Ajmer Madrasa Moeeniya me gaye aur Dars-e-Nizaami mukammal kiya.
Phir Aap ne Ajmer me Hazrat Sadr-ush-Shariah Maulana Amjad Ali Aazmi rahmatullāhi alaihi se Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki. Magar Aap ko 1351 Hijri (1932 A.D.) me Bareilly me sanad ata ki gai.

****************
Sha’abaan 1352 Hijri (December 1933 A.D.) me Hazrat Sadr-ush-Shariah ki daawat par Aap Bareilly gaye aur Hazrat ke farmaan par Aap ne Madrasa Ashrafiya Misbaah-ul-Uloom, Mubarakpur me dars wa ta’aleem dena shuru kiya.
29 Shawwaal 1352 Hijri (14 February 1934 A.D.) me Aap ko Madrasa Ashrafiya Misbaah-ul-Uloom ka Sadr-ul-Mudarris banaaya gaya.
Aap ke mehnat se Madrasa ki shohrat badhne lagi aur talba ki ta’adaad badhne lagi. Phir 1353 Hijri (1935 A.D.) me Aap ne madrasa nayi imaarat me ‘Daar-ul-Uloom Ashrafiya Misbaah-ul-Uloom’ naam se shuru kiya jis ki bunyaad Aala Hazrat Maulana Sayyed Ali Husain Ashrafi Miyan aur Hazrat Sadr-ush-Shariah Maulana Amjad Ali Aazmi ke daste mubarak se rakhi gai.
Jab talba ki ta’adaad aur badhne lagi aur Madrasa ko ek badi jagah me tabdeel karne ki zaroorat padi tab Rabi ul awwal 1392 Hijri (May 1972 A.D.) me Huzoor Mufti-e-aazam e Hind Mustafa Raza Khan Bareilwi aur Allama Arshad-ul-Qaadri ke daste mubarak se ‘Al-Jaamiatul Ashrafiya’ ki bunyaad rakhi gai.

Aap ki khwaahish thi ke Madrasa me talba ko tamaam uloom ke saath Arabi aur Angrezi dono zabaan ki pukhta ta’aleem di jaaye taake faarigh hone ke baad wo dunya ke kisi bhi mulk me ta’aleem e deen ka kaam kar sake.

******************
Aap ke bahot saare shaagirdo ne khidmat e deen ka kaam jaari rakha hai.

Aap ke mash'hoor shaagird :

(1) Qaari Muhammad Muslih-ud-deen Siddeeqi
(2) Faqeeh e aazam e Hind Mufti Shareef-ul-Haq Amjadi
(3) Raees-ul-Qalam Allama Arshad-ul-Qaadri (Baani e Jaamia Faiz-ul-Uloom, Jamshedpur, Daar-ul-Uloom Amjadia, Mau wa Jaamia Hazrat Nizaam-ud-deen Aulia, Delhi)
(4) Muhaddeeṡ-e-Kabeer Allama Mufti Zia-ul-Mustafa Aazami (Jaamia Amjadiya Razawiya, Ghosi)
(5) Allama Badr-ud-deen Ahmad Razawi
(6) Bahr-ul-Uloom Mufti Abdul Mannaan Aazami
(6) Imaam-ul-Ma’aqoolat Maulana Haafiz Abdul Ra'oof Balyawi
(8) Shaikh-ul-Islaam Allama Sayyed Muhammad Madani Ashrafi (Baani e Muhaddeeṡ-e-Aazam Mission)
(9) Mufakkir-e-Islaam Allama Qamar-uz-Zamaan Aazami (Baani e Jami’at-ul-Islaamiya, Ronahi)
(10) Allama Mohammad Ahmad Misbaahi (Sadr e Jami’at-ul-Ashrafia, Mubarakpur)
(11) Allama Yāsin Akhtar Misbaahi (Baani e Daar-ul-Qalam, Delhi)
(12) Allama Badr-ul-Qaadri (Islamic Academy, The Hague)
(13) Dr. Jalaal-ud-deen Ahmad Noori (Karachi University)

****************
Aap har amal Sunnat e Rasool ke mutaabiq karte the.
Ek baar Aap ke daanye paanv me zakhm ho gaya. Ek saahab ne dawa laakar kaha “Hazrat! Dawa haazir hai.” Sardi ka mausam tha, Hazrat moza pehne hue the.
Aap ne baaye (ulte) pair ka moza utaara to wo saahab bol pade “Hazrat! Zakhm to daahine paanv me hai.” Aap ne farmaaya “Baaye paanv ka pehle utaarna Sunnat hai.”

****************
1386 Hijri (1967 A.D.) me Aap ne Hajj ada kiya.
Aap ne photo na nikalwakar paaband e shariat hone ka ṡaboot diya.

****************
Madeena munawwara me qayaam ke dauraan ek martaba Aap Roza e Rasool sallallāhu alaihi wa sallam par haath uthakar dua kar rahe the to ek Wahaabi Police Officer ne Aap ko roka aur kaha ke “Qibla ki jaanib haath uthakar dua karo.” Aap ne Roza e Rasool ke adab ki wajah se koi jawaab na diya. Magar woh Aap ko pichhe khinchkar waha se door karne laga. Jab us ne kaha ke “Roza e Rasool ki jaanib rookh karke dua karna Shirk hai.” tab Aap ne us se kaha ke “Quran majeed me ALLĀH ta’ala Waseela ke liye faramaata hai aur Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ALLĀH ta’ala ki baargaah me Waseela hain.” Us ne kaha “Nek aamaal ko Waseela banaana chaahiye.” Aap ne farmaaya “Kya musalman ke nek aamaal hamesha maqbool hote hain.” Woh khaamosh raha. Aap ne farmaaya “Koi bhi shakhs yeh nahi jaanta ke us ke nek aamaal qubool hote hain ya nahi. Har insaan qubool hone ki ummeed rakhte hue nek amal karta hai . Lekin Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki zaat mubarak to ALLĀH ta’ala ki baargaah me Maqbool hi hai aur is me koi shak nah hai. Aur jo maqbool ho usi ko ALLĀH ta’ala ki baargaah me Waseela bana sakte hain. Chunaanche Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam behtareen Waseela hain.” Yeh sunkar woh Police Officer baghair kuchh kahe waha se chala gaya.

****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Ma’arif-e-Hadeeṡ
(2) Fataawa Azeeziya
(3) Irshaad-ul-Qur’an
(4) Anba'-ul-Ghaib
(5) Al-Misbaah-ul-Jadeed
(6) Firqa-e-Na’ajiya
(7) Haashiya Sharh Mishkaat.

****************
Aqwaal :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap irshaad farmaate hain :
 (1) Dunya me amal karoge to qabr me raahat paaoge.
(2) Har aitraaz ka jawaab sahi amal se hi dena chaahiye.
(3) Amal karne waale bano kyun ki sahi amal se hi izzat badhti hai.
(4) Maal o daulat ALLĀH ta’ala ki ne'amat hai magar use nek kaam me kharch karne ki aadat bahot badi ne'amat hai.
(5) Woh shakhs Qaabile ehtaraam hai jis ke libaas me saadgi ho aur dil me sahi ilm ho.
(6) Hamesha dusro ki achhai dekho aur apne aib par nazar rakho.
(7) Apni izzat kuchh nahi, Asl izzat deen ki hai. Deen ki jalaalate shaan se hamari shaan hai.

****************
Aap ko Hazrat Sadr-ush-Shariah Maulana Mufti Amjad Ali Aazami rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Maulana Sayyed Ali Husain Ashrafi Miyan Kichhauchhawi rahmatullāhi alaihi ne bhi Aap ko khilaafat ata farmai hai.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Mumtaaz-ul-Fuqaha Muhaddeeṡ-e-Kabeer Allama Mufti Zia-ul-Mustafa Aazami rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Raahbare-Ahle-Sunnat Allama Mufti Mohammad Nasir-ud-deen Misbaahi,
(3) Hazrat Raees-ul-Qalam Allama Arshad-ul-Qaadri rahmatullāhi alaihi.

****************
1 Jamaadi ul aakhir 1396 Hijri ko Aap ne Sahih al-Bukhari me se Kitaab-ul-Janaa'iz ka dars diya aur sabaq ke dauraan Aap ne farmaaya “Aaj Peer ka din hai aur aaj hi ke din Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ki be'asat hui thi aur aaj hi ke din aap ka wisaal hua tha.”
Aur usi raat ko 11: 55 baje Aap ka inteqaal hua.

****************
Aap ka wisaal 1 Jamaadi-uṡ-Ṡaani 1396 Hijri (31 May 1976 A.D.) ko Peer ke roz hua.

Aap ka mazaar Mubarakpur (Uttar Pradesh) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Haafiz-e-Millat Haafiz Abdul Azeez Muradabadi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments