Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Shaahe Meeran Sayyed Ali Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi

Hazrat Shaahe Meeran Sayyed Ali Qaadri al-Jilani rahmatullāhi alaihi :

________________

Aap ki wilaadat 558 Hijri (1163 A.D.) me hui.

Aap Hasani saadaat hain.
Aur Hazrat Ghauṡ ul aazam Sayyed Shaikh Mohiy-ud-deen Abdul Qaadir Jilani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.

********************
568 Hijri (1173 A.D.) me 10 saal ki umr me Aap apne chacha Hazrat Sayyed Abdul Wahhaab Jilani rahmatullāhi alaihi ke saath Hindustan ke Khambhat shaher (Gujarat) me tashreef laaye.

Ta’aleem haasil karne ke baad Aap Khambhat me sukoonat ikhtiyaar karke khidmat e deen kakarte rahe.

Aap ke baad Aap ke saahabzaade Sayyed Meeran Wali rahmatullāhi alaihi ne khidmat e deen ka kaam jaari rakha.

******************
Aap ka wisaal 3 Jamaadi ul Awwal 641 Hijri (October 1243 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Khambhat (Gujarat) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaahe Meeran Sayyed Ali Qaadri al-Jeelaani rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments