بــــــــــــــــﻢ ِﷲِﺍﻟــــــــﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلْـــرَّﺣـــــــــــــِﻴﻢ اَلصلٰوةُوَالسلَامُ عَلَي٘كَ یاسَيِّدِۡي یارَسُوٌلَ اللهﷺ وَعَلیٰٓ اٰلِكَ وَاَصـــــــحَابِكَ يَاحَـــــــبِيْبُ اللهﷺ |
---|
•────────────• ⚘ ⌬ ➤ Roza Ek Bemisaal ibaadat Hai Jo Allah Ta’ala Ko Bahut Pasand Hai Hadees Sharif Main Hai Ki Jab Roza Rakhne Wale Log Allah Ta’ala Se Mulaqaat Karenge To Un Ko Apne Roze Ki Wajah Se Badi Khushi Haasil Hogi. 📬 Sahi Muslim,Hadees No.1151 📘 ⚘ ⌬ ➤ Ek Aur Dusri Hadees Me Hai Ki Jab Koi Shakhs Allah Ke liye ek Roza Rakhta hai To Use Allah Ta’ala 70 Saal Ki Doori Ke Barabar Jahannam Se Door kar Deta Hai. 📬 Sahi Muslim,Hadees No.1153 📒 ⚘ ⌬ ➤ Esi liye Aapﷺ Bahut Ziyadah Roze Rakha Karte The.Aapﷺ Ke Rozo Ki Mukhtasar list Yahan Pesh Ki Jaati Hai. ⚘Aashure Ka Roza ⌬ ➤ Aapﷺ Aashurah (10 Muharram) ka Roza Makka Sharif Me Rakha Karte The Phir Jab Madina Sharif Aae, To Bhi is Din Ka Roza Rakha Aur Logo Ko Bhi Roza Rakhne Ka Hukm Diya To Sahaba Ne Arz Kiya Ya Rasoolallah ﷺ!Es Din ki Yahudi Aur isayai Taazim Karte Hain Aur Woh Log Bhi Roza Rakhte Hain To Aapﷺ Ne Farmaya ki Jab Agla Saal Aaega to in sha Allah Ham 9wi Taarikh Ko Bhi Roza Rakhenge. 📬 Sahi Muslim,Hadees No.1134 📕 ⚘ ⌬ ➤ Aashure ke Roza Ki Fazilat Bayan Karte Huye Aapﷺ Ne Farmaya Ki Mujhe Allah Ta’ala se Ummid Hai ki Jo Shakhs Aashure Ka Roza Rakhega Allah Ta’ala us Ke Pichhle Ek Saal Ke Gunaah Ko Maaf Kardega.. 📬 Ibn-e-Majah,Hadees No.1738 📚 |
Share on |
0 Comments