بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 05 « ⚘Namaaz Ki Ahmiyat Part-D •─────────────────• Quraan O Hadees ki Roshni Mein Yeh baat Wazeh Hogaye ke Har Musalman Per Panchon Namaazein Pabandi se Ada Karna Farz hai. Namaaz Padhne Mein Susti Karna Qusasan Fajr Aur Isha ki Namaazein Na Padhna Munafiqon Ki Nishani Hai. Yeh Bhi Maloom Huwa ke Nama'az Na Padhna Kafiron ka Tariqa Hai isi liye Sahaba Kiraam Aamaal Mein Se Namaaz ke Siwa Kisi Aamaal ke Chhodne ko Kufr Nahi Samjhte The. Namaz ki Ahmiyat ka Andaza is Baat Se Bhi Lagayiye Me Hadees Paak Mein Bachpan hi Se Namaaz Padhne Ki Takeed Farmayi Gaye. Nabi Kareemﷺ Ne Farmaya. ''Jab Bachhe Saath(7) Saal ke Hon Jayein Toh inhe Namaaz Padhne Ka Hukm Do Aur Jab Woh Das(10) Saal ke Hojayein To Nama'az Mein Gaflat Par inhein Maaro Aur is Baras(Saal) Se inke Bistar Bhi Alehda(Alag) Kardo''. 📗(Abu Dawood). 📘Hawla:-Namaz ki Kitab 📝Musannif:-Khalifa E Huzoor Mufti e Azam e Hind Sayed Shah Turab ul Haq Qadri Alaihi Rehma. (Namaaz Qaza Karne Ka Gunah) |
Share on |
0 Comments