Sᴇᴇʀᴀᴛ-E-Mᴜꜱᴛᴀꜰᴀﷺ» Pᴏꜱᴛ Nᴏ 17«⚘ Mukhtasar Seerat E Mustafa ﷺ •───────────────• ⚘ ⌬ ➤ 10 Hijri Ke Khaas Waqi’yaat Es Saal Aap ﷺ ke Bete Hazrat-e-Ibrahim radhi allaho anho Ka inteqaal Huwa Aur Esi Saal Aap ﷺ Ne Apna Pehla Aur Akhiri Hajj Bohot Saare Sahaba-e-Karam Ke Saath Ada Farmaya Es Hajj Pe Jaate Waqt Aap Sallallaho alaihe wasallam Ne Logon Se Es Tarha Mulaqaat Kiya Jaise Woh Saksh Mualaqaat Karta Hai Jise Maloom Ho Gaya Ho Ke Woh Ab Duniya Chhod Kar Jaane Wala Ho Esi liye Ye Hajj ‘Hajjatul-Wida’ Ke Naam se Mash’hoor Huwa.
⚘ ⌬ ➤11 Hijri Ke Khaas Waqi’yaat Jab Huzur Sallallaho alaihe wasallam Hajjatul Wida Se Wapas Tashreef Laaye Toh 24 Safar Pir(Monday) Ke Din Aapﷺ Ne Ek Lashkar Hazrat-e-Osama Bin Zaid ki Qayadat Me Mulk-e-Shaam Ke isaaiyon Se Ladne Ke Liye Tayyaar Farma Kar Rawana kiya Lekin Abhi Ye Lashkar Madina Shareef Se Kuchh Hi Door Gaya Tha ke 12 Rabiul-Awwal Ba’Roz Pir(Monday) Huzur-e-Aqdas Sallallaho alaihe Wasallam ka Wisaal Ho Gaya Jisse Pura Madina Shareef Be-Raunaq Aur Andhera Ho Gaya... 📝Pᴏꜱᴛ Jᴀᴀʀɪ Hᴀɪ....ان شاء الله تعالیٰ |
0 Comments