Hazrat Shaikh Wasi Ahmad Mohaddeeṡ Naqshbandi Surati rahmatullāhi alaihi :
________
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾
Shaikh-ul-Muhaddeeṡeen, Haafiz-ul-Bukhaari.
****************
Aap wilaadat 1252 Hijri (1836 A.D.) me Rander, Surat (Gujarat) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Maulana Muhammad Tayyib bin Muhammad Taahir Surati hai.
Aap Hazrat Muhammad ibn al-Hanafiya bin Hazrat Ali al-Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
Aap ke pardaada 1060 Hijri (1650 A.D.) me Mughal baadshaah Shaah-jahaan ke zamaame me Madeena se Surat tashreef laaye the.
****************
1857 A.D. me angrezo ke khilaaf Hindustan ki aazaadi ki pehli jung me Aap apne pariwaar ke saath shareek hue. Is jung me Aap ke 2 bhai shaheed hue.
Angrezo ne Aap ke pariwaar ki milkiyat par qabza kar liya. Aap ka pariwaar hijrat karke Iraq chala gaya. Waha 3 saal rookne ke baad Aap ka pariwaar Hajje baitullāh ke liye gaya aur wahi se Hindustan waapas aane ke liye rawaana hua. Raaste me Aap ke waalid ka inteqaal hua. Bahot takleef bardaadsht karke Aap ka pariwaar Hindustan pahuncha aur bahot mehnat karke apna kapdo ka kaarobaar phir se jamaaya. Is ke kuchh waqt baad Aap ki waalida ka inteqaal hua.
****************
Is ke baad Aap apne bhai Shaikh Abdul Lateef ke saath Delhi gaye aur Madrasa Husain Bakhsh me ta’aleem haasil ki. Phir Aligarh me Maulana Mufti Muhammad Lutfullāh Aligarhi se ta’aleem haasil ki. Phir 1281 Hijri (1865 A.D.) me Saharanpur jaakar Maulana Ahmad Ali Mohaddeeṡ Saharanpuri se Hadeeṡ ki ta’aleem haasil ki aur un se Sanad aur Ijaazat haasil ki. Phir Kanpur me Madrasa Faiz e Aam se 1286 Hijri (1870 A.D.) me deegar uloom ki majeed ta’aleem haasil ki.
Phir Maulana Lutfullāh Aligarhi ke mashware par Gunj-Muradabaad jaakar Hazrat Maulana Shaah Fazle Rahmān Gunj-muradabaadi rahmatullāhi alaihi ke mureed hue.
Aap ne Maulana Shaah Fazl-e-Rahmān Gunj-muradabaadi se Sihah Sittah aur Mishkaat-ul-Masaabih ki ta’aleem lekar Sanad haasil ki.
Is ke baad 3 mahine tak Aap ne Dhaka, Sylhet, Chittagong aur Kishan ganj ka safar kiya. Is dauraan Aap ki mulaaqaat Hazrat Shaikh Sayyed Abdul Hayy Islamabadi aur Hazrat Peer Sayyed Mehar Ali Shaah Golrawi se hui.
1283 Hijri (1867 A.D.) me Shaah Fazl-e-Rahmān Gunj-muradabaadi ke farmaan par aur Shaikh Hakeem Khaleel-ur-Rahmān Pilibhiti ki daawat par Aap Pilibhit tashreef laaye.
1301 Hijri (1882 A.D.) me Aap ne Pilibhit me Madrasa Daar-ul-Hadeeṡ ki ibtida ki. Jis ke bunyaadi jalse me Hindustan ke bahot saare mash'hoor mohaddeeṡeen aur ulema tashree laaye the aur A’ala Hazrat Imaam e Ahle Sunnat Ahmad Raza Khan rahmatullāhi alaihi ke mubarak haatho se Madrasa ki sange bunyaad rakhi gai aur A’ala hazrat ne lagaataar 3 ghante tak Ilm e Hadeeṡ, Usool e Hadeeṡ aur is se muta’alliq mozu par shaandaar taqreer farmaai.
Aap A’ala Hazrat ki bahot ta’azeem karte the. Aap farmaate hain ke ‘A'ala Hazrat is daur ke Ameer-ul-mo’mineen fil Hadeeṡ hain.’
****************
Aap 40 saal tak ta’aleem e Hadeeṡ karte rahe.
Aap Fajr ke baad se lekar der raat tak ta’aleem e Hadeeṡ karte. Sirf namaaz ke waqt aur apne zaroori kaamo ke liye hi thehrte.
Aap Haafiz-ul-Bukhari the ya’ani Sahih Bukhari ki puri kitaab tamaam raawiyo ke naam (Isnaad) aur Hadeeṡ ke matan ke saath zabaani yaad thi.
Aap ne Wahaabi aur dusre bad-mazhab firqo ke khilaaf daleel pesh ki aur ta’aleem wa dars ke zariye musalmano ko hidaayat dete rahe aur tahaffuz e aqaa'id e Ahle Sunnat wal jama’at ka kaam anjaam dete rahe.
****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Haashiya Sunan Nisai
(2) Haashiya Ma’ani al-At'har e Imaam Tahaawi
(3) Haashiya Tafseer al-Jalaalain
(4) Haashiya Mishkaat al-Masaabih
(5) Ta’aliq Mujalla Sharah Muniyaat al-Musalla
(6) Jaami al-Shawaahid bi Khiraajil Wahaabain anil Masaajid.
****************
Aap ke shaagirdo me Sadr-ush-Shariah Maulana Amjad Ali Aazmi, Mohaddeeṡ e aazam e Hind Maulana Sayyed Muhammad Kichhauchawi, Maulana Khaadim e Husain bin Sayyed Jama’at Ali Shaah Mohaddeeṡ Alipuri, Qutb-ul-Madeena Maulana Zia-ud-deen Ahamd Madani, Malik-ul-Ulama Maulana Zafar-ud-deen Bihari, Maulana Fakhir Allahabadi, Raees-ul-Ulama Sayyed Sulaimān Ashraf, Allama Maulana Abdul Salaam Qaadri Razwi Aazami, Maulana Abdul Qaadir Lahori, Shaikh Mushtaaq Ahmad Qaadri Kanpuri, Shaikh Nisaar Ahmad Qaadri Kanpuri, Muhammad Shafi Baisalpuri, Shaikh Abdul Azeez Mohaddeeṡ Bijnori, Maulana Abdul Hayy Mouhaddeeṡ Pilibhiti, Maulana Sultaan-ul-Waa'izeen Maulana Abdul Ahad Pilibhiti mash'hoor hain.
****************
Aap Hazrat Maulana Shaah Fazl-e-Rahmān Gunj-muradabaadi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aur ‘Naqshbandi Mujadidi’ silsila ki Shaikh hai.
Aap ke khulfa :
(1) (Aap ke saahabzaade) Hazrat Maulana Abdul Ahad Pilbhiti rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Qutb-e-Madeena Maulana Zia-ud-deen Ahmad Madani rahmatullāhi alaihi.
****************
Aap ka wisaal 7 Jamaadi-ul-awwal 1334 Hijri (12 March 1916 A.D.) ko hua.
Aap ke wisaal ke waqt ‘Mishkaat-ul-Masaabih’ Aap ke seene par thi.
Aap ki naamaz e janaaza Hujjat-ul-Islaam Hazrat Haamid Raza Khan Bareilwi rahmatullāhi alaihi ne padhaai.
Aap ka mazaar Pilibhit (Uttar Pradesh) me Madrsatul Hadeeṡ ke bagal me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Wasi Ahmad Mohaddeeṡ Naqshbandi Surati rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 Comments