________
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Qutb-ul-Abdaal (The axis of the substitute saints).
****************
Aap ki wilaadat 6 Ramazaan 260 Hijri (June 874 A.D.) me Chisht me hui.
Aap ke waalid ka naam Sayyed Sultaan Faransafah bin Sayyed Ibrāheem hai.
Aap Hasani saadaat hain.
****************
Aap ki phuphi bahot nek aurat thi aur Khwaja Abu Is'hāq Shaami Chishti rahmatullāhi alaihi ki mureed thi aur Khwaja basa awqaat un ke ghar par khaana khaane ke liye aate the.
Ek baar Khwaja ne mehsoos kiya ke Sultaan ke yaha ek aisa bacha aane wala hai jo ALLĀH ta’ala ka muqarrab banda hoga. Unho ne Sultaan mi biwi ko koi bhi haraam cheez khaane se parhez karne liye farmaaya.
Aap ki wilaadat ke baad aap ki phuphi ne Aap ko apne paas parwarish ke liye rakh liya.
Khwaja Abu Is'hāq Shaami Chishti jab bhi un ke yaha tashreef laate to bataate ke woh wali ki khushbu mehsoos kar rahe hain.
Aap bachpan se hi Khwaja Abu Is'hāq Shaami Chishti se faiz haasil karte rahe.
20 saal ki umr me ek baar Aap apne waalid ke saath shikaar ke liye gaye. Aap un se alag hokar ghum rahe the tab Aap ek pahaad ke qareeb maidaan me pahunche to aap ne dekha ke 40 Auliya Allāh Khwaja Abu Is'hāq Shaami Chishti ke saamne ba-adab khade hain. Khwaja ki shaane wilaayat dekhkar Aap foran apne ghode se neeche utre aur Khwaja ke qadmo me aa gaye aur phir apna shaahi libaas utaarkar saada libaas pehan liya aur khwaja ke mureed ban gaye.
Jab Aap ke waalid ko is baat ka pata chala to unho ne aap ko bahot samjhaaya magar Aap na maane aur Hazrat ki khidmat me hi zindagi guzaarne ka iraada kar liya.
******************
Aap akṡar roza rakhte the.
Rozaana 2 martaba pure Qur’an majeed ki tilaawat kiya karte the.
Aap 30 saal tak raat bhar jaagkar Ibaadat aur Muraaqaba kiya karte the.
7 saal tak namaaz e tahajjud ada karne ke baad ek baar Aap ne dua ki “Ya ALLĀH! Tere bando par raham kar. Ummate Mustafa ke gunaahgaaro ko bakhsh de.”
Ghaib se aawaaz aai “Aye Abu Ahmad! Hum ne tumhari dua qubool farmai hai aur 10000 gunaahgaar ummatiyo ko bakhsh diya hai. Roze mehshar wo sab tumhare saath jannat me daakhil honge.”
****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek martaba Aap apne waalid Sultaan Faransafah ke sharaab khaane me gaye aur waha maujood tamaam sharaab ko phenk diya. Jab aap ke waalid ko pata chala to Sultaan ne ghusse me aakar ek bahot bada patthar aap ki taraf phenka. Magar ALLĀH ke fazl wo patthar hawa me hi rook gaya aur kisi ko koi nuqsaan na pahuncha. Ye dekhkar Sultaan ne tauba kar li aur aap ka mureed ho gaya.
(2) Ek martaba Aap kuffaar ke ek giroh ke paas se guzre jo musalmano ko aag me daalkar zinda jala dete the. Unho ne aap se kaha “Ab tumhara haal kya hota hai dekhte hain? Aap ne farmaaya ‘Sache mo’min ko kabhi aag jala nahi sakti.” Phir aap ne aag ki taraf dekha aur apne musalla ke saath aag me daakhil ho gaye. Kaafiro ko yeh dekhkar ta’ajjub hua ke Aap ko aag ne koi nuqsaan nahi pahunchaya. Yeh dekhkar waha maujood tamaam logo ne aap se maafi maangi aur Islaam me daakhil ho gaye.
****************
Aap Hazrat Khwaja Abu Is'hāq Shaami Chishti rahmatullāhi alaihi ke khalifa hain.
Aap ke khalifa (aap ke saahabzaade) Hazarat Khwaja Sayyed Naasih-ud-deen Abu Muhammad Chishti rahmatullāhi alaihi hain.
****************
Aap ka wisaal 3 Jamaadi-uṡ-ṡaani 356 Hijri (16 May 967 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Chisht (Afghanistan) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Khwaja Sayyed Abu Ahmad Abdaal Chishti rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 Comments