Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Shaikh Ala-ud-deen Ali al-Muttaqi al-Hindi rahmatullāhi alaihi

Hazrat Shaikh Ala-ud-deen Ali al-Muttaqi al-Hindi rahmatullāhi alaihi :

____________

Aap ki wilaadat 888 Hijri (1472 A.D.) me Burhanpur (Madhya Paradesh) me hui.

Aap ke waalid ka naam Husaam-ud-deen ibn Abdul Malik hai.

****************
8 saal ki umr me Aap ki Hazrat Shaikh Abdur Raheem Bajan rahmatullāhi alaihi se ta’aleem shuru hui aur Azkaar ki ta’aleem haasil ki.

Is ke kuchh waqt baad Aap ke waalida ka inteqaal hua. Aap ke waalid aur rishtedaaro ne aap ki parwarish ki.

Aap Shaikh Abdul Hakeem bin Shaikh Bajan Chishti ke mureed hue aur un ki khaanqaah me ta’aleem haasil ki.

Is ke baad 2 saal tak Multan me Hazrat Shaikh Hisaam-ud-deen al-Muttaqi rahmatullāhi alaihi se Tasawwuf ki ta’aleem haasil ki.

*******************
Phir Aap Multan se rawaana hue. Aap ne apne saath 2 thaile liye, ek me apna saamaan aur ek me kitaabe rakhte the.
Sadr Hasan naami Aap ka ek khaadim israar karke Aap ke saath safar me rehta tha.
Aap jangal me qayaam karte aur khud khaana pakakar khaate the.
Sirf ba-jama’at namaaz ada karne ke liye masjid me tashreef laate the.

Aap safar karte hue Sultaan Bahaadur Shaah ke zamaane me Gujarat tashreef laaye. Ahmedabad me Aap ne Sunnat e Rasool ada karne ke liye Nikaah kiya. Apne bache ke bachpan me inteqaal ke baad Aap ne Ahmedabad chhodne ka faisla kiya. Aap ki biwi ne bataure mureed Aap ke saath aane ke liye iltija ki.

Is ke baad Aap Surat tashreef laaye. Yaha se Qaazi Abdullāh Aap ke saath safar me shaamil hue.

Is ke baad safar karte hue Aap Makka mukarrama tashreef laaye.
Makka me Hazrat Shaikh Abul Hasan al- Bakri rahmatullāhi alaihi se Hadeeṡ aur Tasawwuf ki ta’aleem haasil ki.
Aur Hazrat Shaikh Shahaab-ud-deen Ahmad bin Hajar al-Makki rahmatullāhi alaihi se Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki.

***************
Aap Sultaan Mahmood bin Mahmood Shaah ke zamaane me phir se Gujarat tashreef laaye aur kuchh waqt rookkar phir se 953 Hijri (1546 A.D.) me Makka rawaana ho gaye.

Aur baaqi zindagi Makka mukarrama me qayaam karke ta’aleem e deen karte rahe.

****************
Aap ki likhi hui Hadeeṡ ki kitaab ‘Kanz-ul-Ummal fi sunan al-aqwaal wal afa’al’ naam se mash'hoor hai.

****************
Aap Hazrat Shaikh Abdul Hakeem bin Shaikh Bajan Chishti rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat Shaikh Shams-ud-deen Muhammad ibn Abdur Rahmān al-Sakhawi rahmatullāhi alaihi ne Aap ko Qaadri, Shaazili aur Maghribi silsile ki khilaafat ata farmai hai.

Aap ke khalifa Hazrat Abdul Wahaab al-Muttaqi rahmatullāhi alaihi hain.

****************
Aap ka wisaal 2 Jamaadi ul awwal 975 Hijri (4 November 1567 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Jannatul Mualla, Makka muklarrama me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Ali al-Muttaqi al-Hindi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments