Sᴇᴇʀᴀᴛ-E-Mᴜꜱᴛᴀꜰᴀﷺ » Pᴏꜱᴛ Nᴏ 16 «⚘ Mukhtasar Seerat E Mustafa ﷺ •───────────────• ⚘ ⌬ ➤ 8 Hijri ke Khaas Waqi’yaat Es Saal Makkah Fatah Huwa, Aur Eske Baad Hunain ke Jang ka Waqiya Pesh Aaya Esi Saal Masjid-e-Nabawi Shareef Me Mimbar Banaya Gaya Aur Esi Saal Huzoor sallallaho alaihe wasallam ke Bete Hazrat-e- Ibrahim , Hazrat-e-Mariyah Qibtiya Radhi allaho anha Se Paidha Huye
⚘ ⌬ ➤ 9 Hijri ke Khaas Waqi’yaat Es Saal Hajj Farz Huwa,Aur Huzur-e-Akram sallallaho alaihe wasallam Ne Hajj Je Mauqe Par Hazrat-e-Abu Bakr Siddique Ki Sarbarahi (Leadership) Aur Hazrat Ali ki Naqabat Mein (Yani Hajj Ke Masa’il Sikhane Aur Kuchh Zaruri Elaan Karne Ke liye) 300 Hajjiyon ka Qaafila Rawana Farmaya Quran Ne Esi Hajj Ko ‘Hajj-e-akbar’Yaani Bada Hajj Kaha Es Liye ki Ye Pehla Mauqa Tha Ke Hazrat-e-ibraahim alaihissalam Ke Tariqe ke Mutabiq Hajj Ke Arkaan Ada Kiye Gaye, Allah Ke Ghar Khana-e-Kaaba Sharif Mein Jaheliyat Ki Hukumat Mukammal Tariqe Se Khatam Aur islami Hukumat ki Shuru’aat ka Elaan Kiya Gaya aur Zamana-e-jaheliyat ki Tamam Behuda Rasm-o-Riwaaj Ko Galat Qarar Diya Gaya is Saal Poore Mulk Mein Aman-o-Amaan Ki Fiza Qayam Hogai Aur Moharram ke Mahine Me Zakat Wasul Karne ke liye Khaas Log Muqarrar Kiye Gaye Sood ko Bhi isi Saal Haraam Qarar Diya Gaya.. 📝Pᴏꜱᴛ Jᴀᴀʀɪ Hᴀɪ....ان شاء الله تعالیٰ |
0 Comments