Maslak E Aala Hazrat Apk

Natural Natural Natural Natural

Apne Mobile Par Bina Internet ke bhi Ahlesunnat MaslaK E AalaHazrat ke Aqaid ke Mutabiq islami wa islahi Post Padhne Ke liye Dowanlod Kare Maslak E AalaHazrat Android App Es Link se

Size:-16 Mb

Telegram Channel



Lattest Update Pane Ke Liye Hamare Telegram Channel ko Join Kare ➡ https://t.me/s/paighameRaza/3

Share on Whatsapp
6/recent/ticker-posts

Hazrat Sayyed Shaah Kamaal Qaadri Kaithali rahmatullāhi alaihi

Hazrat Sayyed Shaah Kamaal Qaadri Kaithali rahmatullāhi alaihi :
__________
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Shaikh-ul-Aafaaq, Laal Dayaal.

***************
Aap ki wilaadat 26 Ramazaan 894 Hijri (20 August 1489 A.D.) ko Baghdad me hui.

Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Haaji Umar hai.

Aap Hasani saadaat hain.
Aur Hazrat Ghauṡe aazam Sayyed Abdul Qaadir Jeelaani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.

**************
Ek martaba Aap ke jadde amjad Hazrat Ghauṡe aazam radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Aap ko khwaab me bashaarat di ke ‘Shaah Kamaal! Yaha tumhara kaam pura hau hai. Ab tumhe us ilaaqe me jaana hai jaha tumhari zaroorat hai.’

Aap 928 Hijri (1522 A.D.) me Sher Shaah Suri ke zamaane me Baghdad se Hind me tashreef laaye the.
Kuchh arsa Multan me qayaam karke ta’aleeme deen karte rahe.
Phir Kamaliya tashreef gaye. Yaha ka Kharal Rajput Raaja aap ki ta’aleem se musalman hua.
Phir Lahore, Ludhiana, Sirhind aur Samana hote hue Mughal baadshaah Humayun ke zamaane me Kaithal tashreef laaye aur sukoonat pazeer hue.

Kaithal me Laal Maidni-mal Aap ki baargaah me musalman hue. Laal Maidni-mal Mughal baadshaah Akbar ke musheer (advisor) the. Hazrat ne un ka naam Shaikh Tayyab rakha aur baad me un ko khilaafat ata farmai.

**************
Aap Saahib-e-karaamat aur Shaikh-ush-Shuyukh the.

Aap ki ta’aleem, faiz aur karaamat se hazaaro mushrikeen musalman hue aur be-shumaar log hidayat paakar taa'ib hue.

***************
Wazeer, Jaagirdaar aur Umra Aap ko tohfe dene ki koshish karte magar Aap un ko lene se inkaar karte.
Sher Shaah Suri ne ek martaba Aap ko Ashrafiyo se bhari hui theliya batore hadiya bheji to Aap ne lene se inkaar kiya aur khat likhkar farmaaya ‘Maine tumhe apna dost banaaya tha magar tum ne mujhe wo cheez bheji jo ALLĀH ta’al ko pasand nahi hai.’

***************
Aap kai baar Mujaahida wa Riyaazat me itne mashgool ho jaate ke hafto tak Aap Aalam me Wajd me rehte aur dunya se be-khabar ho jaate.

***************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Jab Aap Ludhiana se guzar the to ek Jogi Aag ki yog me masroof tha. Aap us use dekh kar waha thaher gaye. Kuchh der savaal o javaab ka silsila jaari raha. Us Jogi ne mazaaq ke andaaz me Aap se kaha ke ‘Islaam ki pairwi se Aap ne kya haasil kiya?’ Aap ne farmaya ke ‘Tumne jis Aag ki ab tak pooja ki hai wo mere jism koi nuqsaan nahi pahuncha sakti.’ Ye kehkar Aap ne apna haath bhadakte hue sho'alo par rakh diya. Aap ko zara bhi nuqsaan na hua. Phir Aap ne apne haath ke upar Jogi ka haath rakhkar Aag me rakha to wo bhi aag ki sozish se mehfooz raha. Phir Aap ne Jogi se kaha ke ‘Ab tum sirf aApna haath rakho.’ Jogi ko apni Riyaazat par bada fakhr tha. Magar jaise hi us ne apna haath Aag me daala foran hi fiza me us ki chinkh ubhri. Aag se bhadke sho'alo ne us ke haath ko jhulsa diya.  Ye dekh kar wo Jogi aur uske chele foran Aap ke daste haq pasrast par eimaan le aaye.

(2) Ek roz Baaba Setalpuri Aap ki khidmat me haazir hue. Ittefaaq se sab se pehle Hazrat ke chhote saahabzade Hazart Noor-ud-deen ghar se baahar aae. Baaba Setalpuri ne naatavani dekh kar wajah puchhi. Kamseeni ki wajah se unho ne bata diya ke ‘Kai roz se faaqa hai.’
Baaba Setalpuri hairaan hue aur socha ke itne bade kaamil durvesh aur ye Muflisi aur Naadari? Foran apne dere par gaye aur Paaras paththar le aaye. Jab Hazrat Shaah Kamaal rahmatullahi alaihi tashreef laaye to Baaba saahab ne wo Paaras paththar Aap ki khidmat me pesh kiya aur arz kiya ke ‘Aap ki aasaani ke liye ye Paaras ka tukda pesh karta hu. Is ko sirf lohe se mas karte hi loha Sona ban jaata hai.’ Aap ne farmaaya ke ‘Is ko Taaq me rakh do.’
2-3 din baad Baaba Setalpuri phir se haazir hue to unho ne phir se Saahabzaade ki tangi aur faaqa kashi dekhi. Aap abhi soch hi rahe the ke Hazrat hujre se abahar aaye aur farmaaya ‘Aao! Baaahar ki sair karte hain.’ Jungle se guzarte hue Aap ne ek khet par rook kar Istinje ka dhela zameen par phenka aur farmaaya ‘Jis qadr chaaho Sona utha lo.’ Jab Baaba Setalpuri ne dekha to jaha tak nigaah pahunchti thi waha tak zameen sona ban gai. Phir Hazrat ne muskura kar farmaaya ‘Baaba Setalpuri! Ye tangdasti bebasi ki wajah se nahi balke ye to apne Jadde Amjad ki Sunnat hai.’

(3) Ek martaba Kaithal me qahet pada. Hazrat ne ek Muslim ko aur ek Hindu Brahmin ko 2 badi deg me Dalya (ek qism ka khaana) banaane ke liye farmaaya. Jab deg tayyaar ho gai to Aap ne elaan kara diya ke jis ko bhi zaroorat ho din me ya raat me kabhi bhi aakar is deg se Dalya le jaaye. Log un deg me khaana le jaakar khaate rahe. Yaha tak ke qahet khatm ho gaya magar un deg me khaana baaqi raha.
Haal me bhi Aap ke mazaar par Saawan ke mahine me har Jumeraat ko Dalya pakaaya jaata hai aur har qaum ke log haazir hokar khaate hain.

***************
Aap ke mashhoor shaagird :
(1) Shaah Shakoor
(2) Sayyed Eisā Bukhari
(3) Shaikh Noor Jamaal
(4) Jalaal-ud-deen Khaggah Multani.

****************
Aap ke 2 saahabzaade hain :
(1) Shaah Sayyed Qub-ud-deen Abul Makarim, Moosā
(2) Shaah Sayyed Imaad-ud-deen.

*****************
Aap Hazrat Shaah Fuzail Qaadri rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.

Aap se ‘Qaadri Kamaali’ silsila jaari hai.

Aap ke Khulfa :
(1) (Aap ke saahabzaade) Hazrat Shaah Sayyed Qutb-ud-deen Abul Makarim, Moosā Qaadri rahmatullāhi alaihi
(2) (Aap ke pote) Hazrat Shaah Sayyed Sikandar Qaadri Kaithali rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Shaikh Tayyab rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Malik-ul-Ulama Shaikh Abdul Ahad Faarooqi Kabuli rahmatullāhi alaihi
(5) Hazrat Mulook Shaah Ghaazi rahmatullāhi alaihi
(6) Hazrat Sher Shaah Mash'hadi rahmatullāhi alaihi
(7) Hazrat Haafiz Ismāeel Multani rahmatullāhi alaihi.

*****************
Aap ka wisaal 28 Jamaadi uṡ ṡaani 981 Hijri (25 October 1573 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Kaithal (Haryana) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Shaah Kamaal Qaadri Kaithali rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Post a Comment

0 Comments