بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 06 « ⚘Namaaz Qaza Karne Ka Gunah •─────────────────• ✅ Rasool E Muazzam Noor E Mujjassam Rehmate Do Alam ﷺ Ka Irshaad hai ''Jo Shaks Namaaz Qaza Karde Aur Ba'd Mein Qaza Padhle, Woh Apne Waqt Namaaz Na Padhne ki Wajah Se Ek Haqab Jahannam Mein Jalega. Haqab ki Miqdar Assi (80) Saal Hoti Hai Aur Ek Saal 360 Din Ka Jab Ke Qayamat Ka Ek Din Ek Hazaar (1000) Saal ke Barabar Hoga''. Yani Ek Namaaz Qaza karne Wale Ko Do Crore Athasi Lakh Saal (2,88,00000) Jahannam Mein Rehna Hoga Al Ayaz Billahi Ta'ala . 📗(Majalis Al Abrar). Sadrushariah Allama Moulana Amjad Ali Azmi Quddus Sarah Farmate hain "Namaaz ko Mutalaqan Chhodena To Sakt holnak Baat hai Namaaz Qaza karne Walon ke liye Rabb E Ta'ala Farmata hai Kharabi Hai Un Namazion ke liye jo Apni Namazon se Bekhabar Hain, Waqt Guzar ker Padhne Uthte Hain 📙(Al Maoon : 4) Jahanam Mein Ek Wadi Hai Jiski Sakti Se Jahanam Bhi Panah Mangti hai iska Naam "Wae'el" hai Qasdan Namaaz Qaza karne Wale iske Mustahiq hain. 📗(Bahare Shariat J3 P2) 📘Hawla:-Namaz ki Kitab 📝Musannif:-Khalifa E Huzoor Mufti e Azam e Hind Sayed Shah Turab ul Haq Qadri Alaihi Rehma. (Namaaz Ki Barkatein)Jari Hai.... |
Share on |
0 Comments