__________
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Saifullāh al-Maslool, Moeen-ul-Haq.
****************
Aap ki wilaadat Safar 1213 Hijri (1798 A.D.) me Maulwi Mohalla, Badayun me hua.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Ain-ul-Haq Shaah Abdul Majeed bin Abdul Hameed Badayuni rahmatullāhi alaihi hai.
Aap Hazrat Uṡmaan Ghani radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
Aap ke pardaada Hazrat Daaniyal Qatari rahmatullāhi alaihi Sultaan Shams-ud-deen Altamash ki fauj ke saath Badaun tashreef laaye the.
****************
Aap ne apne waalid aur daada se Arabi ki ta’aleem haasil ki.
Phir Lucknow tashreef le gaye aur Maulana Noor-ul-Haq Firangi maheli se majeed ta’aleem haasil ki.
Aap ne Hakeem Baabar Ali Mohani se Ilme Tibb bhi sikha.
****************
Aap ne ta’aleem wa tadrees o taqreer aur tasannif ke zariye Ahle sunnat wal Jama’at ki azeem khidmat ki hai.
1270 Hijri (1853 A.D.) me Aap ne Ismāeel Dehlawi aur Wahaabi firqe ke bad-aqeeda ko radd kiya.
****************
Aap ke mash'hoor shaagird :
(1) Hazrat Maulana Shaah Muhammad Abdul Qaadir Badayuni rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Maulana Shaah Muhammad Mohiy-ud-deen Badayuni rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Maulana Mufti Asadullāh Khan rahmatullāhi alaihi,
(4) Hazrat Maulwi Karaamat Ali Jonpuri rahmatullāhi alaihi,
(5) Hazrat Maulana Abul Fattaah Gulshanabadi rahmatullāhi alaihi,
(6) Hazrat Maulana Ashfaaq Husain rahmatullāhi alaihi,
(7) Hazrat Maulana Khurram Ali Balhori rahmatullāhi alaihi,
(8) Hazrat Maulana Hakeem Muhammad Ibrāheem rahmatullāhi alaihi,
(9) Hazrat Maulana Sayyed Khaadim Ali rahmatullāhi alaihi,
(10) Hazrat Sayyed Bunyaad Shaah rahmatullāhi alaihi.
****************
Tasannif :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ki likhi hui mash'hoor kitaaben :
(1) Saif-ul-Jabbaar
(2) Al-Moataqid al-Muntaqid
(3) Bawariq-e-Muhammadia
(4) Tasheeh-ul-Masaa'il
(5) Fauz-ul-Moamineen
(6) Talkhee-ul-Haq
(7) Ihqaq-ul-Haq
(8) Tasbeet-ul-Qadamain
(9) Fazal-ul-Khitaab
(10) Harz-e-Muazzam
(11) Al-Mutamad-ul-Mustana
(12) Risaala e Tareeqat
(13) Risaala e Qateeba
(14) Sharh Fusoos-ul-Hakam
(15) Sharh Ahaadeeṡ Multaqita Abwaab Sahi
(16) Haashiya Meer Zaahid Mulla Jalaal
(17) Tibb-ul-Ghareeb.
****************
Aap ke 2 Saahabzaade hain :
(1) Muhammad Mohiy-ud-deen,
(2) Muhammad Abdul Qaadir.
****************
Aap (apne waalid) Hazrat Ain-ul-Haq Shaah Abdul Majeed Qaadri Badayuni rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Hazrat ne Aap ko Qaadri Barkaati, Chishti, Suharwardi, Naqshbandi aur (Naqshbandi) Abul Ulaai silsile ki khilaafat ata farmai hai.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Maulana Shaah Muhammad Abdul Qaadir Badayuni rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Maulana Shaah Muhammad Mohiy-ud-deen Badayuni rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Maulana Sayyed Aale Nabi Shahjahanpuri rahmatullāhi alaihi,
(4) Hazrat Maulana Ubaidullāh Hanafi Badayuni rahmatullāhi alaihi.
(5) Hazrat Mulla Akbar Shaah Afgahni rahmatullāhi alaihi,
(6) Hazrat Haafiz Muhammad Zia-ud-deen rahmatullāhi alaihi,
(7) Hazrat Qaazi Hameed-ud-deen Khan rahmatullāhi alaihi,
(8) Hazrat Shaikh Muhammad Siddeeqi Mutattun rahmatullāhi alaihi,
(9) Hazrat Shaikh Abdur Raheem Raeed Badayuni rahmatullāhi alaihi,
(10) Hazrat Shaikh Abdul Haadi Mulaqqib Shaah Saalaar rahmatullāhi alaihi,
(11) Hazrat Maulana Hakeem Abdul Azeez rahmatullāhi alaihi,
(12) Hazrat Maulana Inaayat e Rassol rahmatullāhi alaihi.
****************
Apne wisaal se pehle Zikr me mashgool the. Achaanak 2 martaba buland aawaaz se ‘ALLĀH ALLĀH’ kaha aur intiqaal farmaaya.
Aap ka wisaal 2 Jamaadi uṡ ṡaani 1289 Hijri (1872 A.D.) ko Jumeraat ke roz Zohar ke waqt hua.
Aap ka mazaar Khaanqaah-e-Aalia Qaadriya, Maulwi Mohalla, Badaun (Uttar Pradesh) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Allama Shaah Fazale Rasool Qaadri Badayuni rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae.
Aameen.
0 Comments