*🌹SAWAL:-🌹*
Hazrat Jaise Koi 4 Rakat Wali Namaz Jamaat Se Padh Raha Ho 2 Rakat Padh Chuka Hai Teesri Rakat Me Hawa Kharij Ho Jaye To Kya Salaam Pherne Ke Baad Dubara Wazu Bana Ke Namaz Padhni Hogi Ya 2 Rakat Padhni Hogi.
Hazrat REHNUMAI Farmaea
*🌹JAWAB:-🌹*
Jaha se chuti hai vahi se bhi usi rukn k sath bhi padh sakta hai ... Is tarah k Amal ko Shariat me ''Bina'' kehte hai
Albatta bahetar ye hai k sire se padhe ... Jaisa k *📚Bahare Shariat hissa 3 Namaz me be vuzu hone k Bayan* me hai ..
Namaz me jiska wuzu jata rahe agarche Qaeda e aakhira me tash'hud ke baad salam se pahle, to wuzu karke jahañ se baqi he wahi se parh sakta he, isko bina kahte he, magar afzal ye he ki sare se parhe use istinaf kahte he, is me aurat mard dono ka ek hi hukm he.
Lekin Bina karne k liye sharte hai jis ka zikr usi me hai ...
Wallahu Aa'alam Bis-Sawab
*✍🏻Al-Jawab: Hazrat Allama Hafiz Taufiq Raza Misbahi Sahab Qibla🍀*
*_📬Qazi E Petlad w Darso Tadris Darul Uloom Mustafiya, Haldarwa Gujrat*
*🌹SAWAL-O-JAWAB🌹F.T.S👑grp*
*_📬Pathan Moin Raza Khan,Petlad_*
•┈┈┈┈┈┈• • ✦ ✿ ✦ • •┈┈┈┈┈┈•
0 Comments