بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 04 « ⚘ Namaaz Ki Ahmiyat Part-C •──────────────────• Quraan Al Kareem Mein Munafiqon Ki Ek Nishani Yeh Bayan Ki Gayi Hai ke Woh Namaaz Padhne Me Susti Karte Hain Aur ise Bojh Samjhte hain. Irshaad Hua ''Aur jab Namaaz ko Khade Hoon to Haare Jee Se, Logon ko Dikhawa Karte Hain''. 📗(An-Nissa :142 Kanzul Imaan) ✅ Munafiqon Ke Mutaliq Sarkare Do Alamﷺ Ka Irshaad Hai ''Munafiqon Par Fajr Aur Isha Se Ziada Koi Namaaz bhari Nahi Aur Yeh Agar Jante Ke in Namazon Mein Kiya Sawab Hai Toh Zameen Per Ghaseette Huye Bhi Pohanchte''. 📚(Bukhari, Muslim) ✅Quraan Al Kareem Mein Yeh Bhi Bataya Gaya Hai ke Namaaz Padhna in Logon ke liye Hargiz Mushkil Nahi hai Jo ALLAH Ta'ala Aur Akhirat Per Yaqeen Rakhte Hain. Irshaad Huwa ''Aur Beshak Namaaz Zaroor Bhari hai Magar in Per Nahi Jo Dil se Meri Taraf Jhukte Hain, Jinhain Yaqeen Hai ke inhein Apne Rabb Se Milna Hai Aur isi ki Taraf Phirna''. (Al Baqara : 45, 46, Kanzul Imaan) 📘Hawla:-Namaz ki Kitab 📝Musannif:-Khalifa E Huzoor Mufti e Azam e Hind Sayed Shah Turab ul Haq Qadri Alaihi Rehma. |
Share on |
0 Comments