Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Aasaare Qayamat-09

👉               *Msg prepared by*               👈
                           *ZEBNEWS*

*हिन्दी/Hinglish*                  *आसारे कयामत-09*

*हज़रत ईसा अलैहिस्सलाम* के विसाल के बाद जहजाह नाम का आपका जांनशीन होगा जो इन्साफ के साथ सल्तनत करेगा उसके बाद कुछ और बादशाह भी होंगे फिर लोगों में कुफ्रो जिहालत फैल जायेगी,उन्हीं दिनों तक़दीर का इंकार करने वाले दो गिरोहों को लेकर पूरब और पश्चिम की ज़मीन धंस जायेगी,और एक धुआं पूरी ज़मीन को अपने आगोश में ले लेगा जिससे ईमान वालों को ज़ुकाम हो जायेगा और दिमाग भारी रहेगा और काफिरो मुनाफिक़ तो बेहोश हो जायेंगे,मुसलमान बाज़ 1 दिन में बाज़ 2 दिन में और बाज़ 3 दिन में उससे निजात पायेंगे मगर ये धुआं 40 दिन तक ज़मीन पर रहेगा उसके बाद आसमान साफ हो जायेगा,उसी साल ज़िलहज्ज के महीने में क़ुर्बानी के दिनों के बाद एक रात इतनी लंबी हो जायेगी कि उसकी मुसाफत तीन या चार रात जितनी बढ़ जायेगी इंसान और जानवर सब परेशान हो जायेंगे कि आखिर सुबह क्यों नहीं हो रही है बिल आखिर एक लंबी मुसाफत के बाद सूरज थोड़ी सी रोशनी के साथ अचानक पूरब की बजाये पश्चिम से निकल आयेगा,उस वक़्त मोमिन तो मोमिन बल्कि काफिर भी खुदाये ज़ुल्जलाल की वहदानियत का इक़रार करेंगे मगर उनकी तौबा क़ुबूल ना होगी क्योंकि सूरज की पहली किरण के साथ ही तौबा का वो दरवाज़ा जो 70 साल की मुसाफत की चौड़ाई रखता है फौरन बंद हो जायेगा अब किसी की तौबा या ईमान लाना हर्गिज़ मक़बूल ना होगा,सूरज जब बीच आसमान को पहुंचेगा तो वापस उसी पश्चिम की जानिब डूबना भी शुरू कर देगा और फिर दूसरे दिन से बदस्तूर पूरब से निकलकर पश्चिम में ही डूबेगा मगर बहुत मामूली रौशनी के साथ

*हदीस* - एक मर्तबा हुज़ूर सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम ने अपना सहाबा से पूछा कि क्या तुम लोगों को पता है कि सूरज कहां जाता है तो सहाबा ने अर्ज़ की कि अल्लाह और उसका रसूल ही बेहतर जानता है तो हुज़ूर सल्लललाहो तआला अलैहि वसल्लम इरशाद फरमाते हैं कि सूरज अपने मुस्तक़र की तरफ चलता रहता है और अर्श के नीचे जाकर रब को सज्दा करता है और आगे बढ़ने की इजाज़त तलब करता है और इजाज़त मिलने पर फिर आगे बढ़ जाता है मगर एक दिन ऐसा आयेगा कि वो सज्दा करेगा और इजाज़त तलब करेगा मगर हुक्म होगा कि जहां से आया है वहीं लौट जा,तब सूरज आगे बढ़ने की बजाये वापस लौटेगा और मग़रिब से तुलुअ होगा और ये वो दिन होगा कि जब किसी की तौबा क़ुबूल ना होगी

📕 मुस्लिम,जिल्द 1,सफह 161 

*मौला तआला खैर करे* अभी लोग इस उलझन से निकले भी नहीं होंगे कि काबे शरीफ के क़रीब एक पहाड़ कोहे सफा फट पड़ेगा और उसमें से एक जानवर दाबतुल अर्द ज़ाहिर होगा ये वो जानवर है जो 7 जानवरों की हैबत पर होगा,उसका मुंह आदमी की तरह उसका पैर ऊंट की तरह उसकी गर्दन घोड़े के अयाल की तरह उसकी दुम गाय की दुम की तरह उसका खुर हिरन की तरह उसकी सींग बारहसिंघा की तरह उसके हाथ बन्दर की तरह होंगे और बड़ी ही साफ ज़बान में बात-चीत करेगा उसके एक हाथ में हज़रत मूसा अलैहिस्सलाम का असा और दूसरे हाथ में हज़रत सुलेमान अलैहिस्सलाम की अंगूठी होगी,पूरी दुनिया में बड़ी ही तेज़ी के साथ गश्त करेगा और कोई भी उससे छूट ना सकेगा ईमान वालों के चेहरे पर हज़रत मूसा अलैहिस्सलाम के असे से खत खींच देगा जिससे कि उसका मुंह मुनव्वर व रौशन हो जायेगा और काफिर पर हज़रत सुलेमान अलैहिस्सलाम की अंगूठी को मस करेगा तो उसका चेहरा काला और बद शक्ल हो जाएगा फिर अगर एक दस्तर-ख्वान पर कोई जमाअत बैठेगी तो हर आदमी जान लेगा कि कितने मोमिन हैं और कितने काफिर और फिर वो जानवर गायब हो जायेगा

📕 ज़लज़लातुस साअत,सफह 14
📕 बहारे शरियत,हिस्सा 1,सफह 33

जारी रहेगा...........

---------------------------------------

*Hazrat eesa alaihissalam* ke wisaal ke baad jahjaah naam ka aapka janasheen hoga jo insaaf ke saath sultanat karega uske baad kuchh aur neik baadshah bhi honge aur phir logon me kufro jihalat phail jayegi,unhi dino taqdeer ka inkaar karne waale 2 giroh ke saath poorab aur pashchim ki zameen dhans jayegi,aur ek dhuwan poori rooye zameen ko apni aagosh me le lega jisse imaan waalo ko zukaam ho jayega aur dimaag bhaari rahega aur kaafiro munafiq to behosh ho jayenge,musalman baaz 1 din me baaz 2 din me aur baaz 3 din me usse nijaat payenge magae ye dhuwan 40 din tak zameen par rahega uske baad aasman saaf ho jayega,usi saal zilhajj ke mahine me qurbani ke dino ke baad ek raat itni lambi ho jayegi ki uski musafat 3 ya 4 raat jitni badh jayegi insaan aur jaanwar sab pareshan ho jayenge ki aakhir subah kyun nahin ho rahi hai bil aakhir ek lambi musafat ke baad sooraj thodi si raushni ke saath poorab ki bajaye pashchim se nikal aayega,us waqt momin to momin balki kaafir bhi khudaye zuljalaal ki wahdaniyat ka ikraar karenge magar unki tauba qubool na hogi kyunki sooraj ki pahli kiran ke saath hi tauba ka wo darwaza jo 70 saal ki musafat ki chaudayi rakhta hai bund ho jayega ab kisi ki tauba ya imaan laana hargiz maqbool na hoga,suraj jab beech aasman ko pahunch jayega to wapas pashchim ki jaanib doobna bhi shuru kar dega aur phir doosre din se badastoor poorab se nikalkar pashchim me hi doobega magar bahut mamooli raushni ke saath

*HADEES* - Ek martaba huzoor sallallaho taala alaihi wasallam ne apna sahaba se poochha ki kya tum logon ko pata hai ki suraj kahan jaata hai to sahaba ne arz ki ALLAH aur uska rasool hi behtar jaanta hai to huzoor sallallaho taala alaihi wasallam irshaad farmate hain ki suraj apne mustaqar ki taraf chalta rahta hai aur arsh ke neeche jaakar rub ko sajda karta hai aur aage badhne ki ijazat talab karta hai ijazat milne par phir aage badh jaata hai magar ek din aisa aayega ki wo sajda karega aur ijazat talab karega magar hukm hoga ki jahan se aaya hai wahin laut ja,tab suraj aage badhne ki bajaye waapas lautega aur magrib se tulu hoga aur ye wo din hoga ki jab kisi ki tauba qubool na hogi

📕 Muslim,jild 1,safah 161 

*Maula taala khair kare* abhi log is uljhan se nikle bhi nahin honge ki kaabe sharif ke qareeb ek pahaad kohe safa fhat padega aur usme se ek jaanwar daabtul ard zaahir hoga ye wo jaanwar hai jo 7 jaanwar ki haibat par hoga,uska munh aadmi tarah uska pair oont ki tarah uski gardan ghode ki ayaal ki tarah uski dum gaay ki dum ki tarah uska khur hiran ke khur ki tarah uski seeng barahsinga ke seeng ki tarah aur uska haath bandar ke haath ki tarah hoga aur badi hi saaf zabaan me baat-cheet karega uske ek haath me hazrat moosa alalihissalam ka asa hoga aur doosre haath me hazrat suleman alaihissalam ki anguthi hogi,poori duniya me badi hi tezi se gasht karega aur koi bhi usse chhootne na payega imaan waalo ke chehre par hazrat moosa alalihissalam ke ase se khat kheench dega jisse ki uska munh munawwar wa raushan ho jayega aur kaafir ke munh ya gardan par hazrat suleman alalihissalam ki anguthi se mas karega to uska munh kaala aur badsurat ho jayega phir agar ek dastarkhwan par ek jamaat baithegi to har koi jaan lega kitne momin hain aur kitne kaafir phir wo jaanwar gaayab ho jayega

📕 Zalzalatus sa'at,safah 14
📕 Bahare shariyat,hissa 1,safah 33

To be continued............

*Don't Call Only WhatsApp 9559893468*
      *NAUSHAD AHMAD "ZEB" RAZVI*
                       *ALLAHABAD*

Post a Comment

0 Comments