Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Aasaare Qayamat-1

👉               *Msg prepared by*               👈
                           *ZEBNEWS*

*हिन्दी/Hinglish*                  *आसारे कयामत-01*

ⓩ *अल्लाह जल्ला शानहु* ने अपने बन्दों को उनके अच्छे और बुरे आमाल की सजा व जज़ा के लिए एक खास दिन मुक़र्रर कर रखा है,उस दिन वो सबका हिसाबो किताब लेगा जिसमे नेकों को जन्नत और बुरों को जहन्नम का अज़ाब देगा उसी को उर्फे शरह में क़यामत कहते हैं,इसकी 3 किस्में हैं

*1. क़यामते सुग़रा - जो मर गया उसकी क़यामत हो गई*

*2. क़यामते वुस्ता - किसी कर्न या जगह के पूरे लोग मर जायें तो उनकी क़यामत क़ायम हो गई*

*3. क़यामते कुबरा - वो जिस दिन आसमानों ज़मीन और इसमें जो कुछ है सब फना हो जायेंगे*

📕 अलमलफूज़,हिस्सा 3,सफह 49

ⓩ बाज़ जाहिल नाम निहाद मुसलमान ये कहते हैं कि हुज़ूर सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम को क़यामत का इल्म नहीं था माज़ अल्लाह बल्कि कुछ तो आपके मुतलक़न इल्मे ग़ैब का ही इंकार करते फिरते हैं,इल्मे ग़ैब पर क़ुर्आन की आयतों से 1 पोस्ट और हदीसे पाक से 7 पोस्ट फेसबुक पर है जिनमे वहाबियों के 10 बड़े बड़े ऐतराज़ का जवाब मुदल्लल दिया गया है उसको फेसबुक पर ही सर्च करें,जिस नबी को अल्लाह रब्बुल इज़्ज़त ने जन्नत में जाने वालों और जहन्नम में जाने वालों की तादाद तक को बता दिया,पहले हदीसे पाक पढ़िये फिर बात आगे बढ़ाता हूं

*हज़रत अब्दुल्लाह बिन उमर रज़ियल्लाहु तआला अन्हु फरमाते हैं कि एक दिन हुज़ूर सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम हमारे दरमियान हाज़िर हुए तो आपके हाथों में 2 किताब थी,आपने पूछा कि क्या तुम लोग इस किताब के बारे में जानते हो तो सहाबा ने अर्ज़ किया कि या रसूल अल्लाह सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम आपके बग़ैर बताये हम नहीं जानते,तो आपने दाहिने हाथ की किताब की तरफ इशारा किया और फरमाया कि इसमें जन्नत में जाने वालों के नाम उनके बाप के नाम के साथ दर्ज हैं और आखिर में सबका टोटल भी कर दिया गया है कि अब उसमे कमी या ज़्यादती नहीं होगी,फिर बायें हाथ की किताब की तरह इशारा करते हुए फरमाया कि इसमें जहन्नम में जाने वालों के नाम उनके बाप के नाम के साथ दर्ज हैं और आखिर में सबका टोटल भी कर दिया गया है कि अब उसमे कमी या ज़्यादती नहीं होगी*

📕 तिर्मिज़ी,जिल्द 2,सफह 36

ⓩ ये तो बस एक हदीसे पाक है वरना किताबों में तो ऐसी ऐसी हज़ारों हदीसें मिल जायेगी अब ज़रा सोचिये कि जो नबी क़यामत के बाद तक का हाल जानते हों कि कौन जन्नत में जायेगा और कौन जहन्नम में क्या वो क़यामत का इल्म नहीं जानते होंगे यक़ीनन जानते हैं और उन्ही के बताने से आज मुसलमान का बच्चा बच्चा जानता है कि क़यामत मुहर्रम की दसवीं जुमा के दिन ज़ुहर व अस्र के दरमियान आयेगी,और रही बात वक़्ते मुतअय्यन की तो वो भी मेरे नबी पर पोशीदा नहीं है बल्कि उस राज़ को पोशीदा रखने का हुक्म है,अब क़यामत के बारे में कुछ अक़ीदा भी मुलाहज़ा फरमा लें

! क़यामत बरहक़ है और अपने वक़्त पर ज़रूर ज़रूर आयेगी जो इसका इंकार करे या ज़र्रा बराबर भी शक करे काफिर है

! क़यामत में सज़ा और जज़ा जिस्म व रूह दोनों पर होगा तो जो ये कहे कि वहां सिर्फ रूह होगी जिस्म नहीं वो भी काफिर है

! और जो रूह जिस जिस्म में थी उसी के साथ हश्र होगा ये नहीं कि नया जिस्म पैदा करके उसमें रूह डाली जाये अगर चे उसका जिस्म जला दिया जाये या पानी में बहा दिया जाये या मुख्तलिफ जानवरों की गिज़ा बन जाये,जिस्म की रीढ़ की हड्डी में कुछ ऐसे बारीक अज्ज़ा होते हैं जिनको *अज्बुज़ ज़न्ब* कहते हैं जो ना तो दूरबीन से नज़र आते हैं ना उन्हें आग जला सकती है और ना ज़मीन उसे गला सकती है और मौला तआला इस पर क़ादिर है कि उसके इसी तुख्म से सारे अज्ज़ा को मिलाकर फिर खड़ा कर दे और क्यों ना हो कि जो खालिक़े क़ायनात पहली बार बगैर शक्लो सूरत के एक इंसान को पैदा कर सकता है उसका उसी इंसान को उसी हैबत पर दोबारा वुजूद में लाना कौन सा मुश्किल काम है

📕 बहारे शरियत,हिस्सा 1,सफह 28/35

जारी रहेगा...........

-------------------------------------------

ⓩ ALLAH jalla shanahu ne apne bando ko unke achchhe aur bure aamaal ki saza wa jaza ke liye ek khaas din muqarrar kar rakha hai,us din wo sabka hisaab o kitaab lega jisme nekon ko jannat aur buron ko jahannam ka azaab dega usi ko urfe sharah me qayamat kahte hain,iski 3 kismein hain

*1. Qayamate sugra-jo mar gaya uski qayamat ho gayi*

*2. Qayamate wusta-kisi karn ya jagah ke poore log mar jaayein to unki qayamat qaayam ho gayi*

*3. Qayamate kubra-jis din aasmano zameen aur usme jo kuchh hai sab fana ho jayein*

📕 Almalfooz,hissa 3,safah 49

ⓩ Baaz jaahil naam nihaad musalman ye kahte hain ki huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ko qayamat ka ilm nahin tha maaz ALLAH balki kuchh to aapke mutlaqan ilme gaib ka hi inkaar karte phirte hain,ilme gaib par quran ki aayton se 1 post aur hadise paak se 7 post facebook par hai jinme wahabiyon ke 10 bade bade aitraaz ka jawab mudallal diya gaya hai usko fb par hi search karen,jis nabiye paak ko ALLAH rabbul izzat ne jannat aur jahannam me jaane waalo ke naam aur taadad tak ko bata diya pahle ye hadise paak padhiye

*Hazrat abdullah bin umar raziyallahu taala anhu farmate hain ki ek din huzoor sallallaho taala alaihi wasallam hamare darmiyan haazir hue to aapke haathon me 2 kitab thi,aapne poocha ki kya tum log is kitab ke baare me jaante ho to sahaba ne arz kiya ki ya rasool ALLAH sallallaho taala alaihi wasallam aapke bagair bataye hum nahin jaante,to aapne daahine haath ki kitab ki taraf ishara kiya aur farmaya ki isme jannat me jaane waalo ke naam unke baap ke naam ke saath darj hain aur aakhir me sabka total bhi kar diya gaya hai ki ab usme kami ya zyadti nahin hogi,phir baayein haath ki kitab ki tarah ishara karte hue farmaya ki isme jahannam me jaane waalo ke naam unke baap ke naam ke saath darj hain aur aakhir me sabka total bhi kar diya gaya hai ki ab usme kami ya zyadti nahin hogi*

📕 Tirmizi,jild 2,safah 36

ⓩ Ye to bas ek hadise paak hai warna kitabon me to aisi aisi hazaron hadisein mil jayegi ab zara sochiye ki jo nabi qayamat ke baad tak ka haal jaante hon ki kaun jannat me jayega aur kaun jahannam me kya wo qayamat ka ilm nahin jaante honge yaqinan jaante hain aur unhi ke batane se aaj musalman ka bachcha bachcha ye jaanta hai ki qayamat muharram ki daswi juma ke din zuhar wa asr ke darmiyan aayegi,aur rahi baat waqte mutayyan ki to wo bhi mere aaqa sallallaho taala alaihi wasallam beshak jaante hain bas us raaz ko poshida rakhne ka hum tha warna wo bhi bata dete,ab qayamat ke baare me kuchh aqeeda bhi mulahza farma lein

! Qayamat barhaq hai aur apne waqt par zaroor zaroor aayegi jo iska inkaar kare ya zarra barabar bhi shaq kare wo kaafir hai 

! Qayamat me saza aur jaza jism aur rooh dono ko hoga to jo ye kahe ki wahan sirf rooh hogi jism nahin wo bhi kaafir hai

! Aur jo rooh jis jism me thi usi ke saath hashr hoga ye nahin ki naya jism paida karke usme rooh daali jaaye agar che uska jism jala diya jaaye ya paani me baha diya jaaye ya mukhtalif jaanwaron ki giza ban jaaye,jism ki reedh ki haddi me kuchh aise baareek ajza hote hain jinko *AJBUZ ZANB* kahte hain jo na to doorbeen se nazar aate hain na unhein aag jala sakti hai aur na zameen use gala sakti hai aur maula taala ispar qaadir hai ki uske isi takhm se saare ajza ko milakar phir khada kar de aur kyun na ho ki jo khaliqe qaaynat pahli baar bagair shaklo surat ke ek insaan ko paida kar sakta hai uska usi insaan ko usi haibat par dobara wujood me laana kaunsa mushkil kaam hai

📕 Bahare shariyat,hissa 1,safah 28/35

To be continued..........

*Don't Call Only WhatsApp 9559893468*
      *NAUSHAD AHMAD "ZEB" RAZVI*
                       *ALLAHABAD*

Post a Comment

0 Comments